Shanghai History Urdu Shanghai Documentary Hindi Information Shanghai City Tareekh

  Lal Gulab      
Shanghai History In Urdu Documentary Shanghai Information In Hindi Shanghai City Ki Tareekh - China ka shehar Shanghai taqreeban 1000 saal pehle aik gaon tha jahan sirf machliyan pakri jati thien. 1074 mein isay batoor qasba design kiya gaya aur 1159 mein ye market city ban gaya.
Us waqt machliyan pakarna, kheeti bari karna, behri jahaz tayar karne ka yahan kafi riwaj tha. 1292 mein shinghai aik commercial ilaqe ke tor par samne aaya aur tax wasooli ke nazam ko raij karte hue taraqi ki manazil tay karne laga. Aaj shanghai china ke bare shehron mein shumar hota hai.

Shanghai shehar ke mausam ki baat ki jaye tou shanghai garmiyon mein garam aur martoob hai aur sardiyon mein thanda aur khush hai. July ke mahine mein shanghai sakht garam hota hai albata january mein jo yahan ka sard tareen maheena hai darja hararat 1 degree tak record kiya gaya hai. June mein aab o hawa mein bohat nami payi jati hai aur december mein aab o hawa intihai khushk hoti hai. Kabhi kabhi garmiyon aur mausam e khizan mein andhiyan aur taufaan waghera bhi aa jate hain.

19th century ke akhir aur 20th century ke aghaz mein hone wale ghair mulki ijlas ki aik khubsurat yadgar bhi shanghai mein Zhong Shan Road par mojood hai jo qabil e deed hai aur ye shehar ki bohat se mashoor jaghon mein se aik hai. Shanghai mein 9 counties aur 12 izla shamil hain shanghai shehar ka purana tareen hisa darya e wusong aur darya e hangpu ke sangham ke qareeb waqe hai aur ye ilaqa tijarat aur sanat ke lihaz se aham samjha jata hai.

1949 mein china par communist party ke qabzay ke baad shehar ki taraqi ruk gayi thi. 1970 ke door mein china dobara se mazboot hua tou shanghai ke ird gird ka ilaqa bhi taraqi pazeer hona shuru ho gaya. Yani china ke dusre ilaqon ko bhi isi shehar se hasil hone wali amdani se taqweeyat mili.

Bohat se log deewar e cheen ke hawalay se ye dilchasp baat nahin jante keh Ain junoob mein jahan Wusong aur Huangpu darya milte hain deewar e cheen ne wahan asli shehar yani qadeem china ka ihata kiya hua tha jo taqreeban 1 meel lambi thi. Is ilaqe ko Nanshi ke naam se yaad kiya jata hai. Deewar ko 20th sadi ke ibtidai salon mein khatam kar diya gaya aur us ki jagah aik sarak bana di gayi. Nanshi ab gunjan abad ilaqa hai aur yahan logon ki itni bheed hai keh is ke tang raston mein log apas mein ulajhte hue guzarte hain. Shanghai samandari nazaron ke liye aik khubsurat shehar hai. Samandari musafir, saiyah aur dusre shehron se log is sahil par khas tor par lutf andooz hone ke liye atay hain.

Darya e Wusong qadeem shanghai ke hisay ko 2 hison mein taqseem karta hua guzarta hai. Shanghai ka maghribi aur junoobi ilaqa jahan 19 aur 20 sadi ke doran france ke bashindon ne teen teen char char manzila imaratain banai thien ab tezi se unhain buland o bala imaraton mein tabdeel kiya ja raha hai jis se shehar ki khubsurati mein izafa ho raha hai. Shnghai ke shumali aur maghribi ilaqe mein 1000 se zayada unchi unchi imaratain apni dilkashi ka muzahira karti nazar aati hain jinhain 1990 se intihai teezi aur daramai andaz mein tameer kiya gaya jis ne is shehar ki ronaq mein bepanah izafa kar diya hai.

Shanghai mein tameerati ilaqa jaat ke ilawa nawah mein zarae ilaqa hai par ab usay bhi tezi se shehron ki hadood mein shamil kiya ja raha hai aur industriyan, imaratain, rehaish gahain aur deegar zarooriyat zindagi se mutaliq shoobon ko un ilaqon mein pheelaya ja raha hai. Shanghai ki pur hajoom surat e haal par qabu panay ke liye hukumat Huangpu River ke mashriqi kinare par bohat bare ilaqey ko naye naye projects ke liye istemal kar rahi hai. Mustaqbil mein ye ilaqa shehar ki hadood ka aik hisa lagne lage ga aur shanghai mein logon ka rash kam hone ke imkanat barh jayain ge.

Is shehar mein china ki bari bandargah par Darya e Huangpu shanghai ko Darya e Yangtze ke kinare par mashriqi china ke samandar mein jorta hua dikhai deta hai. Yahan se aik bara darya e rasta aap ko kashti ke zariye grand canal ke rastay beijing shehar tak lay jaye ga. Aik baat jo qabil e deed hai woh ye hai keh shanghai ne apni taraf se apni sarmaya kari se china ke dusre shehron mein bhi aala tareen departmental store aur dukanain qaim karne ki dawat di hai aur ye baat ittehad aur mulki mohabbat ke liye aik behtareen misal kahi ja sakti hai.

Aap log is amar se ba khoobi waqif hain keh dunya mein shanghai ki bani hoi cheezain bohat pasand ki jati hain aur is waqt shanghai baraamdat mein dunya ke bare shehron mein se aik aham shehar hai. Shanghai mein bare paimanay par bar aamdi ashya tayar ki jati hain jin mein electronics, steel products, machinery, telephone set, fax machine, colour tv, auto mobile, food stuff aur taxtile waghera shamil hain. Is ke ilawa shanghai china ke dusre shehron se mil kar bhi masnuat tayar karta hai jo mulki aur ghair mulki zarooraton ke teht tayar ki jati hain aur zar e mubadla kamaya jata hai.

Shanghai chunkeh gunjaan abad aur mashroof tareen shehar hai is liye gariyon ke liye rasta na hone ki wajah se zayada tar log cycalon par apne daftaron ko jatay hain aur nazdeeki safar tay karte hain. Jin emin mard hi nahin khawateen bhi cycle ki sawari ko tarjih deti hain kyun keh cycle choti si jagah par asani se pohanch jati hai. Jabkeh har roz shehar mein sarkain cycalon se bhari hoti hain. Albata kafi logon ek paas gariyan bhi hain par log paidal chalne ko bhi tarjih dete hain. Busain aur tranain apni apni jagah par logon ko sahooltain faraham karti hain jin se hasb e zaroorat istifada kiya jata hai.

Shanghai mein anay wale ghair mulkon logon ki bari tadad yahan se karobari nueeyat ki khareedari ke ilawa tahaif bhi khareedtay hain jo un ke azeezon mein qadar ki nigah se dekhe jatay hain kyun keh shanghai ki banai hoi cheezain china ke dusre shehron ki bani hoi cheezon se behtar khayal ki jati hain.

Shanghai Documentary In Urdu Hindi

logoblog

Thanks for reading Shanghai History Urdu Shanghai Documentary Hindi Information Shanghai City Tareekh

No comments:

Post a Comment