Dunya Ki Abadi Ka Akhri Kinara Mosque In World's Coldest City

  Lal Gulab      
Aaj jo kahani main aap ko sunanay wala hon woh aik Masjid ki kahani hai jo keh dunya ke intihai sard shehar mein mojood hai us shehar ki aik khas baat ye bhi hai keh us shehar mein suraj hafton tak nikalta hi nahin aur wahan ke shehri andhere mein apni zindagi guzartay hain. Tou aeye usi shehar mein chaltay hain aur us shehar ki kahani jaan letay hain.

Norilsk shehar Siberia ka intihai sard tareen shehar hai. Rus ke is shehar ko ye aizaz hasil hai keh ye dunya ke un shehron mein shamil hai jahan suraj kayi hafton tak nahin nikalta. Yahan 30 november se 14 january ke darmiyan ke 6 haftay aise hotay hain jub suraj asman se mukamal tor par ghaib rehta hai us doran yahan ki sardi mein mazeed izafa ho jata hai aur darja hararat minus 55 degree centigrade tak gir jata hai.

Siberia ka ye shehar dunya ke intihai shumal mein qutab shumali se 402 km ki doorie par waqe hai. Yani agar ye kaha jaye keh ye shehar us jagah waqe hai jahan se agey insani abadi khatam ho jati hai tou ghalat nahin ho ga. Aur insani abadi ke akhri kinaron par mojood is shehar ki jo khas baat hai woh ye hai keh dunya ke intihai shumal mein jo Masjid hai woh Siberia ke isi sard tareen shehar mein hai. Dunya us masjid ko Nurd Kamal Masjid ke naam se janti hai. Is Masjid ki aik khas baat ye bhi hai keh dunya ke intihai shumal mein is masjid se agey dusri koi aur masjid nahin ati.

Is shehar ki khush kismati ka aghaz tab hua jub 1995 mein is masjid ka tameer ka aghaz hua aur sirf 3 saal ke arsay mein hi is masjid ko tameer kar liya gaya yun is shehar ki fizaon mein bhi Azan ki awaz gunjnay lagi aur log is shehar ki shadeed sardi mein bhi Allah ki ibadat karne, Allah ko yaad karne aur namaz parhne is masjid mein anay lage aur ye silsila ab rehti dunya tak qaim rahe ga In Sha Allah.

Is shehar ki 45 din lambi raat aur khoon jama dene wali shadeed sardi bhi Musalmanon ko is masjid mein anay se nahin rok sakti. Is khubsurat masjid ke darwazay raat dair gaye tak har aik ke liye khulay choor diye jatay hain. Qutub shumali ke qareeb waqe is shehar mein taqreeban 2 lakh ke qareeb log abad hain aur un mein Musalmanon ki bhi achi khasi tadad hai. Masjid ke imam ka kehna hai keh hamari samaji zuban aik hi hai ham apas mein aik gharanay ki tarah rehte hain. Is masjid ki 2 manzilain hain jin mein se aik masjid madrasay ke tor par istemal hoti hai.

Is masjid ki fan e tameer ki jitni bhi tareef ki jaye woh kam hai is masjid se is shehar ke husn ko 4 chand lag chukay hain. Is shehar mein jub suraj 6 hafton ke liye ghaib hota hai tab ye masjid is shehar ke andheron ko bhi khatam kar deti hai.

Agar aap bhi zindagi mein kabhi is shehar aur is shehar mein mojood is khubsurat Masjid ko dekhne ke liye yahan ana chahte hain tou khayal rahe keh rus ke bare shehron se paharon mein ghiray is sanati shehar tak pohanchne ke liye koi zameeni rasta nahin hai yahan rasai ka wahid zariya hawai jahaz hai. Dunya ki abadi jahan khatam hoti hai wahan is Masjid ka mojood hona is baat ki taraf ishara karta hai keh Islam puri dunya mein pheel chuka hai.
logoblog

Thanks for reading Dunya Ki Abadi Ka Akhri Kinara Mosque In World's Coldest City

No comments:

Post a Comment