How To Make Eco Cooler Urdu Eco-Cooler Banane Ka Tarika In Hindi Use Without Electricity

  Lal Gulab      
Tutorial How To Make Eco Cooler Air Conditioner In Urdu Hindi, Baghair Bijli Ke Ghar Ko Thanda Karne Ka Tareeqa
Air condition nah sirf aik mehngi machine hai balkay is ka istemaal bhi intahi mehanga saabit hota hai aur agar yeh kaam karna band kardey to is ki murammat par bhi kaafi kharch uth jata hai lekin agar aap naqabil bardasht hadd taq garam ilaqon ke rehaishi hain to phir aap ko "air condition" ke akhrajaat bardasht karna parte hain taham is ke akhrajaat bardasht karna har kisi ke bas ki baat nahi hai.

Magar ab eco cooler ki ijaad ne kam se kam aisay afraad ki mushkil ka hal to nikaal diya hai jo air condition kharidne aur is ke istemaal par anay walay akhrajaat ko bardasht karne ki taaqat nahi rakhtay.

Jee haan eco cooler aik aisa air condition hai jisay chalne ke liye nah to kisi qisam ki bijli ki zaroorat hai balkay yeh aap khud ghar par hi chand istemaal shuda ashya se ba aasani tayyar kar saktay hain. Eco cooler dar haqeeqat Bangladesh ki ijaad hai aur yeh is mulk mein taizi se taraqqi kar raha hai kyun kay yahan ki 70 feesad abadi aisay gharon mein rahaish pazeer hai jis ki chhatain teen ki hoti hain aur inhen bijli ki sahoolat bhi muyassar nahi hai.

Eco Cooler Kaisay Banate Hain Isay Kaise Tayyar Kiya Jaye?
E-Cooler ki tayari ke liye sab se pehlay apne ghar mein mojood khirki ke size jitna aik lakri ka board haasil ki jiye aur us mein aik makhsoos tarteeb ke sath drill ki madad se sorakh ki jiye ye sorakh itnay barray honay chahiye ke un mein se plastic ki bottlon ki gardan (pani nikaalne wala hissa) guzar jaye.
Is ke baad chand purani plastic ki botelain (mineral water ki ya phir mukhtalif mashrobat ki) ikathi ki jiye aur unhain neechay se kaat dain ab un bottlon ki gardan ko lakri ke board mein mojood sorakhon mein se guzaar kar doosri janib se oopar se katay hue dhakkan laga kar band kar dain ab is board ko khirki par latka dain aur herat angaiz tor par kamre ka darja hararat kam hota mehsoos ki jiye wazeh rahay ke board par lagi bottlon ka gardan wala hissa kamray ke andar ki janib hona chahiye.

E-Cooler ki takhleeq ke tamam tareeqa kaar ki wazahat aap article ke ekhtataam par mojood video mein bhi dekh satke hain e cooler unhi asoolon par apna kaam karta hai jin ke tehat hum apne munh se hawa kharij karte hain misaal ke tor par agar aap poora mun khol kar saans bahir nikalen to yeh garam hogi lekin agar yahi kaam bohat kam mun khol kar karen ge to kharij honay wali howa thandhi hogi.

Isi tarhan bottlon ke barray hissay mein hawa daakhil honay ke baad jab bottlon ki gardan ya chhootey hissay se jab wapas nikalti hai to is ka dabao tabdeel ho chuka hota hai aur woh thandhi ho chuki hoti hai aur yehi thandhi howa aap ke kamray mein daakhil ho kar aap ke kamray ke darja hararat mein kami waqia kar deti hai.

Eco-cooler ke istemaal se aap ke kamray ke darja hararat mein taqreeban 5 degree centi grade ki kami aati hai - yaqeenan yeh bohat zayada to nahi hai lekin agar aap ke bijli nah ho aur mausam bhi garam ho to yeh 5 degree centi grade ki kami qabil e zikar maloom hoti hai.

Agar aap apne ghar ko mazeed thanda karna chahtay hain to phir aisa hi aik board ghar ke darwazay jitna tayyar kar ke wahan latka dain is se ghar ke darja hararat mein mazeed behtari aeye gi. Kasrat ke sath maujood plastic ki botalain aur aasani se muyassar anay wala lakri ka board yahi do cheezein eco cooler ki tayari ke liye laazmi hain aur is cooler ki tayari par anay wali laagat bhi kuch khaas nahi hai.
logoblog

Thanks for reading How To Make Eco Cooler Urdu Eco-Cooler Banane Ka Tarika In Hindi Use Without Electricity

No comments:

Post a Comment