Haunted Hotels In World Urdu Hindi Dunya Ke Khaufnak Hotels

  Lal Gulab      
Dunya Ke Khaufnak Tareen Hotels Akhir Wahan Hota Kya Hai: Dunya mein aise bohat se alishan aur jadeed sahooliyat se aarasta hotel mojood hain jahan saiyahon ki bari tadad rehna pasand karti hai. Lekin isi dunya mein aise kayi hotel mojood hain jin se juri hain ajeeb o ghareeb aur khaufnak kahaniyan. Un hotelon se juri kahaniyan sun kar shayed hi koi shakhs yahan aik raat bhi rukna chahe.
Haqeeqat tou ye hai keh woh hotel dunya ke khaufnak tareen hotelon mein shumar hote hain kyun keh un hotelon mein janay wale aksar afrad ne apne sath pesh anay wale ajeeb o ghareeb waqiat ke bare mein bataya hai.
Un logon ka kehna tha keh unhain un hotelon mein khaufnak saye aur ruhain dikhai dien yehi nahin unhon ne bataya keh unhain un hotelon mein daraoni awazain bhi sunai dien jis ke baad woh un hotelon se bhag niklay. Khaufnak hotelon se juri un logon ki kahaniyon mein kitni haqeeqat hai ye tou mujhe maloom nahin liye aaj mein aap ko unhi hotelon ke bare mein batanay wala hon jin se kaufnak dastanain juri hain.

Crescent Hotel
Amreeca ki is riyasat Arkansas ke shehar Eureka Springs mein 19th sadi ka aik aisa hotel mojood hai jisay dunya crescent hotel ke naam se janti hai. Ye hai woh hotel isay 1886 mein tameer kiya gaya tha. Ye apne waqt ka aik intihai jadeed hotel hua karta tha lekin aaj is ka shumar amreeca ke khaufnak tareen hotelon mein hota hai. Woh log jo is hotel mein reh kar jatay hain un ka kehna hai keh yahan pur israr saye hain. Is hotel mein rehnay wale amreeciyon ka kehna hai keh unhain pura yaqeen hai keh woh saye un logon ke thay jo is hotel mein mar gaye thay.

Dr Holms Hotel
Norway ke kayi shehar aur qasbay aise hain jin ki sair ke liye log dunya bhar se Norway pohanchte hain unhi qasbon mein se Norway ka aik chota sa qasba Geilo bhi hai. Geilo us jagah waqe hai jis ke qareeb Norway ke 2 khubsurat national park waqe hai jinhain dekhne saiyahon ki bari tadad yahan chali ati hai aur yehi wajah hai keh aap ko yahan hotels bhi bari tadad mein dikhai dain ge aur unhi hotelon mein se aik dr holms hotel bhi hai. Ye 4 star hotel hai yahan 1 raat rehnay ka karaya kam se kam bhi 22000 pakistani rupay hai. Ye hotel norway ki aik jheel ke kinare waqe hai. Yahan swimming pool, gym aur degar kayi iqsam ki sahooliyat bhi mojood hain Lekin Norway ke is hotel ko bhi dunya ke khaufnak tareen hotels mein shamil kiya jata hai. Norway mein is ki shohrat ki asal wajah woh ruhain ya saye hain jo is hotel mein anay wale kayi logon ko dikhai diye. Kuch logon ka khayal hai keh is hotel mein jo saya dikhai deta hai woh us larki larki ka hai jo aaj se kayi saal pehle is hotel ke kamra number 320 mein rehnay ke liye ayi thi us us ne usi 320 number kamray mein khud ko halak kar liya tha us larki ne kyun khud ko phansi lagai thi ye baat kisi ko maloom nahin lekin us larki ki wajah se ye hotel norway samait puri dunya mein khaufnak tareen hotelon mein shamil ho gaya.

