Imran Nazir History In Urdu Biography Imran Nazir Life Story Hindi

  Lal Gulab      
Imran Nazir History In Urdu Biography Imran Nazir Life Story Hindi
Dunya e cricket ke asman par ye chamakta hua sitara pichlay kafi arsay se dikhai nahin de raha magar in ki dhunwan dar balay bazi aaj bhi cricket ke deewanon ko achi tarah yaad ho gi. Imran nazir 16 december 1981 mein Pakistan ke subah Punjab ke shehar Gujranwala mein paida hue.

Imran Nazir Ka Bachpan
Imran nazir ko bachpan se hi patang bazi ke sath sath cricket kheelne ka bhi kafi shoq tha magar aik ghareeb gharanay se taluq rakhnay ki wajah se cricket ka mehnga saman khareedna un dinon us ke liye bohat mushkil tha yehi wajah thi ke imran nazir ke paas cricket kheelne ka liye apna cricket bat bhi nahin hua karta tha aur woh apne bhai ke halkay se bat se gard o ghubar se bharay na hamwar maidanon mein cricket kheela karta tha. Is bare mein imran nazir ka kehna tha ke un ki zindagi mein aisa waqt bhi aya tha jub woh chahta tha ke us ka apna khud ka cricket bat ho magar us ke paas cricket ka bala khareednay ke liye paisay nahin hua kartay thay. Woh apni is khawahish ko puri karne ke liye kheelon ka saman baichnay wali aik dooraan par gaya jahan us ne dukan dar ko ye keh kar bat khareeda ke abhi meri paas paise nahin hain jub mere paas paise ayain ge main thoray thoray kar ke de doun ga.

More Information About Pakistani Cricketer Imran Nazir
Imran nazir ka abai ghar mureed kay mein hai jahan imran nazir ne apna bachpan guzara. Apne bachpan ke bare mein imran nazir ka kehna tha ke bachpan chahe ghareeb ka ho ya ameer ka ho bachpan tou khubsurat hota hai mera bachpan kachay ghar mein guzra us waqt mere ghar ke aas paas kuch logon ke ache ghar thay aur mera bhi dil karta tha ke kash mera ghar bhi in logon jesa khubsurat ho. Main jub apne bachpan ke dinon ke bare mein sochta hon tou aik ajeeb si feeling hoti hai ke main kya tha aur kya ban gaya hon. Mureed kay ke gali kuchon mein dusre bachon ke sath kheeltay kheeltay imran nazir ne apne bachpan ke dinon ko jiya. Woh na garmi dekhta tha na sardi bas har waqt us ke sar par cricket kheelnay ka janoon sawar hua rehta tha.

Imran Nazir Ki Pehli Naukari 2800 Pakistani Rupees
Bachpan ke dinon ne alwida kehna shuru kiya tou imran nazir ko aik jagah naukari mil gayi jahan us ko 2800 mahana mila karta tha. Imran nazir apni pehli kamai ke bare mein batata hai keh abhi bhi mujhe apni woh pehli pay yaad hai jub main apni zindagi ke kamaye hue woh pehle 2800 rupay ghar lay kar gaya tha mere sub ghar wale bohat khush hue thay. Tab kon janta tha keh 2800 rupay maheenay ke kamanay wala ye imran nazir aik din croron ka malik ban jaye ga aur dunya bhar ke mulkon ke aur shohrat ke darwazay us par khul jayain ge. Imran nazir ne sirf daswien tak taleem hasil ki. Imran nazir ke doston ka kehna hai ke imran nazir ke buray dinon mein jis ne imran nazir ka sath diya imran kabhi usay bhoola nahin.

Imran Nazir Ki Zindagi Ka Turning Point
1999 imran nazir ki zindagi ka woh saal tha jis ne us ki zindagi mukammal badal kar rakh di us ko zameen se utha kar shohrat ke asman par pohancha diya aur usay is qabil kar diya ke bachpan mein woh jin cheezon ko khareednay ke liye tarasta tha ab woh aik hi lamhe mein woh sub kuch khareed sakta tha. Imran nazir ke liye 1999 woh saal tha jub us ne apni zindagi ka pehla international match sri lanka ke khilaf kheela tha us match mein sri lanka ki taraf se Gunawardene bhi test cricket mein apna pehla match kheel raha tha. Is match ke bare mein imran nazir ka kehna tha keh woh apni zindagi mein pehli baar sirf isi match mein ghabraya tha is ke baad cricket ki dunya mein usay kisi bowler se khauf mehsoos nahin hua. Is match mein imran nazir Saeed Anwar ke out honay ke baad batting karnay aya tou 87 balls mein 64 runs ki innings kheeli isi match mein shahid afridi apni pehli hi gaind kheeltay hue sirf 0 par out hue thay.

Imran Nazir tez kheelnay aur zaroorat se zayada shots kheelnay ki wajah se test cricket kam kheela Imran ne ab tak sirf 8 test matches kheelay hain. Imran Nazir ko kayi baar Pakistan cricket team se drop bhi kiya gaya aur woh apni karkardagi aur dusre bay shumar opening balay bazon jese salman butt, Muhammad Hafiz, Yasir Hameed, Taufeeq Umer aur Imran Farhat ki wajah se aksar team mein jagah banane mein mushkilat ka shikar rahe.

