Peace Essay Urdu World Peace In Hindi Peace Speech In Urdu - Aman ka aarzo mand hona insaan ki fitrat mein dakhil hai, is liye har wajood aman aur salamti chahta hai kyun kay aman o salamti muashra, afraad, aqwam aur mulqon ki taraqi o kamaal ke liye intihai zaroori hai. Isi tarhan agar tamam Islami ibadat aur mamlaat se le kar ain aur qawaneen siyasat o hukoomat tal ka baghore jaeza liya jaye to un tamam cheezon se aman o salamti aur sulah o aashtee ka aks jhalakta hai jo Islam ka maqsad hai. Yehi wajah hai ke Islam na sirf aman ka hami aur dawaydaar hai balkah qayam aman ko har haal mein yaqeeni banane ki takeed bhi karta hai.
Aman khushiyon ki naveed hai aman naghma musarrat hai, aman khawab hai aur aman tabeer bhi. Aarzoun aur umangon ka mosam e bahar hai aman aur yehi sharf insaniyat hai, aman rahat jaan hai, ye chain ki bansuri hai aur shehnaee hai ye. Pur sukoon neend hai ye kyoun ke ye insaniyat ki zaroorat hai. Insan aksar auqat apni zaban aur hath dusron ko nuqsan pohanchata hai is liye usay apne hath aur zuban par qaboo rakhne ki hidayat hai takeh insan dusray logon ko aman o sakoon ki nemat se mehroom na kar sakay.
Tareekhi aur islahi lehaaz se Islam lafz silam se nikla hai jis ka matlab sulah o aman aur salamti hai. Islam ke isi mani aur mafhoom ke paish e nazar aik Musalman jab dosray Musalman se milta hai tou Salam kehta hai jis ka matlab hai Tujh Par Salamti Ho. Salam aik duaiya kalma hai aur Allah Ta'ala ke Asma Ul Husna mein se aik hai jis mein apne aur dusron ke liye aman o salamti ki khawahish aur arzoo shamil hai.
Chunkeh Islam is nazam hayat ka naam hai jis mein insan har qisam ki tabahi, afat aur barbadi se mehfooz rahe aur dunya mein bhi aman o salamti aur sulah o aashti qaim karne ka mojab ho. Woh safar zindagi mein dusre afrad muashrah ke sath hum ahangi ke sath chale aur koi kaam aisa na kare jis se muashray ke aman mein koi khalal waqia ho.
Hum Musalmanon ko aapas ke ikhtilafat ko mita kar darakht e deen yani deen Islam ko mazboot karne ki zaroorat hai jo deni aqaid kay majmoe ka naam hai kyun kay shakhon ki baqa aur mazbooti ka daromadar bhi darakht ki jaron par hai. Aur yeh tab hi mumkin hai ke hum bardasht, rawadari, sabar aur Muafi jesay Islami iqdaar ke aalmi asoolon par amal pera hon aur firqa wariyat se apne aap ko bachayain. Agar Musalman bhaiyon ke darmiyan koi nachaki ho jaye to dusron ko chahiye keh agey barh kar donon mein sulah kara dey. Hum sub ki ye koshish honi chahiye ke jitna hum se ho sakay aman ki batain karein aman ki baton par amal karein aur apne mulk aur dunya ko aman ke raston per dalain. Zaroori hai ke hum madrason, schoolon, collegon universitiyon aur deegar mazhabi-o-samaji adaron mein apni nai nasal ko insani Falah aur aman ki taleem dain.
Aman se hi samaaj mein taraqi mumkin hai is liye har aik ko apna bharpur kardaar ada karna chahiye takeh aik sahet mand muashray ki tashkeel ho sakain. Aaj kal ke halaat mein hum sab ki zumaidari banti hai ke aman hi ki batein karein. Yeh is soorat mein hoga jab hum aik dosray ke liye qurbani ka jazba rakhen ge. Maffi aur sabar ke islami talemaat hi aman ka sabab ban satke hain. Bardasht aur aik dosray ki madad ke hamaray riwayaat bhi aman mein ahem kirdaar ada kar saktay hain .
Ulma-e-kiram se dast badast arz hai ke Ilmi o fikri masail ko firqa wariyat ka sabab nah ban'nay den aur mazhabi ikhtilafat ko ishtial angaiz bananay se hatta al amkan bachayain, aik dusre ki bargzida shakhsiat ke ahtram ko paish e nazar rakh kar aik dosray ki dil aazari se mukammal ijtinab karein.
No comments:
Post a Comment