Karosta Prison
Baltic sea ke kinare abad europe ke mulk Latvia mein samandar kinare aik aisa shehar bhi hai jahan aik aisa hotel mojood hai jo nazi aur soviet fauj ke qaid khanay ke tor par istemal ho chuka hai. Dunya usay karosta prison hotel ke naam se janti hai. Ye dunya ka aik aisa ajeeb o ghareeb hotel hai jahan log sirf is liye atay hain keh woh yahan reh kar qaidiyon jesi zindagi guzar sakain. Tarikh batati hai keh yahan hazaron qaidiyon ki halakatain ho chuki hain. Kayi qaidiyon ko yahan phansi di ja chuki hai. Lekin aaj ye jail numa hotel saiyahon ki tawajah ka markaz ban chuka hai. Lekin is hotel se kayi khaufnak dastanain bhi juri hain. Yahan anay wale logon ka kehna hai keh woh yahan is liye aye thay keh yahan reh kar woh chand ghantay qaidiyon wali zindagi jee sakain lekin yahan akar unhain maloom hua keh is hotel mein kisi chez ka saya hai. Is hotel mein anay bohat se afrad ke mutabiq jub woh yahan thehre tou unhain aisa mehsoos hua keh jese koi un ke aas paas hai. Lekin bazahir un ke ilawa wahan aur koi nahin tha. Yehi nahin yahan anay walon ka kehna hai keh unhain yahan sargoshiyon aur kisi ke chalne ki awazain sunai dien jabkeh kuch ne shikayat ki keh unhain yahan pehle cheekhnay ki awazain sunai dien aur us ke baad aisa laga jese kisi ne kaha ho chale ja yahan se. Peer se jumairaat tak yahan kisi ko anay ki ijazat nahin hoti kyun keh un dinon ye hotel band rehta hai jabkeh baqi dinon mein log yahan atay hain. Agar aap kabhi Latvia mein akar is hotel ko dekhna chahain tou is jagah ka address aap ko screen par dikhai de raha hai.

Hotel Del Coronado
America ke shehar Coronado mein Hotel Del Coronado hai. Is hotel ka shumar California ke mehnge tareen hotelon mein hota hai. Agar koi is hotel mein 1 raat rehna chahe tou is waqt yahan rehnay ka sirf 1 raat ka karaya 55000 pakistani rupay hai.

Is hotel ko mexico ke qareeb 1888 mein dunya ke sub se bare samandar behrul kahil ke aik sahil kinare tameer kiya gaya tha. Ye apne waqt ka tou jadeed tareen hotel tha hi lekin ye hotel aaj bhi apni shandar location ki wajah se saiyahon mein maqbool hai. Lekin dilkash location ke ilawa bhi ye hotel aik aur wajah se bhi bara mashoor hai aur woh wajah hai is hotel mein dikhai dene wale ajeeb o ghareeb khaufnak chehre aur saye. Dunya ke dusre khaufnak hotels se agar is hotel ka mawazna kiya jaye tou is hotel ki aik alag baat ye hai keh na sirf yahan anay wale mehmanon ne is hotel mein hone wali ajeeb o ghareeb sargarmiyon ki shikayat ki hai balkeh khud is hotel ke mulazmeen bhi mantay hain keh is hotel mein raat ke waqt khaufnak awazain sunai deti hain. Is ke ilawa ajeeb o ghareeb chehre aur saye bhi dikhai dete hain. Hotel mein theharne wale kuch logon ke sath sath kuch mulazmeen ka tou ye bhi kehna hai keh unhain hotel mein ghoomti hoi aik naujawan larki bhi dikhai di jis ne kalay rang ke kapre pehne hue thay aur us ke baad woh ghaib ho gayi. Jis saal amreeca ke is khaufnak hotel ki bunyad rakhi gayi ittefaq se usi saal 1888 mein dunya ke aik aur mulk mein bhi aik aise hi hotel ki bunyad rakhi gayi jisay dunya ke khaufnak tareen hotelon mein shamil kiya jata hai chaliye ab main aap ko wohi hotel dikhata hon aur batata hon keh us hotel ke sath kon si khaufnak batain juri hain.

