Elizabeth Holmes Ki Kahani Jo Kabhi Arab Pati Thi

  Lal Gulab      
Elizabeth un logon mein shamil hai jo kabhi dunya ke ameer tareen log hua karte thay par aaj kangaal ho chukay hain. Kuch din pehle maine aik video isi channel par upload ki hai jis ka title hai dunya ki sub se kam umar arab pati khawateen us video mein jitni bhi khawateen ki baat ki gayi hai woh apne baap ke paisay ki wajah se arab pati bani thien us mein un ka apna koi kamal nahin tha lekin Elizabeth un logon mein shamil nahin jo apne baap ki wajah se arab pati bani kyun keh Elizabeth ne arbon dollar apni khud ki mehnat se kamaye thay.

Elizabeth ke paas 4 arab 50 crore dollar thay. Elizabeth is raqam se aik nahin bohat se hawai jahaz khareed sakti thi aur apni khud ki airline shuru kar sakti thi. Elizabeth is raqam se lakhon ghareeb logon ki ghurbat bhi khatam kar sakti thi. Is raqam se woh jo chahe khareed sakti thi kyun keh woh itni daulat anay ke baad duny ki sub se kam umar self made arab pati larki ban gayi thi. Lekin kehtay hain khushi bhi kabhi kabhi raas nahin ati kyun keh jis karobar ne Elizabeth ko dunya ki sub se kam umar arab self made arab pati larki bana diya tha usi karobar ne usay barbaad kar diya tha woh apna karobar shuru karne se pehle jahan thi laut kar us jagah se bhi kafi peechay chali gayi kyun keh aaj us par 10 saal ki pabandi lag chuki hai aur jis company ne usay arbon dollar kama kar diye thay wohi company us ka sara paisa lay kar doob chuki hai. Akhir Elizabeth ne itni daulat kese hasil ki thi aur woh sari daulat kahan gayi chaliye Elizabeth ke urooj aur zawal ki kahani bhi jaan letay hain.

Elizabeth 3 february 1984 ko Washington, D.C. mein paida hoien. Is ke baad in ka khandan Houston chala gaya jahan Elizabeth mein apne bachpan ke din guzaray. Jub Elizabeth 9 saal ki hoi tou us ne apne rishtedaron se kaha keh woh bari ho kar arab pati banna chahti hai aur ye baat woh intihai sanjeedgi aur azam se kehti thi.

Usi saal Elizabeth ne apne baap ko aik khat likha jis mein us ne apne baap se kaha "Main sach mein zindagi mein kuch bara karna chahti hon aur naya daryaft karna chahti hon kuch aisa jo insan ko lagta hai keh aisa hona mumkin nahin. Choti umar se hi Elizabeth ko dunya ke ameer tareen logon mein shamil hone ka shok tha khuch kr dikhanay ka shoq tha yehi wajah thi keh Elizabeth ne apne professor Robertson se kaha keh kyun na aik company shuru ki jaye.

Kya aap jantay hain keh Elizabeth jis ke paas arbon dollar thay usay collage se nikaal diya gaya tha. Par tab kon janta tha keh woh larki jisay collage se nikala ja raha hai aik din dunya ki sub se kam umar arab pati larki ban jaye gi kyun keh Elizabeth ne kam umari mein hi paisa bananay ke liye apni aik company ka aghaz kiya tha. Elizabeth ne apne waldien se college ki fees li aur us se sarmaya kari ki. Is par Elizabeth ka kehna tha keh mera khayal hai keh naujawanon ke paas bohat se naye khayalaat hain lekin un ke paas paisa nahin hai jis ki wajah se woh jo karna chahte hain nahin kar patay.

Elizabeth ne 19 saal ki umar mein Theranos nami apni aik company banai thi. Us company mein khoon ke test hotay thay. Ye khayal Elizabeth ko us waqt aya jub us ne dekha kehus ke walid aik qudarti afat se hone wali tabahi ke baad wahan par kaam bach janay wale logon ki madad kar rahe thay aur us mein bohat se log zakhmi hue thay. Elizabeth ko khayal aya keh khoon ke test aur maching ke nizam aur tarika kaar mein 1960 se koi tabdeeli nahin ayi lihaza aisi labouratory aur alaat bananay chahiyain jahan par kaam behtar aur bar waqt ho. Chunanchay university fees se shuru hone wali company ke asasay arbon dollars tak ja pohanche aur Elizabeth arab pati ban gayi.

