Shark Information Urdu Whale Shark Tale Hindi Facts Shark Fish History

  Lal Gulab      
Shark Information Urdu Whale Shark Tale Hindi Facts Shark Fish History: Aaj ka article pehle shark par urdu zuban mein itna dilchasp aap ko parhne ke liye nahin mila ho ga aaj aap ko shark machli ke bare mein aisi batain bataon ga jo aap ko aaj se pehle nahin pata hon gi.

Khuch jandar aise bhi hain jin ke bare mein insan sadiyon se janta hai is ki wajah un jandaron ki khuch khasoosiyat hain jo unhain dusre jandaron se mumtaz karti hain maslan un ka dar, khauf, wehshat, khubsurati aur is tarah dusri munfarid khasoosiyat unhi jandaron mein se aik aabi makhlooq shark bhi hai jis ka ghusa, khatarnak roop aur jisamat hamesha se hi insan ke liye dilchaspi ka baes raha hai.

22 Interesting Facts About Whale Shark Fish In Hindi Urdu

  1. Whale sharks 100 saal tak zinda reh sakti hain. 
  2. Kya aap jantay hain ke shark ki aik kisam aisi bhi hai jo andhere mein chanakti hai aur us ka naam Ninja Lanternshark hai. 
  3. Aik andazay ke mutabiq har saal sharks taqreeban 12 logon ki jaan lai laiti hain. 
  4. Safaid shark bina khaye aik maheenay tak zinda reh sakti hai. 
  5. 2015 mein itnay log shark ke hamlay se nahin maray jitnay log salfie banatay hue mar gaye thay. 
  6. Shark saaf pani mein insanon se 10 guna zayada behtar dekh sakti hai. 
  7. Greenland mein aisi shark hain jo polar bear kha sakti hain aur 200 saal tak zinda reh sakti hain. 
  8. Ye dunya mein payi jane wali tamam machliyon mein sub se bari machli hai. 
  9. Ye taqreeban dunya ke tamam samandaron mein payi jati hai lekin aam tor par is ko garam paniyon mein dekha gaya hai. 
  10. Ab tak is machli ki 360 iqsam daryaft ho chuki hain jin mein se sirf chand aik hi khatarnak hain lekin dekhne mein un ki tamam iqsam hi aik jesi nazar ati hain jinhain dekhte hi insan khauf mein mubtala ho jata hai. 
  11. Is ka wazan bhi is ki iqsam ke lihaz se mukhtalif hota hai aik bari shark machli ka wazan 7 ton ho sakta hai. 
  12. Mukhtalif types ki shark ki khorak bhi mukhtalif hoti hai un mein se khuch sirf aabi poday khati hain jabkeh khuch dusre aabi janwaron ko bhi apni khorak bana laiti hain. 
  13. Yahan ye baat dilchaspi se khali nahin ho gi keh bohat kam iqsam ki shark aisi hoti hain jo insanon ko apni khorak banati hain un mein tiger shark, great white shark, tip shark shamil hain. 
  14. Is ki shaklain bhi mukhtalif hoti hain khuch dekhne mein saanp ki tarah maloom hoti hain tou khuch ka sar un ki jisamat ke muqablay mein bara hota hai, khuch ki naak bohat lambi aur nokeeli hoti hai, mahireen ka khayal hai keh shark ka munh un ki raftaar barhanay mein bohat madadgar sabat hota hai. 
  15. Aam tor par is ki tairne ki raftar 4 se 8 km fee ghanta hoti hai jabkeh is ki aik qisam aisi bhi hai jis ki tairni ki raftar 60 km fee ghanta ki raftar se bhi tez hoti hai. 
  16. Aik shark ke munh mein hazaron daant hote hain jo mukhtalif qataron mein jabray se munsalik hote hain ye tadad mein bohat zayada aur lambe hote hain. 
  17. Shark jub kisi ko kat'ti hai tou apne danton ko shikar ke jism mein bohat sakhti se ghusa deti hai aur baad mein us mein se bohat se dant alag ho kar shikar ke jism mein hi reh jatay hain. Mahireen ka khayal hai keh shark apni zindagi mein taqreeban 4000 daant is tarah nikal deti hai. 
  18. Is mein insanon ki tarah hisain hoti hain magar is ke somnghnay ki his bohat tez hoti hai. Ye adhay km ke andar khoon ke aik qatray ki bhi boo soongh sakti hai is liye zakhmi jandar bari asani se shark ka shikar ban sakte hain. is ki yehi his isay shikar ki talash mein madad deti hai. Is mein chati his bhi hoti hai jo isay barqi ru dekhne mein madad deti hai. 
  19. Mushahiday se ye baat samne ayi hai keh shark ka gussa bohat tez hota hai, gussay aur bhook mein ye khuch bhi kar sakti hai, aisi halat mein isay kisi qisam ka dard mehsoos nahin hota. Bhooki shark asani se choti kashti ke tukray tukray kar sakti hai. 
  20. Khuch arsa pehle gussay mein biphri aik shark ne atlantic mein fiber optics yani internet ki sahoolat faraham karne wali mazboot taar kaat di thi jis se dhai lakh dollar ka nuqsan hua tha. 
  21. Aap ko ye baat sun kar hairat ho gi keh insan cancer jese mozi marz se bachao ke liye shark ke jism par tehqeeq kar raha hai kyun keh shark aik aisi aabi makhlooq hai jisay cancer nahin hota is liye isay cancer fighter bhi kaha jata hai. 
  22. Ye baat aik haqeeqat hai keh apne gussay, khatarnak jisamat aur shikar karne ke dardnak andaz ke bawajood shark samandar ka husn hai, samandar mein makhlooqat par tehqeeq karne walon ka kehna hai keh agar shark machliyon ko khatam kar diya jaye tou qudrat ka tawazan bigar jaye ga jis ka asar na sirf aabi zindagi par ho ga balkeh khushki par rehne wali makhlooq bhi us se mutasir ho gi.
logoblog

Thanks for reading Shark Information Urdu Whale Shark Tale Hindi Facts Shark Fish History

No comments:

Post a Comment