Hazrat Nooh A.S Story Urdu History Hazrat Nuh Ki Kashti Ki Kahani Waqia Qissa

  Lal Gulab      
Hazrat Nooh A.S Story Urdu Waqia Qissa: Hazrat Adam A.S ke duniya mein anay ke baad un ki aulaad duniya mein khoob phali phooli, lekin aik muddat guzar jaane ke baad woh log Khuda ko bhool chuke they aur aik Khuda ki bajaye unhon ne matti aur pathar ke kayi Khuda bana liye they, nah sirf un ki ibadat gahain buton se attii pari theen balkay har ghar mein buut rakhay hue they jin ki woh pooja kiya karte aur un se muradain manga karte they.

Hazrat Nooh A.S ne apni qoum ko Allah Ta'ala ke ahsanat jitla kar seedhay rastay par chalne ki talqeen ki aur buri rah se mana farmaya, jis par chal rahay they aur un ko yeh bhi bata diya ke agar tum buton ko chorr kar aik Khuda ki taraf rujoo nahin hue to tum par azab nazil honay ka khatra hai aur kaha ke mujhe Allah ne tumhari taraf apna Rasool bana kar bheja hai.

Hazrat Nooh A.S ne apni qaum ko Allah ke ahsanat jitlaye aur kaha tum ko chahiye ke un bekar buton ki parastish chorr kar aik Allah ki ibadat karo aur mein is ki tum se koi ujrat nahi mangta, tumhari hi bhalai ke liye tum ko nasiyat karta hon.

Hazrat Nuh A.S ne koi 950 saal taq apni qaum mein waaz o tableegh ki aur koshish ki ke woh Khuda ki ibadat karain magar un par koi assar nah howa, sirf chand log they jo imaan laye.

Qaum ki yeh sar kashi aur nafarmani dekh kar Hazrat Nuh A.S ne apne rab ko pukara ke ay Allah, mein to is qaum se tang aa gaya hon, ab tou hi in se badla le.

Hazrat Nooh A.S Ki Kashti Boat: Allah Ta'ala ne Hazrat Nooh A.S ko hukum diya ke aik kashti banao aur yeh bhi hukum day diya ke dekhna ab kisi ki sifarish nah karna, ab un par zaroor azaab nazil ho ke rahay ga, Hazrat Nooh A.S Khuda ke hukum ke mutabiq kashti bananay mein lag gaye.

Jab kashti ban kar tayyar ho gayi to Khuda ne hukum diya ke apne ahal aur un logon ko kashti par sawaar kar lo jo mujh par imaan le aaye hain aur har janwar ka aik aik jora bhi kashti mein rakh lo.

Jab sab log kashti mein baith gaye to Khuda ke hukum se musla dhaar barish shuru ho gayi, zameen par pani bherne laga aur Hazrat Nooh A.S ki kashti pani mein tairnay lagi, pani barha to Hazrat Nooh A.S ne dekha ke un ka beta pani mein doobnay laga hai aap ne usay aawaz di ke ab bhi aa jao taa kay ALLAH ke azaab se bach sako, magar us ne jawab diya tum jao, main kisi pahar ki choti par charh kar apni jaan bacha loun ga.

Pani tha ke thamnay ka naam hi nahin laita tha. Duniya ke nafarman aur sarkash log is selaab mein doob gaye aur Hazrat Nooh A.S ki kashti Jodi pahari ki choti par ja kar thehr gayi.

Ab Khuda ke hukum se selaab tham gaya aur zameen ne sara pani apne andar jazb kar liya.

Ab Khuda ne Hazrat Nooh A.S ko hukum diya ke kashti se utar jayo, tujh par aur woh log jo tujh par imaan laaye hain un par hamari rahmatein barkatein nazil hon gi.

Is tufaan mein duniya ke tamam log hi fanaa ho gaye they, sirf chand log hi zinda bachay they, is liye Hazrat Nooh A.S ko Adam sani bhi kaha jata hai, un hi ki aulaad is waqt duniya mein abad hai.
logoblog

Thanks for reading Hazrat Nooh A.S Story Urdu History Hazrat Nuh Ki Kashti Ki Kahani Waqia Qissa

No comments:

Post a Comment