Is ke baad us ne apni daulat mein mazeed izafay ke liye puray amreeca mein apni company ki branchain qaim karnay ka kaam shuru kiya jis par us ne bohat paisa kharch kiya. Elizabeth ne apne is khwab ko pura karne ke liye kitna paisa kharch kiya is ka andaza is baat se lagaya ja sakta hai keh shuru mein Elizabeth ne 8200 branchain bananay ka faisla kiya tha. Is ke baad us ne apni company ki website bhi banai jahan par her test ka tarika kaar aur akhrajat ki tafseel faraham ki gayi thi. Elizabeth ki kamyabi dekhtay hue bohat se logon ne Elizabeth ki company mein bhari sarmaya kari bhi ki.

Elizabeth ko apni company ke liye shuru mein hi investors se 700 million dollars ki bari raqam mili aur baad mein is mein mazeed izafa hua. Elizabeth ne investors ka paisa is shart par hasil kiya keh woh unhain ye bilkul bhi nahin batai gi keh us ki company ki technology kis tarah kaam karti hai aur company ke jitnay bhi muamlaat hon ge us ke tamam faislay karnay ka ikhtyar sirf usi ko ho ga.
Elizabeth ka office dekhnay laiq tha us ne apne office ko apni pasand ke furniture se sajaya aur kabhi bhi chutti nahin ki.

Elizabeth apne se 20 saal bare aik shakhs jisay us ne apni company ka president bana diya tha woh us shakhs ki mohabbat mein giraftar ho gayi thi us shakhs ka naam Sunny Balwani tha usay is kaam ke bare mein koi khas tajarba bhi nahin tha phir bhi Elizabeth ne mohabbat mein andhi ho kar usay apni apni ka president bana diya tha. Lekin jub 2016 mein Elizabeth ke sar se mohabbat ka janoon utra tou us ne Balwani ko company se utha kar bahir phenk diya.

Elizabeth apni company mein jis ko bhi naukri deti thi us ka pura record rakhti thi keh woh kab kaam par aya aur kab rawana hua is ke liye us ne kuch logon ko bhi naukri par rakha hua tha jin ka kaam sirf ye tha keh woh  Elizabeth ke company ke mulazmeen ke bare mein usay agah karte rahain aur is baat se bhi agah karain keh mulazmeen kis waqt kaam karnay atay hain aur kab jatay hain.

Elizabeth ke bare mein kaha jata hai keh us ne California ki mashoor company Safeway ke sath khufiya tor par 350 million dollar ki partnership bhi ki thi. Elizabeth ke muqadar ke sitare intihai roshan thay har taraf se usay paisa mil raha tha. Dunya bhar mein usay khoob izat aur shohrat mil rahi thi.

Elizabeth ki company ne jub raaton raat usay shohrat ki bulandiyon par pohanchaya tou Elizabeth ne apne liye kayi bodyguards bhi rakh liye aur unhain kalay rang ki mehngi gariyan bhi dien jo Elizabeh ki gari ke sath sath raha karti thien. Yehi nahin Elizabeth ke office ki khidkiyon ke sheeshay bhi bulletproof thay.

Jese jese Elizabeth ki daulat mein izafa hota raha dunya bhar mein us ki kamyabi se mutasir hone wale logon mein bhi izafa hota raha. Media ne bhi usay aik star bana diya. Elizabeth khud bhi apne aap ko milnay wali daulat aur shohrat se bohat khush thi yehi wajah thi keh woh un programes mein janay lagi jahan dunya ke bare bare log aya kartay tha jin mein bill clinton aur dunya ke bohat se ameer tareen log bhi shamil hotay thay aur woh programe amreeca ke bare bare tv channels dikhaya karte thay. Elizabeth ki kahani bilkul filmon jesi hai aur ye bhi ho sakta hai keh anay wale dinon mein koi insan Elizabeth ki zindagi par aik film hi bana dalay.

Elizabeth ki kamyabi intihai heran kun thi us ki kamyabi ne puri dunya ko heran kar ke rakh diya tha yehi wajah thi keh dunya ke bare bare akhbarat aur magazines ne apne pehle safhay par us ki tasweerain shaya karni shuru kar dien. Baat yahin khatam nahin hoti amreeca ke us waqt ke sadar Brack Obama bhi Elizabeth se mutasir hue bina na reh sakay. Barack Obama ne us ke kaam ko khoob saraha lekin tab Barack Obama khud bhi ye nahin jantay thay keh woh jis larki ki kamyabi se mutasir hain woh apni company ki wajah se jald hi kangaal hone wali hai.

