Feroza Stone Benefits In Urdu Feroza Pathar Ke Faide Turquoise Stone Urdu

  Lal Gulab      
Feroza Stone Benefits In Urdu Feroza Pathar Ke Faide Information Turquoise Stone

Turquoise Stone Yani Feroza Stone Ke Fawaid: Ye aik hi colour ka khubsurat pathar hota hai isay bohat saray log pahenna pasand kartay hain. Jo acha nagina hota hai us ki rangat kabhi bhi nahin badalti. Par is mein aur aur bhi pathar paya jata hai jo achi quality ka hi hota hai par us ki nishani ye hai ke us ki colour green mein tabdeel ho jata hai. Sanskrit mein firoza pathar ko Peeroj, English mein Turquoise aur turkina kaha jata hai. Is ka inside aur outside color same hota hai. Dusre darjay ke behtareen pathron aur jawahirat mein se ye aik hai.

Types of Feroza Stone:Feroza Ki Pehchan

Mashriqi: Is ka rang hamesha qaim rehta hai.
Maghribi: Jisay boone bhi kehtay hain is ka rang kharab ho kar sabz ho jata hai. Kyoun keh is mein Phosphate aur chuna zayada hota hai is liye isay bone kehtay hain.
Ye neela, haray aur safaid rangon ka hota hai isay garmi pohanchayi jaye tou bhura ya black colour ka ho jata hai. Is tarah asli feroza ki pehchan is tareeqa se ki ja sakti hai. Is ki different types hain jin mein famous ye hain.
  1. Fathi

  2. Sulemani Feroza

  3. Izhar

  4. Asmani

  5. Walaw

  6. Andesh

  7. Ganjuni

  8. Saabangi

  9. Sar Boom

Neelay rung ke dharay wale feroza ko neelboom kehte hain. Feroza sheeshay ko asani se kaat sakta hai. Turquoise Stone ko tajarba gahon main artificial methods se banana bohat asaan hai.

Feroza Stone Tips: Feeroza wear kar liya jaye tou dil mutmaen ho jata hai, dil ko ek haseen sa ehsas muhaiya honay lagta hai. Education hasil karney mein bhi bohat se fawaid hasil ho jate hain. Log is baat ko mantay hain ke jub naya chand nikala hua ho aur phir is ko dekha jaye aur is naginay ko pehna jaye tou bohat si daulat insan ke hathon mein ajati hai ke insan bas hairan reh jata hai. Ye love marriage and naye naye ilm jannay mein bhi insan ko agey lay jata hai. Jese ke chand ki baat ki gyi hai wese hi log kehtay hain ke agar kisi insan par bur waqt guzarnay wala ho tou ye pathar tootna shuru ho jata hai yani is ke darmiyan mein darar par jati hai. Aur ye baat yaad rakh lijiye ke agar is tarah aap ko apni anguthi mein nazar aye tou aap ye koshish karain ke us ko phir dobara na pehnain.

Mashoor Log Jo Feroza Pathar Pehentay Hain
Dunya ke bohat se mashoor log is khubsurat pathar ko pehantay hain un mein se 2 bollywood actors Salman Khan aur Govinda bhi shamil hain.

Islam mein feroza stone pehennay ke faide kya hain is bare mein bhi jald aik mazmoon shaya kiya jaye ga.
logoblog

Thanks for reading Feroza Stone Benefits In Urdu Feroza Pathar Ke Faide Turquoise Stone Urdu

No comments:

Post a Comment