Khubani Benefits Urdu Apricot Khubani Ke Faide In Hindi 10 Bimariyon Ka Ilaj

  Lal Gulab      
Khubani Benefits Urdu Apricot Khubani Ke Faide In Hindi 10 Bimariyon Ka Ilaj

Khushk Khobani Kyun Zaroor Khaani Chahiye?
khushk khobani aisi sahet bakhash ghiza hai jo aap ko poooray saal dastyab hoti hai khushk khobani ka aik chhota sa dana apne andar sahet ka aik aisa khazana chupaye hue hota hai jis se faida sirf wohi ensaan utha sakta hai jo is ki haqeeqat se waaqif hota hai khushk khobani mutadid tibbi fawaid ki maalik hoti hai aur is ka istemaal aap ko kayi aam amraaz se mehfooz rakhta hai khushk khobani ko khoraak ka hissa kyun zaroor banana chahiye? aayiyae hum aap ko batatay hain.


Behtareen Nazar
Khushk khobani mein do aisay ghizai ajza bhaari miqdaar mein paye jatay hain jo benaye ki hifazat karte hain jo Umar mein izafay ke sath sath kamzor horahee hoti hai. Khushk khobani ka istemaal motiye ke khatraat ko kam karne mein bhi madadgaar saabit hota hai.

Nizam Hazem
khana khanay se qabal khushk khobani ka istemaal hamaray nizam hazem ko behtar banata hai ke ilawa khushk khobani qabz ke hawalay se madadgaar saabit hoti hai aur sath hi napasandeedah mawaad ko kharij bhi karti hai. 

Sahet Mand Dil
Khushk khobani mein fibre ki bhaari miqdaar payi jati hai jo jism mein mojood buray cholesterol ki satah ko kam karti hai isi wajah se dil ke amraaz lahaq honay ke khatraat mein bhi kami waqay hoti hai is douran khushk khobani jism mein behtareen cholesterol ki satah mein izafah bhi karti hai rozana aadha cup khushk khobani khana dil ki sahet ke liye mufeed hai.

Khoon Ki Kami Se Bachao
khushk khobani iron ke husool ka aik behtareen zareya hai jo ke khoon ki kami khilaaf muzahmat karne ke hawalay se mufeed saabit hota hai aam tor par khawateen haiz ki wajah se khoon ki kami ka shikaar rehti hain is liye inhen chahiye ke aisi ghazayain istemaal karen jin mein iron ki bhaari miqdaar payi jati ho agar aap khushk khobani ko apni roz marrah ki khoraak mein shaamil karen ge to yeh himoglobin ki satah mein izafay ka bais ho ga.

Cancer Se Bachao
Khushk khubani mein bhaari miqdaar mein paye janay walay anti oxidents cancer jaisay mozi marz ke la-haq honay ke khatraat ko kam karte hain is ke beej (apricot kernels) cancer ki afzaish ka khtama karne ki salahiyat rakhtay hin- cancer ke mareezon ko yeh 5? beej aik glass orange juice ke sath rozana subah nashta mein is waqt taq khanay chahiye jab taq ke cancer ke ghair mamooli khalion ka khtama nahin ho jata.

Wazan Mein Kami
Khushk mein payi janay wali fibre ki bhaari miqdaar nah sirf aap ke nizam hazem ko behtar banati hai balkay metabolic ki karkardagi ko bhi mazeed fa-al banati hai aur isi wajah se aap ka wazan bhi kam ho jata hai ke ilawa khushk khobani mein calories bhi bohat kam payi jati hain.

Hadiyan
Khushk khubani calcium se bhi bharpoor hoti hai aur hum sab is baat se bakhoobi waaqif hain ke calcium hamari hadion ki behtareen sahet ke liye sab se zurori hai is ke ilawa khushk khobani mein potassium bhi paaya jata hai jo ke hamaray jism mein calcium ke taqseem ke hawalay se ahem kirdaar ada karta hai aur yeh tamam awamil hadion ki mazbooti ke liye intahi ahem hain.

Bukhar
Khushk khubani mein bukhaar ki hiddat ko kam karne ki salahiyat bhi mojood hoti hai rozana aik cupp khushk khobani ke juice mein aik chai ka chamach shehad shaamil kar ke piyain yeh aap ko pyaas se bhi araam day gi.

Jild
Khushk khobani ko jald se mutaliq masail maslan Sooraj ki jalan ki wajah se honay wali kharish aur eczema waghera se bhi araam ke liye bhi istemaal kya ja sakta hai khushk khobani keel mahason aur jald ke deegar masail ke khilaaf bhi madadgaar saabit hoti hai  khushk khobani ka tail jald ki hifazat ke liye mufeed hai aur yeh aap ki jald ko hamwar aur chamakdar bhi banata hai.
logoblog

Thanks for reading Khubani Benefits Urdu Apricot Khubani Ke Faide In Hindi 10 Bimariyon Ka Ilaj

No comments:

Post a Comment