Happy New Year Night History Urdu - Naye Saal Ka Jashan Kaise Shuru Hua? New year night ki taqreebat ka baqaida aghaz uniswien sadi ke shuru mein hua. Bartania ki royal navy ke naujawanon ki zindagi ka zayada hisa behri jahazon mein guzarta tha. Ye log samandarn ke thaka dene wale safaron se bezaar ho jate to jahazon ke andar hi apni dilchaspi ka saman paida kar laitay. Ye log ranga rang taqreebat manatay, sharab peetay, raqs karte aur gir, parr kar so jatay. Aglay din jub un ki ankh khulti tou samandar apni puri tazgi aur nayi umeedon ke sath bicha hota.
Ye log taqreebat manatay lekin saal lamba aur taqreebat mukhtasir. Yehi wajah thi keh ye log taqreeb ka bahana talash karte. Aik dusre ki salgirah manatay aik dusre ki biwi bachon ki salgirhain manatay, week end manatay, mazhabi tehwaron ka ahtmam karte. Jub ye sare mawaqa bhi khatam ho jate tou aik dusre ke ghar banane ki khushiyan manatay. Inhi taqreebat ke doran kisi ne kaha:
"Kyun na hum sub mil kar naye saal ko khush amdeed kaha karain."
Ye idea unhain acha laga lihaza us saal 31 december ko jahaz ka sara amlah ikatha hua unhon ne jahaz ke hall room ko sajaya, moseeqi aur sharab ka ahtmam kiya, raat 10 bajay sub ne khoob sharab pi kar raqs kiya aur theek 12 bajkar 1 minute par aik dusre ko naye saal ki mubarik baad di aur aik dusre ko apne hath se aik aik jaam paish kiya. Tou mere qabil qadar dosto ye new year night ka baqaida aghaz tha.
Is ke baad aglay saal september aur october hi mein new year night ka intezar shuru ho gaya. December aya tou juniour afsaron ne apne senior afsaron ko darkhwast di keh:
"Hum aik taweel arsay se apne gharon se door hain. Samandar ki boriyat hamain khudkushi par ubhar rahi hai, hum new year night manana chah rahe hain aur hamain raqs ke liye khwateen sath darkar hain. Meharbani farma kar hamain sirf aik raat ke liye sahil se khawateen sath lanay ki ijazat di jaye."
Officer apne matehton ki zaroorat se waqif thay chunancheh unhon ne ijazat de di. Us raat qareeb tareen sahil se fahshah auraton ka bandobast kar diya gaya. Ye new year night un ke liye khulay samandar mein apne behri jahazon par guzari hoi dusri raton se kahin zayada rangeen thi kyun keh us mein sharab ke sath shabab bhi mayasar tha. Yun dunya mein musalsal dusri baar naya saal manaya gaya.
Jub dusra saal bhi guzar gaya tou teesray saal naye saal ki taqreeb mein batiyan bhujanay ka silsila bhi shuru ho gaya. Is ki tafseel kuch yun hai keh aik sipahi ne jahaz ke electric system ke rakhwalay ko chand pound diye aur us se kaha keh:
"Jun hi raat ke 12 bajain chand second ke liye batiyan gul kar dena."
Jahaz ke electric system ke rakhwalay ne us ki baat par amal kiya aur jun hi raat ke 12 bajay roshniyan bhuj gayien. Floor par mojood tamam logon ne shor macha kar naye saal ka istaqbal kiya. Phir achanak roshniyan namudar hoien aur roshniyan gul karne wale officer ne mic par tamam logon ko happy new year kaha. Tamam afsaron aur matehton ne taliyan baja kar us ka shukriya ada kiya aur phir teesra saal bhi guzar gaya aur yahan se ye tehwar bartania samait europe bhar mein manaya janay laga jahan se ye amreeca aur dunya bhar ke dusray mumalik tak bhi ja pohancha jahan new year mananay ke naye naye tareeqay nazar anay lage jis mein raat 12 bajtay hi naye saal ka istaqbal atish bazi se kiya janay laga jo aaj tak jari hai.
No comments:
Post a Comment