Aur phir woh din aya jub Elizabeth ne akhbar mein aik khabar parhi jo us ki barbadi ka baes bani aur wahan se Elizabeth ka zawal shuru hua. Kyun keh America ke mashoor akhbar Wall Street Journal ne jo khabar shaya ki thi us mein ye bataya gaya tha keh Elizabeth ki company mein jo blood test kiye jatay hain us ke result ghalat hotay hain. Kitni ajeeb baat hai keh jo akhbarat Elizabeth ki kamyabi ki wajah se us ki tasweerain apne pehle safhay par chaptay thay aur us ki tareefain kiye bina nahin taktay thay ab wohi akhbar aur magazines us par tanqeed kar rahe thay. Aisa hota hai jub bura waqt shuru hota hai.

Ye khabar parh kar Elizabeth preshan ho gayi. Usay nazar araha tha keh ab us ki comapny doobnay wali. Is ke baad media ne Elizabeth se sakht sawal puchnay shuru kar diye jis ki wajah se woh mazeed preshan ho gayi aur us ne media se hi larai mool lay li. Wall Street Journal ne jo report shaya ki thi Elizabeth ne CNBC channel par us report ko ghalat qarar diya aur kaha:

"Aisa hota hai jub aap cheezain tabdeel karne ke liye kaam karte hain. Sub se pehle woh sochtay hain keh aap pagal hain phir woh aap se larte hain aur phir achanak aap dunya ko badal detay hain. Mujhe kehna hai keh main zati tor par dekh kar heran thi keh wall street journal ne aisa kuch shaya kiya tha."

Bajaye is ke keh Elizabeth apni ghalti manti aur jald se jald apni company ke tamam muamlaat sahi karne ki koshish karti takeh woh anay wali musibat se bach sakti Elizabeth aur us ki company ka tamam focus media se larai larnay par tha aur yehi ghalti ki Elizabeth ne keh jo time us ke paas tha us mein sub kuch behtar karti aur agar nahin kar sakti thi tou kam se kam apna woh paise hi nikaal leti jo us ne apni company par lagaya tha ya woh ye ye sabit kar deti keh Wall Street Jornal ki report ghalat hai tou woh aaj bhi arab pati hoti kyun keh Wall Street Journal ki report ke baad us ke aur us ki company ke khilaf karwai shuru ho gayi.

Elizabeth ne qanooni muqadmon se bachnay ke liye jald se jald apni company ke tamam shares onay ponay damon par bhi bechnay ki koshish ki. Par kehtay hain keh jub bura waqt chal raha ho tou har harba nakam rehta hai. Kyun keh Centers for Medicare and Medicaid Services ne mareezon ki sehat aur un ki zindagi ki hifazat ko yaqeeni bananay ke liye Elizabeth ki company par na sirf mazeed medical test karne par pabandi laga di balkeh ye bhi hukam diya keh Elizabeth na koi lab bana sakti hai aur na chala sakti hai.

March 2018 mein US Securities and Exchange Commission ne investors se fraud karne par Elizabeth par jo jurmana kiya us ke teht Elizabeth ko na sirf apne paas mojood bari raqam se hath dhona para balkeh apni company ke 19 million shares se bhi hath dhona para Elizabeth jo keh raton raat arab pati ban gayi thi usi tarah raton raat woh asman se zameen par aa giri.

4 september 2018 ko Elizabeth ki company ne aik email ke zariye apne tamam investors ko agah kiya keh company ko band kar diya gaya hai aur un ka paisa unhain wapas kiya ja raha hai. Yun aik roshan sitara jo keh arab pati logon ke asman par chamak raha tha ghaib ho gaya.

Ab woh zindagi mein dobara shayed kabhi bhi arab pati na ban paye par Elizabeth ko sari zindagi ye zaroor yaad rahe ga keh arab pati logon ki zindagi hoti kesi hai woh apni zindagi jeetay kese hain.
Forbes har saal dunya ke arab pati logon ke asason ke bare mein batata hai us ne Wall Street journal ki report anay se pehle Elizabeth ke asasay 4 arab 50 crore dollar bataye thay par Elizabeth par jurmanay aur us ki company par pabandi ke baad us ke asason ke agey 0 dollar likha tha. 

Elizabeth par case ab bhi chal raha hai aur agar ye baat sabit ho gayi keh us ne fraud kiya tha tou na sirf usay lakhon dollar ka jurmana ho ga balkeh Elizabeth ko 20 saal ke liye jail bhi jana paray ga. Kabhi dunya ki sub se kam umar self made arab pati larki rehni wali ye larki jo dunya bhar ke logon ko naukriyan de rahi thi, jo mehngi tareen gariyan khareed rahi thi jo apni daulat se dunya ki har mehngi chez khareed sakti thi aaj ibrat ka nishan ban chuki hai.
logoblog

Thanks for reading Elizabeth Holmes Ki Kahani Jo Kabhi Arab Pati Thi

No comments:

Post a Comment