Chitral ke logon ke liye 20 july 2017 aik tareekhi din tha jub 42 saal purane mansoobay Lowari Tunnel ki takmeel hoi aur is ka iftitah Nawaz Sharif ne kiya. Tunnel ki tameer se chitral aur itraf ke ilaqon mein abad 5 lack se zayada afrad ko har mausam mein safar ki sahoolat dastyab ho gi. Lowari Tunnel ke naye mansoobay ki wajah se 3 ghantay ka safar ab mehz 15 minute mein tay kiya ja sakay ga.
Lowari Tunnel ki tameer chitral ke logon ka daireena mutalba tha jisay mazi mein nazar andaz kiya jata raha. Is intihai aham mansoobay ka pehli baar sang e bunyad 5 july 1975 ko Pakistan Peoples Party ke door mein us waqt ke wazir bain alsoobai rabta Abdul Hafeez Pirzada ne rakha taham 5 july 1977 ko sabiq sadar general zia ul haq ne mulk mein Marshal Law laga kar funds ki kami ka keh kar is mansoobay par kaam band karwaya diya. 19 saal baad general pervez musharaf ke hukam par 6 october 2006 ko is mansoobay par dobara kaam shuru hua. Pehle ye mansooba rail tunnel ke tor par shuru kiya gaya tha lekin phir is ko road tunnel mein tabdeel kar diya gaya jis ke baes bhi ye mansooba mazeed takheer ka shikar hua. Peoples Party ke sabiq door mein aik martaba phir is mansoobay par funds ki adam dastyabi ke baes kaam dobara rok diya gaya tha.
Sarhay 8 km taweel Lowari Tunnel ki takmeel ke baad chitral ka mulk ke degar hison se sara saal rabta qaim reh sakay ga. Is tunnel ko taqreeban 26 arab rupay ki lagat se mukamal kiya gaya hai jabkeh tunnel ki takmeel se peshawar aur chitral ke darmiyan musafat 14 ghantay se kam ho kar 7 ghantay reh gayi hai. Sardiyon mein baraf bari ki wajah se Lowari Top band hone se amd o raft ruk jati thi. Lowari Tunnel ki tameer ke baad chitral ke musafiron ko 10500 foot buland Lowari Tunnel aboor karne se nijat mil jaye gi aur pura saal amd o raft ki sahoolat bhi muyasir rahe gi. Aik report ke mutabiq 68 saal ke doran Lowari Top ke rastay safar karte hue taqreeban 8000 afrad barfani hawaon aur todon ki zad mein aa kar janain ganwa baithe hain. Is mansoobay ki takmeel se tijarati sargarmiyon mein bhi izafa ho ga aur ilaqe mein iqtisadi taraqi ke sath sath maqami logon ke liye rozgar ke mawaqa paida hon ge aur sayahat ko farogh hasiil ho ga.
42 bars baad hi sahi par Lowari Tunnel akhir kar mukamal ho gayi, pahari ilaqon mein waqe Lowari Tunnel chitraliyon ke liye hamesha se aik suhana khwab raha hai. Is liye yaqeeni tor par 20 july 2017 chitral ke logon ke liye aik bohat hi khuhsi ka din tha kyun keh 40 saal se zayada intezar ke baad chitral ke awam ka aik daireena mutalba pura hua hai. Jumairat 20 july 2017 ko chitral mein har taraf jashan ka saman tha aur log Lowari Tunnel ke khoolay jane par khushi ka izhar kar rahe thay.
No comments:
Post a Comment