Honey Benefits In Urdu Shehad Ke Faide For Skin Garam Pani Aur Shahad

  Lal Gulab      
Honey Benefits In Urdu Shehad Ke Faide For Skin - Garum Pani Aur Shehad Ke 7 Heraan Kun Faide: Shehad ki ifadiyat o ahmiyat se kon waaqif nahi? zamana qadeem se usay dawa aur ghiza dono sooraton mein istemaal kiya ja raha hai tahum aksar usay garam pani ke sath shaamil kar kay nehar mun peenay ka bhi mahswara diya jata hai is mein koi shak nahi ke is terhan shehad ki ghizaiyat aur is se jism ko haasil honay walay fawaid mazeed barh jatay hain shehad ka pani piny sy aap ko apni majmoi sahet mein herat angaiz musbet tabdeelian aati nazar ayen gi aayiyae garam pani ke sath shehad ke istemaal se haasil honay walay chand fawaid par nazar daaltay hain.

1. Wazan Kam Hota Hai
Wazan kam karne ke khwahish mand afraad agar subah uth kar aik glass garam pani mein shehad daal kar pyin to un ka wazan taizi ke sath kam ho ga aur is se sahet ko bhi koi nuqsaan nahi puhanche ga dighting karne walon ko shehad ke sath lemoo ke chand qatray bhi daalnay ke liye kaha jata hai jo is seyal ki ifadiyat mein mazeed izafah kardaita hai is se jism ka cholesterol kam hota hai aur charbi ghul jati hai sath hi jism ko tawanai bhi haasil hoti hai behtareen nataij ke liye shehad ke pani ko subah nehar mun aur raat sonay se pehlay liya ja sakta hai.

2. Khansi Mein Araam Aata Hai
Khansi ki wajah aam tor par galaay mein honay wali kharish ya khushki hoti hai shehad ke pani se saans ki naali saaf ho jata hai sath hi yeh pani seenay se balgham bhi saaf karta hai khansi ke liye shehad ke sath lemoo ke qatray garam pani mein daaley ja satke hain is drink ki anti oxidant aur antimicrobial khususiyaat khansi ki takleef mein raahat ka baais banin gi.

3. Nizaam Hazem Behtar Hota Hai
Nizam hazem mein kharabi maiday mein peda honay wali tezabiyat ki wajah se hoti hai is ke ilawa maiday ke infection ya qabz wagher hay ki wajah se bhi haazma kharab ho sakta hai un tamam sorat e haal ke liye shehad ka pani be hadd faiday mand aur kaar amad hai.

4. Allergies Daur Bhagata hai
Shehad jild ke liye be hadd mufeed hai is ko pani mein daal kar peenay se jild andar se saaf ho jati hai jild par honay wali allergy ko daur karne ke liye shehad ka pani be hadd faiday mand hai is se jild ki nami bhi barqarar rehti hai aur khushki bhi nahi ban paati.

5. Jism Ko Taaqat Millti Hai
Yeh pani ki kami ko daur karta hai jism mein munasib nami bani rahay to woh tawana aur tandrost rehta hai sara din chaaq o choband rehne ke liye subah uth ke shehad ka pani piinaa mufeed hai jo log din bhar mein sust aur jhomtay rehtay hon woh shehad ke pani ko zaroor apni ghiza ka hissa banayen.

6. Amraaz e Qalb Se Mehfooz Rakhti Hai
Shehad dil ko jawan aur tandrost rakhta hai shehad ke sath agar darchini bhi garam pani mein daal di jaye to is pani ke istemaal se dil ki shareyanien khul jati hain jis se khoon behtar tareeqay se jism mein daur sakta hai is mixcher se cholesterol level bhi durust rehta hai mahireen ke mutabiq shehad ke pani ka baqaydgi se istemaal colistrol ko das feesad taq kam kar sakta hai thoray se garam pani mein aik se do chamach shehad aur aik tahai darchini powder daal kar pyin.

7. Qowat Mudafat Behtar Banataa Hai
Shehad taaqat ka khazana hai is se jism ko bimarion aur jarasimon se larnay ki taaqat haasil hoti hai shehad ka pani jaraseem aur bacteria ke khilaaf kisi anti bayyo tik ki terhan kaam karta hai bimarion se mehfooz rehne ke liye shehad ka pani baqaydgi se pyin.
logoblog

Thanks for reading Honey Benefits In Urdu Shehad Ke Faide For Skin Garam Pani Aur Shahad

No comments:

Post a Comment