Sikkim History In Hindi Sikkim Facts In Urdu

  Lal Gulab      
Sikkim 1642 se lay kar 1975 tak yani taqreeban sawa 300 saal tak aik azad mulk tha ye khubsurat sar sabz pahari ilaqon par mushtamil aik mulk raha hai. Sikkim khubsurat qudrati nazaron se mala maal hai yahan pahar hain aur bohat khubsurat jheelain bhi kafi tadad mein hain is ke ilawa kayi khubsurat abhsar sikkim ki qudrati khubsurati mein izafay ka baes hain.

Sikkim ke lafzi mafi hain Khubsurat Ilaqa aur ye Himalaya ke paharon mein waqe hai par sawa 300 saal tak azad mulk rehnay wala Sikkim ab koi mulk nahin raha balkeh aaj ye bharat ka hisa ban chuka hai kyun keh 1975 mein bharat ne is par qabza kar liya aur baad mein ye sara ilaqa india ki 22th riyasat ban gaya. Aeye jannay ki koshish kartay hain keh kis tarah ye ilaqa bharat ka hisa bana.

Ye 6 april 1975 ki subah thi jub Sikkim ke raja chogyal ko apne shahi mehal ke gate ke bahir indian faujiyon ke truckon ki awaz sunai di.

Chogyal door kar khidki ke paas pohanche un ke shahi mehal ka charon taraf se indian faujiyon ne mahasra kar rakha tha.

Is ke baad machine gunon ke chalne ki awaz goonji aur 5000 bharti faujiyon ko shahi mehal ke 243 muhafizon ko qabu karne mein sirf 30 minute lage.

Usi roz taqreeban poonay aik baje ke baad Sikkim ka batoor aik azad mulk ka darja khatam ho gaya. Chogyal ne puri dunya ko radio par khud hi khabar di aur kayi mulkon mein chogyal ke is emergency paigham ko suna gaya.

Sikkim ke raja chogyal ko un ke apne hi mehal mein nazar band kar diya gaya. Jub sikkim ki bharat mein inzamam ki meham shuru hoi tou cheen ne is ka mawazana rus ke Czechoslovakia ke khilaf 1968 ke hamlay se kiya jis par bharat ne cheen ke tibet par hamlay ko yaad dilaya. Bhutan is se yaqeenan khush hua lekin Nepal mein is ke khilaf sub se zayada ahtjaj hua.

23 april 1975 ko lok sabha mein sikkim ko india ki 22th rayasat banane ka aik tarmeemi bill paish kiya gaya aur usi rooz ye 11 ke muqablay mein 299 vote se manzoor kar liya gaya aur yun sikkim se naamgyal shahi khandan ka iqtidar khatam ho gaya aur sikkim bharat ka hisa ban gaya.
logoblog

Thanks for reading Sikkim History In Hindi Sikkim Facts In Urdu

No comments:

Post a Comment