Uterus Infection Urdu Bacha Dani Ka Operation Uterus Removal Side Effects In Hindi

  Lal Gulab      
ilaj Bacha Dani Ka Infection In Urdu Wajohaat Aur Asraat Cancer Bacha Dani Ki Bimari In Hindi
Bacha dani nikalwane ke operation ko hysterectomy kehte hain. Seccerian, e-section ke baad khawateen menia operation tezi se aam ho raha hai. America mein to har 3 mein se aik aurat 60 saal ki Umar taq pounchanay se pehlay hi yeh operation kara layti hai.

Naqideen is operation ke maqsadiyat par aitraaz karte hain, kyun ke yeh baat bhi mushahida mein aati hai ke bila zaroorat aur bay maqsad bhi yeh operation kiya ja raha hai jis ke liye doctor alehda se muawza wusool karte hain. Uterus ka operation mehez zabt toleed kay liye karwana theek nahin.

Isay is soorat mein kiya jata hai jab haiz, reham mein cancer, rasoli ya koi aur kharabi peda hoti hai. Paicheeda sooraton k ilawa mamooli masail ka hal agar deegar ilaj o mualjay ke zariye mumkin hai to uterus ki surgery se ijtinab hi behtar hai.

Treatment Of Uterus Removal Reason In Urdu - Bacha Dani Nikalwane Ki Wajah

Reham Ka Sartaan
Reham, reham ki gardan ya beza danyon ka sartaan 40 saal se ziyada age ki aurton ko sab se zayada hota hai is ki pehli alamat khoon ki kami ya bay wajah khoon ka bahao hai. Baad mein pait kay andar aik soojan si hoti hai jo be chain karti hai ya dard peda kar deti hai.

Reham ki gardan k sartaan ko bilkul shuru mein pakarne kay liye aik khasoosi test hota hai 20 saal se zayada age ki tamam aurton ko yeh test kara lena chahiye. Reham k cancer ka pehla shak hotay hi tibbi imdaad aur ilaj zaroori hai kisi ghareelo totke se koi faida nahi hota.

Reham Ka Apni Jagah Se Hatt Jana
Reham kay androoni teh mein mojood tissues barh janey ke nateejay mein kasrat aur qillat haiz, ya haiz ka dard se aana jaisay masail peda ho jatay hain baaz auqaat banjh pan ho jata hai ye uterus nikalwane ki doosri aam wajah hai.

Reham Ka Girna Ya Palatna
Jab reham k tissues dheelay par jayen tou reham ki nali ya farij ki janib dhalak jata hai jis se peshab mein infection, pishab par control na hona, hazma kharab rehna, hormones ka tabdeel hona, haiz ka band hona jaisay masail peda ho jatay hain. Lehaza in masail se nijaat haasil karne ke liye khawateen reham nikalwana un masail ka hal samajhti hain.

Rasoli
Yun to reham ki rasoli ka ilaj surgery ke baghair bhi mumkin hai lekin agar rasoli ka size barhta chala jaye to woh andaam Nihani mein takleef ka baes ban jati hai jis se khoon ka discharge kayi dinon taq hota rehta hai. Is se anemia ki shikayat ho jati hai aisi haalat mein doctor uterus nikalwane ka mahswara dete hain.

Kasrat Haiz Ya Qillat Haiz
Reham ya kookh mein oopar ki janib 2 khham khayi hui naalian hoti hain un nalion kay suron par 2 ghudood hotay hain jinhein beza daniyan ya ovaries kehte hain yeh ghudood hormones aur niswani beza peda karte hain. In hormones ka naam estrogen aur progesterone hai.

Niswani jism mein un hormones ki miqdaar mein baqaida utaar charhao aata rehta hai jo aik month mein apna cycle poora karta hai agar is cycle mein tawazun na ho to kasrat haiz ya is mein qillat ki shikayat honay lagti hai aisi haalat mein bacha daani ka operation karaya jata hai.

Uterus Removal Side Effects In Urdu Bacha Dani Operation Ka Nuqsan / Manfi Asraat

  • 10 se 40% khawateen yeh shikayat karti hain ke is surgery ke baad unhein jinsi milaap mein lutf mehsoos nahin hota.
  • Bacha dani nikalne ke baad baaz auqat frj sukar jata hai jis se khawateen ko milaap ke douran takleef hoti hai ya khoon behnay ki shikayat ho jati hai jis se shohar aksar apni biwion se daur ho jatay hain is liye yeh surgery apne shareek hayaat ki razamandi ke baghair nahi karani chahiye.
  • Is operation ke baad mahwari aana band ho jati hai jis se sahet ke kayi masail bhi dur paish asaktay hain.
  • Is surgery ko karanay ke baad 25 pound tak wazan barh sakta hai jo ke aik saal tak mushkil se kam hota hai.
  • Khawateen jald thaknay, kamar ke dard, joron ke dard mein mubtala ho sakti hain.
  • Baaz khawateen ko taiz bukhaar aur frj se khoon ke bahao ki shikayat ho jati hai.
logoblog

Thanks for reading Uterus Infection Urdu Bacha Dani Ka Operation Uterus Removal Side Effects In Hindi

No comments:

Post a Comment