Khwab Mein Salam Karna Urdu Tabeer Salam Kisi Ko Karna

  Lal Gulab      
Khwab Mein Salam Karna In Urdu: Khawab main kisi dost ko salam kiya hai tou woh dost khushi dekhay ga agar salam kisi dushman ko kiya hai tou woh us ka dost ban jaye ga. Kisi na'maloom insan ko salam karna yani jisay pehle nahin dekha tha tou koi musafir us ka dost aur ashna banay ga. Kisi burhay ne us ko salam kiya tou Allah ke azab se aman mein ho ga. Kisi ashna burhay ka salam karne ka matlab khubsurat aurat karay ga. Agar salam kisi dost ko kiya jaye aur woh us ka jawab  nahin deta tou samajhna chahiye keh donon doston ki judai ho gi.
Namaz mein bayain taraf (left side) salam kiya tou kaam shandar ho ga.

Salam karne ki tabeer 2 from another dream book
  1. Jis ne kisi admi ko salam kiya aur un ke darmiyan koi dushmani ya jhagra na ho tou jis ko salam kiya hai woh salam karne wale se khushi aman aur bhalai paye ga.
  2. Koi dushman ho tou salam karne wala salam kiye hue par ghalib aye ga aur us ke shar se mehfooz ho ga, jis ko salam kiya gaya ho woh koi namaloom burha ho tou Allah Ta'ala ke azab se mehfooz ho ga.
  3. Agar woh koi jana mana burha ho tou bohat darakht aur phal paye ga.
  4. Kisi se nikah ka khawahish mand salam karay jiss se nikah karna chahta hai usay aur agar woh jawab de tou nikah ho jaye ga usi se aur agar jawab nahin aya tou tabeer is ke khilaf hai.
  5. Agar un donon ke darmiyan koi tijarat thi aur us ko salam kiya aur us ne jawab diya tou woh tijarat un ke darmiyan mukamal ho gi aur jawab na diya tou tijarat puri na ho gi aur agar dushman ne salam kiya aur us ke paas hadiya waghera bhi ho tou dushman se sulah ka mutalba kare ga aur us ka qarz ada kare ga ya woh maqrooz ho ga.
  6. Kisi majhool admi ne salam kiya aur khwab dekhne wale ne qabool kar liya tou ajar milay ga aur agar qabool na kiya tou gunehgar ho ga.
  7. Dushman se musafah aur muanqah karna dushmani khatam hone ka ishara hai.
  8. Agar dekha ke Farishtay usay salam kar rahe hain tou ALLAH Ta'ala usay baseerat ata farmayain gey aur us ka khatma aur anjaam acha ho ga khawab main salam karna kiye jane wale ki itaat ko bhi zahir karta hai baaz auqat zaroorat ko bhi zahir karta hai.
logoblog

Thanks for reading Khwab Mein Salam Karna Urdu Tabeer Salam Kisi Ko Karna

No comments:

Post a Comment