500 Saal Purani Peshgoi Dunya Ke Bare Mein World Prediction Story In Urdu

  Lal Gulab      
Aaj Se 500 Saal Pehle Ki Gayi Dunya Ke Khatmay Ki Peshgoi - 500 Years Old World Prediction Story In Urdu: Aaj aap us peshgoi ke bare mein jaan sakain ge jo aaj se taqreeban 500 saal pehle 1524 mein ki gayi thi. Us peshgoi ko sun kar europe mein bohat se logon ne is baat par yaqeen kar liya tha keh dunya khatam hone wali hai.

Germany ka aik mahir falkiyat jis ka naam Johannes Stöffler tha us ne 1524 mein ye peshgoi ki thi keh 20 february 1524 ko ye dunya khatam honay wali hai. Us ne dunya ke khatmay ki wajah bhi batai thi. Us ne bataya tha keh dunya se insanon ke khatmay ki wajah woh shadeed tufani barishain hon gi jo puri dunya mein khaufnak sailaab ka baes banain gi aur woh sailaab tamam insanon ko baha lay jaye ga aur dunya ki har chez doob jaye ga sub kuch khatam ho jaye ga. Stoffler kyun keh germany ke sath sath europe ke kayi dusre mumalik mein bhi mashoor tha aur wahan ke log us ki baat par yaqeen bhi kartay thay yehi wajah thi keh us ki ye peshgoi sun kar log khauf zada ho gaye. Bohat se logon ne us ki is peshgoi par yaqeen kar liya. Tarikh batati hai keh kuch log aise bhi thay jinhain us ki peshgoi par yaqeen tou nahin araha tha lekin sailaab ki wajah se dusre logon ki tayariyon aur ghabrahat ko dekh kar woh bhi andar se kahin na kahin daray hue thay unhain ye khauf tha keh agar 20 february 1524 ko sach mein barish shuru ho gayi tou phir stoffler ki janib se ki janay wali dunya ke khatmay ki peshgoi yaqeenan sach ho kar rahe gi. Lihaza woh 20 february 1524 ke din ka intzar karne lage.

Jin logon ne Stöffler ki peshgoi par yaqeen kar liya tha woh afratafri ke alam mein unchi jaghon aur pahari ilaqon ka rukh kar rahe thay kuch log tou ye koshish kar rahe thay keh barish shuru hone se pehle woh kashtiyan bana lain.

20 February 1524
20 february 1524 ka din aya ye wohi din tha jis ke mutabiq shadeed sailaab dunya ka khatma karne wala tha. Europe mein behnay wala aik darya jis ka naam darya e rhine hai ye europe ke 6 mumalik se guzarta hai ye wohi darya hai jis mein 20 february 1524 ko Stoffler ki peshgoi se ghabraye hue log apni apni lakri ki kashtiyon mein sawar thay aur jin ke pass kashtiyan nahin thien woh buland paharon par mojood thay. Stöffler ki peshgoi se ghabraye log asman par nazrain lagaye baithay thay. Achanak asman par badal namudar hue un badalon ko dekh kar woh log ghabra gaye aur barish na hone ki duain mangne lage. Lekin aik ajeeb o ghareeb ittefaq aisa hua keh barish bhi shuru ho gayi. Barish dekh kar logon ne rona shuru kar diya unhain stoffler ki peshgoi sach hoti dikhai de rahi thi. Woh barish zameen par hone wali aam barishon ki tarah hi thi jo thori dair ke baad ruk gayi. Na sailaab aya na zameen ka koi shehar zair e aab aya aur na hi koi insan dooba. Stoffler ki dunya khatam hone ki peshgoi mukammal tor par ghalat sabit ho chuki thi.

Stoffler ne apni peshgoi ghalat sabit hone ke baad kaha keh us ne ye peshgoi kuch saiyaron jin mein mushtari bhi shamil tha unhain dekh kar ki thi. Stoffler apni peshgoi ke ghalat sabit hone ke baad bhi peshgoiyan karne se baaz na aya aur un ne 4 saal baad phir se dunya ke khatmay ki peshgoi kar dali. Lekin is baar kisi ne us ki peshgoi par yaqeen na kiya aur us ki dusri peshgoi ka bhi wohi hashar hua jo keh pehli ka hua tha kyun keh woh peshgoi bhi ghalat sabit ho gayi.
logoblog

Thanks for reading 500 Saal Purani Peshgoi Dunya Ke Bare Mein World Prediction Story In Urdu

No comments:

Post a Comment