Aaj main aap ko phir se dunya ke aik aise hi shehar ki sair karwanay wala hon jahan ab se kuch dinon ke baad suraj 36 minute aur 39 second ke liye niklay ga aur us ke aglay hi din wohi suraj 45 din tak ghaib ho jaye ga. Yani us shehar mein log naye saal ka aghaz bhi andhere mein karain ge. Is waqt bhi wahan itni shadeed sardi hai keh main aur aap bhi apni baqi zindagi us shehar mein bilkul bhi na jeena chahain lekin is ke bawajood wahan taqreeban 2 lakh ke qareeb log apni zindagi jee rahe hain . Us shehar ki aik aur khas baat ye hai keh dunya ke intihai shumal mein agar koi masjid hai tou woh bhi usi shehar mein hai aur us masjid se agey dunya mein aur koi masjid nahin hai. Yani mazeed asan alfaz mein ye keh aap ye keh sakte hain keh woh masjid dunya ki abadi ke akhri kinaron par mojood hai.
Aaj hum janain ge us shehar ki 45 din taweel raat ke bare mein aur hum sair bhi karain ge. (Is ke liye is post ke nechay Norilsk ki video dekhain)
- Us shehar ke pahari ilaqon ki.
- Wahan ki aik jheel ki sair jo saal mein zayada arsa jami rehti hai.
- Wahan ke kayi tareekhi aur tafreehi maqamat ki sair.
- Is ke ilawa is video mein main aap ko dikhaon ga woh masjid jis se agey dunya ke intihai shumal mein aur koi masjid nahin ati.
- Is article ke akhir mein parhain Norilsk shehar par bani poetry urdu zuban mein.
Tou chaliye us shehar mein chaltay hain aur ye jannay ki koshish karte hain keh woh intihai coldest city dunya ke kis shehar mein hai aur kis mulk mein waqe hai.
Norilsk shehar Saint Petersburg se 2,815 km ke faslay par waqe hai. Norilsk shehar siberia mein waqe rus ka intihai sard shehar.
Norilsk shehar Saint Petersburg se 2,815 km ke faslay par waqe hai. Norilsk shehar siberia mein waqe rus ka intihai sard shehar.
Norils Weather - Coldest City In World Urdu/Hindi
Is shehar ke mausam ki baat karain tou yahan sardi ka ye alam hai keh yahan salana ausat darja hararat manfi 10 degree centigrade hota hai lekin jub yahan sardiyan ati hain tab is shehar ka darja hararat manfi 55 degree centigrade tak bhi gir jati hai. G haan aap ne sahi suna manfi 55 degree centigrade. Yahan saal mein 250 se 270 dinon tak sardi ka mausam rehta hai jis mein 110 se 130 din tak shadeed barf bari hoti hai. Ye shehar 8 se 9 maheenay tak barf se dhaka rehta hai. Yahan 45 din ki taweel raat hoti hai. Saal ke un 45 dinon mein yahan ke shehri mukamal andhere mein rehte hain.
Coldest Places Where Sun Doesnt Rise For 45 Days
November ke in dinon mein yahan suraj tou nikal raha hai lekin ab se kuch din baad yani 28 november ko yahan 12:18 minute par suraj niklay ga aur 1 baj kar 30 minute par dhal bhi jaye ga yani 28 november ko suraj nikalne ke theek 1 ghante 12 minute aur 27 second ke baad yahan raat ho jaye gi. Is ke baad aglay hi din suraj 12:36 minute par niklay ga aur 1 baj kar 13 minute par doob jaye ga yani us din suraj sirf 36 minute aur 39 second ke liye niklay ga aur us ke baad dikhai dena band ho jaye ga aur ye silsila aglay 45 dinon tak jari rahe ga yun suraj ke bina hi is shehar ke rehaishi naye saal mein dakhil hon ge aur masnoi roshniyon mein aur intihai shadeed sardi mein yahan naye saal ko khush amdeed kaha jaye ga. Naye saal mein dakhil hone ke 13 din baad bhi is shehar mein suraj dikhai nahin de ga.
45 Din Baad Norilsk Mein Suraj Kis Din Niklay Ga
14 january ko 12:52 minute par yani jub Lahore mein subah 10 baj kar 52 minute ho rahe hon ge tab rus ke is shehar mein 45 din tak ghaib rehnay wala suraj asman par namudar ho jaye ga lekin woh bhi sirf 47 minute aur 3 second ke liye us ke baad phir se dhal jaye ga. Lekin is ke baad se din lambay hote jayain ge aur january ka maheena khatam honay tak yahan din 5 ghantay taweel ho ga. 14 january ko yahan ke shehri 45 din ke andhere se tou nikal ayain ge lekin us ke baad bhi shadeed sardi aur barf bari un ki jaan nahin choray gi.
Norilsk History In Urdu -Itni Thand Mein Log Norilsk Mein Kyun Rehte Hain
Zindagi is qadar mushkil hone ke bawajood yahan 2 lakh log apni zindagi guzar rahe hain. Itni shadeed sardi mein log is shehar mein kyun rehtay hain jub maine is bare mein tehqeeq ki aur is shehar ki tareekh jannay ki koshish ki tou mujhe maloom hua keh is ki sub se bari wajah is shehar mein mojood qeemti dhaton ka hona hai. Is baat ko samajhnay ke liye hamain aaj se koi 84 saal pechay mazi mein jhankna paray ga jub 1935 mein is ilaqe mein kayi qeemti dhaton ke zakhair daryaft hue tou rus ke jangi aur sayasi qaidiyon se jabri mushaqat lay kar ye shehar tameer karwaya gaya. 5 lakh ghulamon ne is shehar ki tameer mein hisa liya jin mein se hazaron qaidi yahan ki shadeed sardi, bhook, qaidiyon ke bahmi jhagron aur jail hukam ke sath jharpon mein halak hue. Aur inhi sub waqiat ke doran hi is shehar ko basaya gaya. Aaj ye shehar rus ke ameer tareen aur bare sanati shehron mein shamil hai.
