Pacific Ocean Urdu Documentary Behr ul Kahil Information Samandar

  Lal Gulab      
Pacific Ocean Information In Urdu Behr ul Kahil Samandar Ki Maloomat -Behr ul Kahil jisay dunya pacific ocean ke naam se janti hai dunya ka sub se bara samandar hai. Isay ye naam aik purtagezi jahaz raan ne diya tha jo darasal lateeni lafz Mare Pacificum se nikla hai jis ka matlab pur sakoon samandar hai.

Behr ul Kahil zameen ke kul raqbe ke aik tihai hisay par pheela hua hai jis ka kul raqba 179.9 million muraba km hai. Shumal se janoob ki janib bahirah Bering se behr munjamid janoobi ke darmiyan 15500 km aur mashriq mein Indonesia se lay kar Colombia aur Peru tak is ki lambai 19800 km hai. Is samandar ki maghribi had Aabnaye Malaka par khatam hoti hai. Roe zameen par sub se gehra maqam Mariana Trench behrul kahil mein waqe hai jis ki gehrai 10911 meter yani 37797 foot hai. Behrul Kahil ki ausat gehrai 4300 meter yani 14000 foot hai. Behrul Kahil mein taqreeban 25000 jazair hain jo dunya bhar ke samandar mein mojood kul jazeeron ki tadad se bhi zayada hai.

Behrul Kahil samandar ka kafi hisa aisa hai jo pani ke pur sakoon rehne ki wajah se jahaz rani ke qabil hai. Dunya ke samandaron mein jitna pani hai adhay se zayada pani is khuafnak samandar mein hai. Pacific Ocean yani behrul kahil kitna bara samandar hai is ka andaza is baat se lagaya ja sakta hai keh pura amreeca is samandar mein 18 baar sama sakta hai aur aap jantay hain keh amreeca raqbe ke lihaz se bohat bara mulk hai. Ye kitna bara samandar hai is ko aik aur tareeqe se jaan laite hain keh agar zameen ke tamam khushki ke ilaqon ko bhi shamil kar liya jaye tou hum keh sakte hain keh behrul kahil ne zameen ke aik tihai hisay ko ghair rakha hai.

Behrul Kahil ki mashoor bandargahon mein Ukohama, Hong Kong, San Fransisco, Panama, Singapore, Shanghai aur Osaka hain. Bilashuma samandaron ki dunya aik pur israr dunya hai ye jitnay gehre hain utnay hi dilchasp bhi hain.
Pacific Ocean Urdu Documentary
logoblog

Thanks for reading Pacific Ocean Urdu Documentary Behr ul Kahil Information Samandar

No comments:

Post a Comment