Aeye aaj Saudi Arab mein waqe un kunwon ke bare mein jantay hain jin ke bare mein ye khayal kiya jata hai keh unhain jinnat ne khoda tha aeye jantay hain keh ye kunwain kahan hain.
Saudi Arab ke shumal mein waqe gaon Linah mein mojood kunwon ke bare mein kaha jata hai keh ye abhi tak Hazrat Suleman Aleh Salam ki azeem saltanat ki gawahi dene wale mojzaat hain. In kunwon ki tadad 300 ke qareeb hai aur ye sakht aur sanglakh zameen mein khode gaye thay. Ab in mein se 20 ke siwa baqi tamam hi kunwain zameen mein dhans chukay hain.
Dilchasp baat ye hai keh yahan ki zameen chatani aur itni sakht hai keh purane door mein yahan kisi insan ki janib se aise kunwain khodnay ka tasawar nahin kiya ja sakta tha. Is liye ye tasar paya jata hai keh in kunwon ko jinnat ne khoda tha.
Saudi Arab ki shumali sarhad ke nazdeek Rafha se 100 km janoob mein waqe Linah gaon tarikhi ahmiyat rakhta hai. Ye sair o tafrih ke matwalon ke liye hamesha se purkashish maqam raha hai. In kunwon ke bare mein kaha jata hai keh us door mein inti sankh zameen par itni chorai aur gehrai mein insan ke liye yahan kunwain khudna mumkin nahin tha. In kunwon ko dekh kar aqal tasleem nahin karti ke ye insani hathon ka kamal hai.
Linah ko jazeera numa Arab ke qadeem tareen dehaat mein shumar kiya jata hai jis ki tarikh Hazrat Suleman Aleh Salam ke zamane se wabasta hai. Linah Iraq aur Jazeera Arab khas tor par shumal ke tajiron ke jama hone ka aik aham tijarati markaz bhi raha hai.
In tamam kunwon ka pani meetha hai par Saudi Arab ki hukumat ki janib se in ke tahafuz mein la parwahi ki wajah se ye ahista ahista khatam ho gaye taham ab hukumat ne sayahat ko farogh dene ke liye yahan baqi bache kunwon ka tahafuz karna shuru kar diya hai. Qadeem tarikh danon ne apni kitabon mein likha hai keh Iraq ke subah Wasat se Makkah Mukarmah ki taraf safar karne par chotha parao Linah hai aur yahan ke 300 chashmon ka zikar un ki kibaton mein milta hai taham Linah mein chashme nahin kunwain thay. Is baat se qata nazar ke ye kunwain insanon ke hathon ka kamal hain ya in kunwon ko jinnat ne khooda tha ye kunwain aise hain keh in ki misal dunya ke kisi aur maqam par nahin milti.
No comments:
Post a Comment