Lahore In USA Virginia امریکا میں لاہور | Lahore Urdu Hindi Documentary

  Lal Gulab      
Lahore Pakistan ka khubsurat shehar hai lekin kya aap jantay hain keh aik Lahore America mein bhi hai? Tou chaliye aaj hum America ke Lahore chaltay hain aur America mein mojood Lahore ke bare mein woh batay jannay ki koshish karte hain jo ab tak bohat kam log jantay hain sath hi sath us Lahore ke kuch manazir bhi main aap ko dikhaon ga takeh aap ko andaza ho sakay keh america ka Lahore akhir hai kesa.

 امریکا میں لاہور
Amreeca ki 50 riyasatain hain aur un mein se aik riyasat virginia bhi hai. Amreeca ki is riyasat mein aise kayi ilaqe hain jo samandar ke sahilon par abad hain. Virginia mein kayi khubsurat sahil bhi hain un mein se aik Virginia beach bhi hai. Is beach se Amreeci Lahore ka fasla taqreebanf 270 km hai. Yun agar 70 km ki raftar se gari chalai jaye tou taqreeban sarhay 3 ghantay mein Virginia beach se Lahore pohancha ja sakta hai.

Lahore Amreeci riyasat Virginia mein kis jagah waqe hai is map se aap bakhoobi andaza laga sakte hain. Yahan aap America ke woh mashoor aur bare shehar bhi dekh sakte hain jo Lahore ke qareeb hain.

Virginia mein aik county aisi bhi hai jis ka naam Orange County hai. Ye hai Orange County yahan 34000 ke qareeb log abad hain aur yahin aik chota sa qasba aisa bhi hai jisay Lahore ke naam se jana jata hai. Agar aap virginia mein hain aur yahan se Lahore jana chahain tou aap ko Orange County mein mojood Lahore Road ki taraf jana paray ga. Usi road ke uper Lahore abad hai. Is county mein aik airport bhi hai jis ka naam orange county airport hai. Is airport ke qareeb se hi lahore road shuru hoti hai.
Ab jo gas station aap dekh rahe hain is ka naam Sunoco Gas Station hai ye jis jagah mojood hai theek isi jagah se Lahore Road shuru ho jati hai. Jub Virginia ke is ilaqe mein sardiyan utarti hain tou tab yahan ka nazara kuch aisa hota hai. Yahan aap Virginia ki Lahore Road par pari barf bhi dekh sakte. Lahore road par atay hi aap ko kuch aise manazir dikhai dene lagte hain. Virginia ki ye lahore road sar sabz aur ghanay darakhton ke bheech mein se hoti hoi aap ko lahore lay jaye gi.
Ye raha Lahore Pakistan ke Lahore shehar ke baad ye dunya ka dusra Lahore hai jo keh America mein hai. Yahan 1700 ke qareeb log abad hain. America ke Lahore ki tareekh ki baat karain tou uniswien sadi mein america mein aik general store ke malik ne aik kitaab khareedi jo keh bar e sagheer ke bare mein thi. Us ne jub woh kitab parhi tou woh Lahore se itna mutasir hua keh us ne apne qasbay ka naam Lahore hi rakh diya. Yun dunya ke naqshe par dusra lahore namudar ho gaya. Aaj Lahore ka naam na sirf Amreeca ke naqshay par mojood hai balkeh 1700 ke qareeb aise log bhi mojood hain jo Amreeca mein Lahore mein rehtay hain. Ye is baat ka saboot hai keh hamare Lahore se amreeci bhi mutasir hue bina na reh sakay aur unhon ne apne ilaqe ka naam hamare shehar Lahore ke naam par rakh diya. 1 Sadi tak tou bar e sagheer ke log ye baat jantay hi nahin thay keh amreeca mein bhi aik lahore hai aur log wahan rehtay bhi hain.

2007 mein yahan aik Nancy Wallace nami khatoon bhi raha karti thi jis ke paas Lahore ki 235 acre zameen thi aur woh zameen Lahore ke intihai khubsurat ilaqe mein thi. Us zameen ko dekh kar aik Daulat mand Pakistani ko ye khayal aya keh kyun na woh is zameen ko khareed kar yahan asal mein wesa Lahore abad kare jesa keh Pakistan mein hai. Us ne socha keh woh na sirf yahan banquet haal banaye ga balkeh amreeci logon ki dilchaspi ke liye bhi kayi mansoobon ka iftitah kare ga. Yehi nahin woh Lahore ke Shalamar Bagh ki tarz ka aik bagh America ke is lahore mein bhi banana chahta tha. Aur amreeciyon ko lahore ka culture dikhanay ke liye woh har saal yahan basant bhi manana chahta tha. Lihaza apne maqsad ko kamyab bananay ke liye us ne 1 saal tak Nancy ko manaya keh woh 3 million dollar mein Lahore ki 235 acre zameen bech de. Nancy ne ye offer qabool kar li lekin aaj 12 saal honay ko hain na is Lahore mein koi Banquet haal bana aur na yahan shalamar bagh ke tarz ka koi bagh bana. Aur rahi baat yahan basant mananay aur hawaon mein batagain uranay ki tou yahan koi patang tou urti hoi dikhai nahin deti albata yahan khubsurat parinde zaroor urtay hue dikhai dete hain.


Ye Pakistan ke suba punjab jesa lahore tou nahin lekin is ka naam Lahore hona hi kafi hai. Aur yehi nahin Virginia ka ye Lahore khubsurati mein bhi apni misaal aap hai. Kyun keh yahan qareeb aik jheel bhi hai jis ka naam lake orange hai. Orange jheel tak pohanchne ke liye Lahore road se aik sarak juri hai jis ka naam orange road hai. Is jheel ka pani apne naam ki tarah orange rang ka tou nahin hai lekin is jheel ke name ki asal wajah ye hai ke ye orange county mein hai. Isi wajah se isay orange jheel kaha jata hai. Lahore ke rehaishi aur amreeca ke door daraz ke ilaqon se bhi log is jheel ki sair karne ke liye atay hain.

Is jheel ki khubsurati se andaza lagaya ja sakta hai keh Lahore ke rehaishi kitnay khubsurat Lahore mein rehtay hain. Is jheel ki aik khas baat ye bhi hai keh yahan machli pakarnay ki bhi ijazat hai yehi wajah hai keh log is jheel ki sair karne ke sath sath yahan machli pakarne ke liye bhi atay hain. Saiyah taqreeban sara saal hi Orange county ke khubsurat ilaqon ka rukh karte hain. Sardiyon mein Orange County mein baraf bari bhi hoti hai ye mausam e sarma mein orange county ke khubsurat manazir hain.
logoblog

Thanks for reading Lahore In USA Virginia امریکا میں لاہور | Lahore Urdu Hindi Documentary

No comments:

Post a Comment