Norilsk Ki Sair
Chalain ab main aap ko is shehar ke khuch khubsurat maqamat dikhata hon aur sub se pehle main aap ko dikhata hon is shehar ki aik museum.
1 - Norilsk Museum
Is shehar ka aik tareekhi museum Norilsk Museum hai. Jub rus ke is shehar se suraj 45 dinon ke liye ghaib hota hai tab is shehar ke logon ki dilchaspi is museum mein mazeed barh jati hai. Ye museum na sirf baron balkeh bachon ki dilchaspi ka baes bhi hai. Is waqt aap is museum ke androoni manazir dekh sakte hain.
2 - Daldykan River
Is shehar ke qareeb 2 darya bhi behte hain un mein se aik darya ka naam darya e Daldykan hai. Is darya se aik ajeeb o ghareeb waqia bhi jura hai aur woh ye hai keh 2016 mein achanak is darya ka pani khooni rang mein badal gaya. Lal rang ka pani dekh kar Norilsk ke shehri heran o preshan ho gaye. Jub rus mein darya ke pani ki rangat tabdeel hone par tehqeeq ki gayi tou maloom hua keh darya ke pani ka lal rang darya kinare bani aik steel mill ke chemicals ke baes hua.
3 - Alpine Skiing And Ski Resort
Norilsk shehar ke rehaishiyon ki aik aur khubsurat aur pasandida jagah Alpine Ski Resort hai. Sardiyon mein bhi saiyahon ki bari tadad is khubsurat pahari ilaqe mein apni zindagi ka yadgar waqt guzarnay ati hai.
4 - Ozero Dolgoye
Norilsk shehar ke bashindon ke liye garmiyon ki aik pasandidah jagah hai jheel Ozero Dolgoye hai.
Is jheel ke kinaron par mojood surmai pahar is jheel ki khubsurati mein izafay ka baes hain. Ye jheel saal mein chand dinon ke liye hi apne asal rang mein hoti hai warna zayada ta arsa ye shadeed sard mausam ki wajah se jami rehti hai. Jub Norilsk mein garmiyan utarti hain tou logon ki bari tadad Ozero jheel ka rukh karti hai. Garmiyon mein bhi yahan sardiyon ka ehsas hota hai is shehar mein kitni sardi parti hai is ka andaza aap Norilsk shehar par bani meri documentary film se laga sakte hain.
Is jheel ke kinaron par mojood surmai pahar is jheel ki khubsurati mein izafay ka baes hain. Ye jheel saal mein chand dinon ke liye hi apne asal rang mein hoti hai warna zayada ta arsa ye shadeed sard mausam ki wajah se jami rehti hai. Jub Norilsk mein garmiyan utarti hain tou logon ki bari tadad Ozero jheel ka rukh karti hai. Garmiyon mein bhi yahan sardiyon ka ehsas hota hai is shehar mein kitni sardi parti hai is ka andaza aap Norilsk shehar par bani meri documentary film se laga sakte hain.
5 - Nurd Kamal Mosque
Jheel Ozero ke kinaron par dunya ki aik aisi masjid bhi mojood hai jis ko ye aizaz hasil hai keh woh dunya ke intihai shumal mein mojood hai kaha jata hai keh dunya ke intihai shumal mein is masjid se agey aur koi masjid waqe nahin hai. Ye shehar khubsurat tou tha hi lekin is shehar ki asal khubsurati tab samne ayi jub yahan is Nurd Kamal Masjid ki tameer ka aghaz hua. Dunya ki is sub se shumali masjid ki tameer 1995 mein shuru aur 1998 mein mukamal hoi.
Norilsk Shehar Mein Zindagi Kesi Hai Log Kya Business Karte Hain
Sardiyon mein Norilsk mein bane gharon mein koela aur lakri jala kar bhi tawanai aur roshni hasil ki jati hai. Yahan tez thandi hawaon aur sakht mausam ki wajah se kheeti bari na mumkin hai is liye puray ilaqe mein qutbi hiran, ghoron ki farokht aur ice fishing bhi yahan ke shehriyon ka karobar hai.
Mausam ki sakhtiyan bhi is shehar ke rehaishiyon ki apni is sar zameen se mohabbat ko kam nahin kar sakien kyun keh Norilsk shehar mein aise bohat se log guzray hain jinhon ne apni sari zindagi is shehar mein guzar di.
Mausam ki sakhtiyan bhi is shehar ke rehaishiyon ki apni is sar zameen se mohabbat ko kam nahin kar sakien kyun keh Norilsk shehar mein aise bohat se log guzray hain jinhon ne apni sari zindagi is shehar mein guzar di.
Mushkil Hi Sahi
Lekin Chal Tou Rahi Hai
Ye Zindagi
Teri Sard Hawain Mein
Tere Sakht Mausamon Mein
Teri Taweel Raton Mein
Aur Tere Barfeela Mausamon Mein
Chal Tou Rahi Hai
Ye Zindagi
Lekin Chal Tou Rahi Hai
Ye Zindagi
Teri Sard Hawain Mein
Tere Sakht Mausamon Mein
Teri Taweel Raton Mein
Aur Tere Barfeela Mausamon Mein
Chal Tou Rahi Hai
Ye Zindagi
No comments:
Post a Comment