How To Do Arabic Makeup Karne Ka Tarika In Urdu: Wese to har
mulak kay culture or riwayat ak dosary say mukhtalif hein, lekin is kay
bawajood makeup ki duniya mein dosary mumalik ki techniques or in kay
tareeqy bohat shoq say apanaye jaty hein. Is ki waja ye hoti hai kay is
say mukhtalif makeup karnay kay tareeqon kay sath sath makeup kay
mukhtalif andaaz dekhany ko miltay hein. Hamaray yahan bh indian style
western style or arabic style ko na sirf azmaya balkay pasand kia jata
hai. Iski sab say bari waja ye hai kay arabic makeup mein ankhon par
khas tawajo di jati hai. Yahi waja hai is makeup mein sab say ziada
numayan bhi ankhen hoti hein.
Ziada tar arabic makeup amoman gehry rangon or chamaktay huye eye
shades par mushtamil hota hai. Is makeup kay doran sab say ziada blue
dark green, purple pink, meeron or golden rangon ka istaimaal kia jata
hai. Amoman khaleeji mumlik r arab mumalik say taluq rakhany wali
khawateen apni ankhon ko mazeed khoobsurt dekhany kay liye makeup ka
istaimaal bhi karti hein. Yahi waja hai arabic makeup dunia bhar mein
apni alag shanakhat rakhta hai or is makeup ki techniques ko dunia bhar
ki khawateen apany apnay tareeqy say azmati nazar ati hein.
Hamaray yahan kuch khawateen shayad is makeup k bary mein janti hon.
Magar wo khawateen jo arabic makeup k baray mein nahi janti or unhon nay
aaj tak arabic makeup ki koi techniques nahi azmaein, wo zaeel bataye
janay wali in makeup ki techniques ko azma kar ghar par hi arabic
makeup karna seekh sakti hein.
Sab say pehlay chehray par apni jild ki rangat ko mady nazar rakhartay
huye foundation lagaein. Ankhon kay neechay agar halkay hein to ap
concealer laga kar apany halkon ko chupaein or phr foundation ki ak teh
lagaein. Is kay baad brush ki madad say translucent powder lagaein is
tarhan base apni jagah par kafi dair tak barqarar rahe ga.
Is kay baad ankhon par skin color ka eye shade eyebrows kay neechay
say kar eye lid tak laga lein. Ye skin colour ankhon kay base kay tor
par kaam day ga. Is kay upar jo bhi rang lagaya jaye ga wo waziah hoga. Phir blue colour ki pencil say ankh kay darmian say bahir ki taraf
jaty huye "V" banayein.
Banaye gaye "V" ko brush ki madad say blend karein or sath hi blue or
purple rang kay eyes shade ko mix karty huye "V" ko blend karein. Yaad
rahay blending "V" kay beeroni hisay ki taraf karni hai.
Pencil say banaye gaye "V" kay andaroni hisay mein phr sakin colour
lagayein or phr us kay upar dark meeron colour brush ki madad say
lagaein or achi tarhan blend karein. Blending is tarhan honi chahiye k
"V" eaziah rahay or blending bhi ho jaye.
Phir ankh kay nichalay hisay
par pehlay purple pencil say line banaein phir blue or phir black eye
pencil say line banaein. Ankhon kay eyelid par eye linner es tarhan
lagaein kay wo banaye gaye "V" say bh agay nikalta hua mehsoos ho.
Eye linner ki line motti rakhein taakay achi tarhan waziah ho phir
nakali palkein lash glue ki madad say chipkayein.
Linner ko dobara waziah karein. Akhir mein maskara lagaein taakay
asali palkein or nakali palkein alag alag mehsoos na hon. Eyebrow kay
neechay light golden colour ki highlight karein or eyebrows ko brown or
black eyeshaded ki madad say waziah karein. Eyeshado lagatay waqt koi
bhi colour apni marzi say agay ya peechay kia jaa sakta hai.
Eye linner
ki line motti rakhein taakay achi tarhan waziah ho phir nakali palkein
lash glue ki madad say chipkayein.
Linner ko dobara waziah karein. Akhir mein maskara lagaein taakay
asali palkein or nakali palkein alag alag mehsoos na hon. Eyebrow kay
neechay light golden colour ki highlight karein or eyebrows ko brown or
black eyeshaded ki madad say waziah karein. Eyeshado lagatay waqt koi
bhi colour apni marzi say agay ya peechay kia jaa sakta hai.
Eye linner ki line motti rakhein taakay achi tarhan waziah ho phir
nakali palkein lash glue ki madad say chipkayein.
Linner ko dobara waziah karein. Akhir mein maskara lagaein taakay
asali palkein or nakali palkein alag alag mehsoos na hon. Eyebrow kay
neechay light golden colour ki highlight karein or eyebrows ko brown or
black eyeshaded ki madad say waziah karein. Eyeshado lagatay waqt koi
bhi colour apni marzi say agay ya peechay kia jaa sakta hai.
Is kay baad peech or gulabi rang ka blush on gaalon par lagaein or
golden high lighter gaalon ki upar wali haddi naak or paishani par
lagaein.
Pink colour ki lipstick say hoonton ki outline banayein or darmiani
hissay par halkay gulabi rang ki lipstick lagaein. Akhir mein lip gloss
lagaein. Is tarhan arabic makeup mukammal ho gaya ab to aap bhi ba
khushi keh sakti hein mujhay bhi arabic makeup karna ata hai.
No comments:
Post a Comment