Neki Ka Badla Story In Urdu Neki Ka Phal Kahani In Hindi - Naiki Ka Sila Kahani In Urdu: Ye zamana qadeem ki baat hai aik gain jis ka naam ras nagar tha wahan ke log bohat naik aur ache thay. Wahan par aik shakhs Ahmad Ali rehta tha woh bohat hi ghareeb tha lekin aik bohat hi naik insan tha woh kisam tha. Woh chauhdari sahib ki zameen par kaam kar ke apna aur ghar walon ka pait palta tha. Chauhdari bohat hi zalim aur maghroor aadmi tha woh dusron se bura rawaiya rakhta tha logon ki dil azari karta tha. Ahmad ki aik hi beti thi jis ka naam Noori tha woh 8 class ki taalbah thi Ahmad Ali ki khawahish thi ke us ki beti aala taleem hasil kare.
Aik dafa wahan aik faqeer aya aur chauhdari ke ghar ko dekh kar ruk gaya aur wahan ke naukar se pani ki darkhawast ki magar jub chauhdari ne faqeer ki awaz suni tou woh gusse se bola dafa ho jao aur us ki bohat bay izzati ki. Faqeer bohat hi pyasa tha chauhdari ka rawaiya dekh kar woh ro para aur agey chal para. Qareeb hi kheeton mein Ahmad kaam kar raha tha faqeer pyas se nidhal tha keh chalna bhi mushkil ho raha tha. Ahmad faqeer ki ye halat dekhte hue dorta hua faqeeq ke paas aya aur qareeb hi darakht ki chaon talay bithaya aur jaldi se apna khana aur pani lay kar aya aur faqeeq ko paish kar diya. Faqeer pani pi kar kuch behtar ho gaya aur phir thora sa khana bhi khaya aur khush ho kar Ahmad ko dua di keh Allah Ta'ala tumhari har khushi puri kare, kuch dinon ke baad woh kheeton mein kaam kar raha tha keh us ko aik chabi mili us ne chabi apni jaib mein dal li. Jub woh kaam se farigh ho kar ghar aya tou us ne woh chabi apni biwi ko dikhai woh dekhne mein kafi purani chabi thi.
Us ne woh chabi takiye ke paas rakhi aur so gaya raat ko us ne khwab mein dekha keh kheet ke qareeb aik darakht hai jis ke tanay ke neechay aik sandooq hai jis ki ye chabi hai. Subah jub us ki aankh khuli tou woh sub kuch bhool chuka tha. Us ne chabi jaib mein dali aur Noori ko school chhornay chala gaya us ke baad woh kheeton mein chala gaya. Jub woh thak gaya tou woh saans laine ke liye usi tanay par aa baitha jis par us ne faqeer ko bithaya tha. Us ko sara khawab yaad agaya us ne jaldi se zameen khoodi tou wahan sandooq mojood tha woh sandooq lay kar ghar aya us ne jaldi se chabi nikali aur sandooq ko khoola. Jese hi sandooq khula sub ke munh khulay ke khulay rehgaye sub hairan thay aur kyun na hote sandooq qadeem zewraat aur sone ke sikon se bhara tha. Ahmad ki khushi ki intiha na rahi woh jandi se utha aur kuch ashrafiyan us ne rakh kar baqi sare gaon mein taqseem kar dien. Ahmad Ali khush tha keh us ki naiki kaam ayi aur ab un paison ke zariye Noori ko taleem dilanay ki us ki daireena khawahish puri ho jaye gi.
No comments:
Post a Comment