Cappadocia History Urdu Cappadocia Hindi Mysterious City In World Documentary

  Lal Gulab      
Cappadocia History In Urdu Cappadocia In Hindi

Mysterious City In The world

Kainaat jitni khubsurat hai us se kahin zayada wasi hai aur isi wasi qainaat mein aik chota sa sayara hai jisay hum zameen kehte hain. Agar hum kainaat ka baghoor jaiza lain tou hamain maloom ho ga ke jis sayare par hum insan reh rahe hain ye bazahir tou hamain bara nazar ata hai magar kainaat mein mojood dusre sayaron ke agey ye khuch bhi nahin magar isi zameen par kuch aise maqamaat bhi hain jinhain dekh kar hamain lagta hai ke shayed hum zameen par nahin kisi aur sayare par hain. Aise hi maqamat mein se aik pur israr maqam hai Cappadocia ye Cappadocia akhir hai kya? ye kahan waqe hai? yahan ki ajeeb al khalqat chatanain kaise wujood mein ayain thien aur turkey ke is tareekhi aur lajawab maqam Cappadocia ki tareekh kya hai aaeye jantay hain.

Cappadocia Information In Urdu
Sooba Nevşehir Turkey mein waqe aik sooba hai is ka darul hukumat Nevşehir hai. Turkey ke is shehar ki tareekh hazaron saal purani hai. 3000 saal qabal is shehar mein hateeti, fareegi, paras, roomi, aur baaz nateeniyon ne apni hukumat chalai jis ke baad gayarhwien sadi mein ye shehar turkon ke qabze mein aa gaya. Is shehar ki sair ke liye har saal kafi tadad mein saiyah atay hain jo keh yahan ke hairat angez aur pur israr ilaqe Cappadocia ko dekh kar hairan ho jatay hain.

Purisrar Dunya Aur Zair e Zameen Gharain
Ajeeb o ghareeb wadiyon, chatanon, gharon aur zair e zameen waqe purane lekin weran shehron ka hamil Cappadocia is dunya ke benazir maqamat mein shumar hota hai. Fitri tor par wujood mein anay wali pathreeli chatanain dekh kar yahan aisa guman hota hai keh jese in ke sar par kisi ne topi pehna di ho. Is alaqay mein aik argious nami aatish fishan bhi mojood hai jis mein lakhon saal pehle dhamaka hua tha. Us dhamakay ke natijay mein yahan se ugalne wale laway aur rakh ne jagah jagah mil kar mukhtalif chatanon ki shakal ikhtyar kar li jis ke baad is mein milne wale barish ke pani aur gare se in chatanon ne aik munfarid shakal apna li.

Cappadocia Ki Tareekh Aur Maloomat
Cappadocia mein in chatanon ke wujood mein anay se yahan ki maqami abadi ne isay apne istemal mein lana shuru kar diya tha keh jahan mazhab se shanasai paida hone ke baad baaz chatanon ko tarashtay hue unhain girja gharon mein bhi tabdeel kiya gaya tha. Ye maqam aam nazron se zara door hai jis ki wajah se purane waqton mein khud ko dusron ki nazron se bachanay aur mazhabi fasad mein halak hone se darne wale ba asani roo posh hua karte thay. Esaiyat ke ibtidai ayam yani teesri sadi mein yahan ki maqami abadi ne in chatanon mein girja ghar ke ilawa yahan rehne ke liye baaz hujre waghere bhi banaye thay.

Cappadocia Underground City
Cappadocia ki makhsoos tameerat mein zair e zameen waqe shehar ko khas ahmiyat hasil rahi hai. Ilaqe ke 6 shehron mein shumar qaima kali ka zair e zameen shehar hateeti door mein abad hua tha. Nevsehir ke mukhtalif ilaqon mein waqe ye shehar chatanon ko tarashte hue tameer kiye gaye thay keh jin ka maqsad khud ko khatron se mehfooz rakhna hota tha.

Cappadocia Hotels
Wasti turkey mein mutadid tehzeebon ka door doora raha hai keh jis mein Cappadocia ki hesiyat kisi dilchasp film se kam nahin kyun keh is afsanwi shehar mein qayam ke liye kafi anookhay maqamat mojood hain. Hazaron saal pehle insanon ki taraf se zair e istemal in chatanon mein ab chotay chotay hotel khul gaye hain jin mein se baaz ka naam dunya ke behtareen hotelon mein shumar hota hai. In hotelon mein rehne ka maza uthane ke sath sath aap yahan ke tareekhi shahkaron ki sair se bhi lutf andooz ho sakte hain.

Cappadocia A World Heritage In Turkey
Cappadocia mein qudrati kheelon ke shaiqeen ke liye bhi kafi mawaqe mojood hain jin mein chehal qadmi, cycling, aur hiking shamil hain. Hazaron saal purani tehzeeb ka hamil ye shehar Cappadocia apne is khazanay ki badoolat 1985 mein UNESCO ki almi saqafati wirse ki fehrist mein shamil hua tha. Aksar turk bashandon ke nazdeek Cappadocia ki hairat angez aur ajeeb al khalqat naukeeli chatanain aik mauma hain.

Tourism In Cappadocia Mein Sayahat

Cappadocia ka behtareen nazara garam hawa ke ghubare se kiya ja sakta hai jis se aisa mehsoos hota hai jese insan kisi space ship par sawar hai aur us ke samne kisi aur sayare ka manzar hai. Cappadocia saiyahon ke liye jannat hai is jesi jagah puri dunya mein kahin aur nahin hai yehi wajah hai keh Cappadocia mein dunya bhar se tourists atay hain jis se turkey ki maeeshat aur bhi mazboot hoti chali ja rahi hai. Cappadocia mein sayahat ko farogh sirf qudrati lihaz se nahin balkeh riwaiti dast kariyan bhi is shobe mein kafi ahmiyat ki hamil hain. Mitti ke bartanon ke hawalay se awanoos ki tehseel kafi naam rakhti hai jabkeh yahan qeemti pathar se bane hue guldan, ash trey aur shatranj samait baaz ashya bhi aham samjhi jati hain.

Agar zindagi mein kabhi turkey jayain tou is khubsurat aur hairat angez maqam Cappadocia ki sair ko zaroor jayain. Agar aap yahan kahin turkey mein hi mojood hain tou main aap ko batata hon ke aap yahan kahan se aur kitni dair mein pohanch sakte hain.

How To Reach Cappadocia Pohanchne Ka Tarika
Istanbul se bus ke zariye Cappadocia pohanchne ke liye taqreeban 10 se 12 ghantay lagte hain jabkeh Antalya se 8 se 10 ghante aur Ankara se agar bus par sawar hua jaye tou 5 ghantay mein dunya ke ajeeb tareen maqam Cappadocia tak pohancha ja sakta hai. Agar Cappadocia mein sair ka maza doobala karna chahain tou Cappadocia ke gird o nawah mein maujood in maqamaat ki sair bhi kar laini chahiye jin mein Göreme Open-Air Museum, wadi devrent (Devrent Valley), Sobesos aur Kaymaklı Underground City jese zabardast maqamat shamil hain.

Turkish City Cappadocia Documentary In Urdu Hindi

logoblog

Thanks for reading Cappadocia History Urdu Cappadocia Hindi Mysterious City In World Documentary

No comments:

Post a Comment