Imran Nazir ne apni zindagi ka pehla aik roza international match bhi Sri Lanka ke hi khilaf kheela tha is match ki khas baat ye thi ke is match mein Pakistan ki mashoor opening jori Saeed Anwar aur Amir Sohail ki jagah Shahid Afridi aur Imran Nazir opening kar rahe thay magar Shahid Afridi pehle over ki chothi gaind par aur Imran Nazir teesray over ki pehli gaind par hi out hue thay aur woh match Pakistan haar gaya tha.

Magar Pakistani openers ke baar baar nakam honay ki wajah se Imran Nazir ki kismat bhi waqfay waqfay se us ka sath deti rahi aur woh Pakistani team mein jagah banata raha.

Coca Cola Cup 2000
31 march 2000 ko coca cola cup ke final mein janoobi africa ke khilaf imran nazir ne 7 chokon aur 2 chakon ki madad se 89 balls par 69 runs ki aham innings kheeli jabkeh dusre end se Shahid Afridi ne bhi 52 runs bana dalay aur donon ne 22 overs tak 123 runs ki shandar partnership qaim ki. Ye ba hesiyat jori in donon ka pehla kamyab muqabla tha Pakistan ye match 16 runs se jeet gaya tha. Is tournament mein Imran Nazir ne 5 innings mein 38 ki average se 2 nisf centuries ki madad se 194 runs banaye yunh kisi had tak ye kamyab karkardagi kahi ja sakti hai.

Magar is ke baad kuch matchon mein imran acha perform karta aur kuch mein bilkul nakaam rehta isi baat ne phir se usay team se drop kar diya. Kismat bhi bari ajeeb chez hoti hai kisi ka tou bilkul bhi sath nahin deti aur kisi par bohat meharban rehti hai agar ye kaha jaye keh qismat ne imran nazir team mein apni jagah paki karne ke bohat chance tou ye ghalat nahin ho ga lekin woh in mawaqon se faida uthanay mein nakam raha.

Magar tez tareen balay bazi karne ki wajah se imran nazir cricket shaiqeen ke pasandida khalariyon mein shamil raha kyun ke woh apne lambe lambe chakon ke wajah se crowd ko intertain kiya karta tha aur is ke ilawa woh fielder bhi bohat acha tha jo ground mein behtareen fielding ki wajah se crowd se daad wasool kiya karta tha.

Cricket World Cup 2007
Saeed Anwer ke baad dusre openers ki musalsal nakamiyon ki wajah se Imran Nazir ko world cup 2007 mein Pakistani team mein phir se shamil kiya gaya jis mein Imran Nazir ne zimbabwe ke khilaf Pakistan ke akhri match mein 160 runs ki innings kheeli ye Imran Nazir ke career ki behtareen innings thi is mein unhon ne 8 chakay lagaye aur world cup mein rickey ponting ka record barabar kar diya. Ye score aalmi cup ki tareekh mein us waqt Pakistan ke kisi bhi khilari ka sub se zayada score bhi tha.

ICL Kheel Kar Career Dao Par Laga Diya
Imran Nazir ne apne bain al aqwami cricket career ko us waqt dao par laga diya jub woh un chand Pakistani khilariyon mein shamil thay jinhon ne indian cricket league yani icl mein kheelne ka faisla kiya. Jabkeh Pakistan cricket board ne ye baat pehle hi wazeh kar di thi keh icl mein hisa laine wale Pakistani khilariyon ke liye Pakistan cricket team ke darwazay band kar diye jayain ge is baat ko Pakistani khilariyon ne adalat mein challenge kiya tha.

Wedding Of Imran Nazir Ki Shadi
Imran Nazir ne 2009 mein Amber Hafeez se shadi ki is bare mein Imran nazir ka kehna tha ke jitna khush woh pehli baar test cricket kheelnay par hua tha utna hi khush woh apni shadi par bhi tha.

Yaadgar Innings
Imran Nazir ke nazdeek us ki yaadgar innings mein se 131 runs ki woh innings hai jo us ne 2000 mein west indies team ke khilaf kheeli thi jis ke bare mein Wasim Akram ne Imran Nazir ko aik khas baat kahi thi keh Tumhain pata hai tumhari ye century tumhari zindagi ki behtareen century ho gi kyun ke tum ne ye century dunya ke sub se khatarnak aur mushkil tareen bowlers courtney walsh aur ambrooz ke khilaf banai hai aur in ke khilaf century banana har admi ke bas ka kaam nahin hai.

Imran Nazir Ka Last Match
Imran nazir ne Pakistan ki taraf se apna akhri match Sri Lanka ke khilaf ICC World T20 mein 4 october 2012 ko kheela tha jis mein Imran Nazir ne 21 gaindon mein 20 runs banaye thay. Is ke baad Imran Nazir pakistani cricket team se aise ghaib hue keh aaj tak dobara Pakistan ki taraf se koi match nahin kheel paye aur agar woh ayenda bhi Pakistan ki taraf se koi match na kheel sakay tou ham ye keh sakte hain keh Imran Nazir ne apni zindagi ka pehla aur akhri match Sri Lanka ke khilaf hi kheela tha. Imran Nazir chahay Pakistan ki cricket team mein lambay arsay tak apni jagah na bana saka magar woh aik dalair khilara tha jis ne dunya ke har bowler ki khoob dhulai ki aur stadium aur tv sets ke samne mojood shaiqeen ko khoob mehzooz kiya. Aaj bhi dunya mein bohat se log Imran Nazir ke bohat bare fan hain. Aap imran nazir ke bare mein kya khayalat rakhte hain apni raye ka izhar zaroor karain.

logoblog

Thanks for reading Imran Nazir History In Urdu Biography Imran Nazir Life Story Hindi

No comments:

Post a Comment