Baba Vanga History In Urdu Hindi Baba Vanga Ki Peshgoi Predictions

  Lal Gulab      
Baba Vanga History In Urdu - Aap ne Baba Vanga ke bare mein tou suna hi ho ga g haan wohi baba wanga jis ke bare mein us ke hamayatiyon ka kehna hai keh us ki har peshgoi sach sabit hoti hai lekin kitni sach us ki peshgoiyon ki haqeeqat kya hai? Baba wanga ko dunya bhar mein jo shohrat hasil hoi woh us ki peshgoiyon ki wajah se hi hasil hoi. Baba vanga ne aaj se 3000 saal agey tak ki peshgoiyan kar rakhi hain us ne us saal ke bare mein bhi bataya hai jis saal ye dunya aur ye puri kainaat khatam ho jaye gi.


Baba Vanga aaj se 109 saal pehle 31 january 1911 ko Balgaria aur Macedonia ki sarhad par waqe shehar Strumica mein paida hoien. Yahan aik dilchasp baat ye hai keh baba vanga ka naam kisi ajnabi ne rakha tha kyun keh jis ilaqe mein baba vanga paida hoi un dinon wahan ye asool tha keh jub bacha ya bachi paida ho tou gali mein nikal kar koi bhi ajnabi insan nazar ata tou us se dunya mein naye anay wale bache ya bachi ka naam daryaft kiya jata tha yun baba vanga paida hoi tou us ka naam Vengila rakha gaya jo baad mein Vanga ban gaya.

Baba Vanga ke walid dusri jang e azeem mein sipahi thay. Jang ke baad Serbia ne Vanga ke walid ko qaid kar liya jis ki wajah se Vanga ki family ne kayi saal ghurbat ke guzare.

12 saal ki umar tak aik aam si zindagi basar karne ke baad woh aik purisrar bagoolay ki zad mein agayi jis ki wajah se baba vanga ki basarat kam hoti chali gayi. Us waqt usay apne andar ghair mamooli salahiyat ka andaza hone laga aur log apne masail ke hal ke liye us ke paas anay lage aur yahin se baba vanga ki peshgoiyan karne ka silsila shuru hua.

Baba Vanga Ki Peshgoiyan

2020 Se 2023 Tak
Baba vanga ki peshgoi ke mutabiq 2020 se 2023 ke darmiyan ka saal aise hon ge jin mein zameen ke madar mein herat angez tor par tabdeeli ho gi.

2025 Se 2028 Tak
Baba vanga ki peshgoi ke mutabiq 2025 se 2028 tak europe mein insani abadi na hone ke barabar ho gi. Europe mein aise ilaqe bohat kam milain ge jahan log abad hon ge.

2030 Se 2035 Tak
Baba vanga ne beshumar pesh goiyon mein se aik peshgoi ye bhi hai keh 2030 se 2035 ke doran barf pighalne ki wajah se samandaron ki satah mein khatarnak had tak izafa ho jaye ga.

2046 Se 2070 Tak

Baba vanga ke mutabiq 2046 se lay kar 2070 tak america dunya ke kisi Musalman mulk par aik naya khatarnak hathyar istemal kare ga jis ki wajah se wahan darja hararat tezi se gir jaye ga.

2090 Se 2170 Tak
Baba vanga ki peshgoi ke mutabiq 2090 se lay kar 2170 ke darmiyan ka zamana aisa ho ga jis mein insan is qabil ho jaye ga keh woh aik masnoi suraj bana lay ga aur yun raat ko khatam kiya ja sakay ga. Yehi nahin Baba vanga ke mutabiq usi doran insan robot ki tarah kaam karain ge yehi nahin aik herat angez peshgoi us ne ye bhi ki keh janwar adhay insan ban jayain ge. Aur insan zameen se nikal kar kisi aur saiyaray par abad hone ki koshish kare ga.

2170 Se 2256 Tak
Baba vanga ke mutabiq 2170 ke baad se 2256 tak marikh par mojood abadi atomi taqat ban jaye gi aur dunya se azadi ka mutalba karay gi.

2260 Se 2304 Tak
Baba Vanga ki aik ajeeb o ghareeb peshgoi ye bhi hai keh jub 2260 aye ga tou  us waqt suraj thanda par jaye ga aur usay masnoi tor par jalanay ki koshish ki jaye gi jo keh 2262 tak jari rahe gi lekin ye koshish zayada kamyab nahin ho gi.

2341 Se 3705 Tak
Baba vanga ke mutabiq aik zamana aisa bhi aye ga jub 2341 se lay kar aglay 1400 saalon ke doran koi khaufnak chez khala se zameen ki taraf tezi se barhay gi aur us se zameen ke tabah hone ka khatra ho ga lekin woh khatra ain waqt par tal jaye ga.

3797 Mein
Baba vanga ke mutabiq is saiyara zameen par insan ka akhri saal 3797 ka ho ga kyun keh 3797 mein ye dunya khatam ho jaye gi aur insan is zameen se kisi aur saiyare ki taraf hijrat kar jaye ga.

3805 Se 3815 Tak
Baba vanga ke peshgoi ke mutabiq 3805 mein insan jis saiyare par nayi zindagi jee raha ho ga us par jang kare ga aur woh jang lari jaye gi wasail ke liye jo keh 10 saal jari rahe gi aur 3815 mein us ka khatma ho ga. Lekin us jang mein us saiyare par rehnay wale adhay log halak ho jayain ge.

Kainaat Ka Akhri Saal 5079
Baba vanga ki peshgoi ke mutabiq aaj se taqreeban 3000 saal baad 5079 mein is dunya ka khatma ho jaye ga. Tou ye thien mustaqbil ke haewalay se baba vanga ki peshgoiyan jo keh ghalat sabit hon gi kyun keh Allah ke siwa koi nahin janta keh is dunya aur kainaat ka akhri din kis din ho ga.
logoblog

Thanks for reading Baba Vanga History In Urdu Hindi Baba Vanga Ki Peshgoi Predictions

No comments:

Post a Comment