Fairmont Banff Springs
Ye aaj se kayi saal pehle ki baat hai keh aik family sair o sahayat ki gharz se canada ke qasbay banff mein ayi tou us ne raat rehnay ke liye hotel Fairmont Banff Springs ka rukh kiya. Unhain is hotel ke room number 873 ki chabiyan di gayi. Raat woh family usi kamre mein thehri. Subah hoi tou hotel ke aik mulazim ne dekha keh kamre ka darwaza khula hua tha aur us kamre mein raat theharne wali puri family ko katal kar diya gaya tha.

Us raat hotel fairmont banff springs ke kamra number 873 mein theharne wale tamam afrad ko kis ne katal kar dela tha ye baat aaj tak kisi ko maloom nahin ho saki lekin us waqie ke baad hi is hotel mein anay wale mehmanon ne mehsoos kiya keh woh jub hotel ki rahdariyon se guzray tou unhain mehsoos hua keh un ke paas se koi guzra aur usi waqt unhain sard hawa bhi mehsoos hoi. Shuru mein tou hotel ki intzamia ne in baton ko qisay kahaniyan qarar de kar tasleem karne se inkar kar diya aur kaha keh aisi batain sirf un ke hotel ki shohrat ko nuqsan pohanchanay ke liye hain

Lekin us ke baad jub is hotel mein aise mazeed log aa kar thehre jin ke sath wese hi waqiat pesh aye jin ki shikayat yahan theharne wale pehle mehmanon ne hotel ki intzamia se ki thi tou hotel ki intzamia bhi soch mein par gayi keh kahin haqeeqat mein is hotel mein kisi ka saya tou nahin. Abhi hotel intzamia isi khauf mein mubtala thi keh hotel mein theharne wale aik juray ne bataya keh jub woh hotel hi rahdariyon se guzar kar seerhiyon ki taraf aa rahe thay tou unhon ne aik naujawan larki ko dekha jo keh shadi ke safaid juray mein seehriyan utar rahi thi aur usi doran woh un ki nazron se ojhal ho gayi. Unhon ne ye bhi bataya keh woh larki kon thi kahan se ayi aur un ki ankhon ke samne kahan ghaib ho gayi unhain kuch maloom nahin lekin woh manzar dekh kar woh ghabra gaye aur hotel intzamia se kaha keh ab woh kabhi un ke hotel mein nahin ayain gi.

Is waqie ke baad hotel malkaan ko bhi yaqeen ho gaya keh un ke hotel mein jo waqiat pesh aa rahe hain ye woh room number 873 mein aik raat theharne wale us khandan se juray hain jinhain un ke hotel mein katal kar diya gaya tha. Hotel mein theharne wale mehmanon ki taraf se ki janay wali beshumar shikayaton ke baad hotel malikaan majboor ho gaye keh unhain room number 873 ka ab koi hal nikalna ho ga. Is ka hal unhon ne ye nikala keh apne hotel se room number 873 khatam kar diya aur us kamre ke darwazon ko eenton se hamesha ke liye band kar diya. Us kamre ko eenton se hamesha ke liye band kar dene ke baad hotel intzamia ka khayal tha keh ab un ke hotel mein woh purisrar waqiat pesh nahin ayain ge jin ki shikayat kayi mehmaan kar chukain hain. Lekin room number 873 ko eenton se band kar dene ke kayi saal guzar janay ke baad aaj bhi kayi logon ka kehna hai keh unhain andhi raat ke waqt hotel mein uroosi libas mein ghoomti hoi naujawan larki dikhai deti hai.
logoblog

Thanks for reading Haunted Hotels In World Urdu Hindi Dunya Ke Khaufnak Hotels

No comments:

Post a Comment