Singapore History In Urdu Singapore Information In Hindi Singapore Weather

  Lal Gulab      
Singapore History In Urdu Singapore Information In Hindi

Singapore aik khush haal aur pur aman mulk hai jis ne bohat thoray arsay mein itni taraqi ki keh aaj ye Malaysia aur Indonesia ko bhi peechay chhor chuka hai. Singapore mein 90% se zayada shehri apne zati ghar mein rehte hain aur ye mulk fi kas amdani ke aitbaar se dunya ke choti ke mulkon mein shamil hai. 2014 mein singapore mein fi kas majmoi amdani chapan hazar do so chorasi dollar record ki gayi thi.

Singapore ke baguzrgon ke mutabiq is jazeeray ko aik shehzada jo Sriuijays ki riyasat se aaya tha ne daryaft kiya aur is ka naam Singapore rakha. Janoob mashriqi asia mein Singapore dunya ki bari tareen aur masroof tareen bandargahon mein se aik hai. Is ka kul raqba 36 square meel hai ye asia ki bari daramad gah hai. Yahan se rabar, tail, lakri, machinery, kapra aur chawal dusre mulkon ko bhijwaye jate hain.

Singapore ki aham imaraton mein victoria theater, Reffles Hotel, City hall aur high court aham hain. Yahan ka international airport 1981 mein tameer kiya gaya. Yahan par bohat se khubsurat bagh bhi mojood hain yahan ke mashoor parkon mein Amusement park aur Jurong Bird park mashoor hain. Singapore aik chota sa jazeera hai magar yahan safai ka behtareen nizam hai is ke sath hi har 100 - 200 meter ke faslay par telephone booth aur drinks ki khudkar machinain mojood hain aur bason mein conductor ki bajaye ticket print karne wali machine musafiron ke liye asani ka baes hain ye nizam singapore mein 1996 mein hi aa chuka tha jub keh us waqt Pakistan mein metro bus ya aisi jadeed transport ka door door tak koi naam o nishan tak nahin tha.

Singapore aik gunjaan abad mulk hai is jazeeray ke janoobi hisay mein karobari aur tijarati marakiz hain aur mulk ke zayada tar log is hisay mein abad mein. Yahan ki population 3 naslon par mushtamil hai jin mein Malai nasal, Cheeni nasal aur India ke tamil shamil hain jo 100 saal pehle mazdoori aur tijarat ki gharz se yahan abad hue thay. Singapore mein taqreeban 3 chothai log cheeni hain aur Malai nasal mein Muslims ki tadad bhi achi khasi hai.

Yahan aik karoobari center Mustafa center ke naam se mashoor hai jis mein julery ka karobar karne wale zayada tar indian hain jabkeh isi ilaqe mein pakistaniyon ne kuch makan karaya par lay rakhe hain jo yahan se electronics ka saman Pakistan lay kar jatay hain. Singapore ke logon ka mayar e zindagi dunya mein buland tareen hai yehi wajah hai keh dunya bhar se log yahan apne rozgar ki talash mein aur apni zindagi jeenay atay hain. Singapore ka jazeera shumal se janoob ki taraf 22 km tak pheela hua hai jab keh mashriq se maghrib ki taraf 50 km tak pheela hua hai.

Singapore Weather In Urdu
Singapore ke mausam ki baat ki jaye tou Singapore mein aab o hawa puray saal aik jesi rehti hai. Yahan ka ausat darja hararat 27 degree centigrade hai aur ausat salana barish 2400 mili liter record ki gayi hai. November aur January ke maheenay mein barish bohat zayada hoti hai.

Is mulk ke taqreeban adhay se zayada jazeeray par karkhanay aur rehaish gahain banai gayi hain aur zarai ilaqa bohat kam hai jub keh is ka pahari ilaqa qudrati jungle par mushtamil hai jahan chohe, hiran, lomriyan payi jati hain. Yahan pani ki kami hai aur pani ki ye kami malaysia se pani hasil kar ke door ki jati hai. Yahan maghribi libas aam hai aur yahan ke khanon ki baat ki jaye tou yahan cheeni, indian aur malai ke andaz se khanay khaye jatay hain. Singapore mein unchi unchi roshan emaratain hain yahan dunya ke dusre mulkon se aye hue saiyahon ki bari tadad dikhai deti hai.

Agar aap Singapore mein sair o sayahat ke liye ana chahte hain tou yaad rakhiye singapore bohat mehnga shehar hai khas kar agar aap ka taluq Pakistan se hai tou currency ke farq ki wajah se mehngai ka ehsas aur bhi zayada hota hai.

Singapore Ke Bare Mein Ye Aur Bhi Zabardast Maloomat Yahan Se Parhain

Raat ki tareeki mein taron bhara asman sadiyon se insan ko apni khubsurati ke jalway dikhata chala araha hai magar jub Singapore mein raat suraj ko alwida kehtay hue utar aati hai tou fiza masnoi roshniyon se jagmaga uthti hai yehi wajah hai keh singapore mein raat ki tareeki mein asman ka asal husn chupa rehta hai.

logoblog

Thanks for reading Singapore History In Urdu Singapore Information In Hindi Singapore Weather

No comments:

Post a Comment