Ringworm Treatment Urdu Ringworm Ka ilaj Hindi Ringworm Meaning Solution Infection Home Remedies

  Lal Gulab      
Ringworm Kya Hai Yani Dhadar Ki Bimari Disease Ringworm Ka Ilaj

Ringworm Home Remedies In Urdu

Information Ringworm Meaning In Urdu: Baaz jalde bemariyan jaraseeme chhoot ki wajah se hoti hain masalan phoray, phinsiyan aur ampetigo waghaira jabkeh baaz bimariyan mukhtalif Fungi ki chhoot ki wajah se lahaq ho jati hain. Maslan Ringworm waghaira kayi jildi bimariyan Allergy ki wajah se bhi lag jate hain. Kayi jildi amraaz aise bhi hain jin ki wajah abhi tak sahi tor par maloom hi nahin ho saki masla chambal yani soraye saza aur bars waghera.

Ringworm Symptoms In Urdu: Ringworm bhi aik jildi bimari hai ye aam tor par phaphondi ki infection ki wajah se hoti hai. Ringworm aksar mausami bimari zahir hoti hai yani mausam barsat aur aise mausam mein lahaq hoti hai jub jism par paseena bohat zayada ata hai. Ringworm jism ke har hisay par ho sakti hai is ki aik khas qisam ranon ke darmiyan hoti hai
aur buhat kharish ka bais ban sakti hai agar ye hatheliyon ya pa'aon ke talon par ho jaye to is ka ilaj mushkil ho jata hai. Hatheliyon se amooman nail par bhi hamla karti hai jis se nakhun mote bad shakal aur bhur bhuray ho jatay hain. Ye bimari amooman alooda aur zayada barishon wale gunjan abad alaqon mein payi jati hai, msalan Sri Lanks, Pakistan ke shamali alaqa jaat aur bharat ke baaz alaqon mein ye maraz bakasrat paya jata hai.

Ringworm Causes In Hindi Urdu Ringworm Ki Wajah
Ye jildi bimari ba'az qisam ke fungi ke infection ki wajah se hoti hai jabkeh fungi ke infection aksar auqat itni shadeed ho jati hai ke yeh pheltay pheltay tamam jism ko apni lapait mein le leti hai. Ghair mayari rahaish, khorak, gandagi aur alooda mahol mein ringworm infection ho jati hai, jab garmiyon mein barsat ke mausam mein jis ki wajah se aur pasina aata hai tou is ke jaraseem bohat jald hamla aawar ho jate hain. Is bimari ki wajah koi allergy bhi ho sakte hai jabkeh allergy kisi wajah se bhi ho sakti hai jo ke aam ilaj se theek nahin ho sakti hai.

Sadma pareshani aur bay khawabi se bhi is jildi beemari ke pheelnay ke khadshat hote hain, Sard mulkon ki nisbat ye aam tor par garam mulkon aur alooda mahool wale alaqon mein paye jate hain jabkeh ba'az khandanon mein bhi is ka asar morosi sorat haal ikhtiyar kar jata hai.

Ringworm Ki Alamat

Ring worm jism ke har hisay ko mutasir karti hai lekin is ki aik khaas qisam siraf ranon ke darmiyan hoti hai aur shadeed kharish, jalan aur redness ka bais banti hai.

Ba'az auqaat hatheliyon, pa'aon ke talon aur hathon par bhi ho jati hai jis se jild bad shakal aur surkhi mayel ho jati hai phaphoondi ki aik khas qisam sar par bhi hamla karti hai jis se baal toot kar girna shuro ho jate hain. Balon ke girne ka agar ye silsila agar ilaj na kiya jaye to ahista ahista barhta jata hai aur akhir kar ganj ho jata hai lekin sar ki jild phir bhi theek nahin ho pati.

Ye alamaat Kashmir mein aam hai aur isay Favus bhi kaha jata hai. Jism ke aam hison par ringworm ki aik makhsoos shakal hoti hai jis se ye ba'asani pehchani ja sakti hai is bimari se jism par gol gol se dane bante jate hain jabkeh in ke darmiyan wali jagah nisbatan saaf hoti hai aur kinare surkh ho jatay hain isi munasbat se angreezi mein is ka naam ringworm parh gaya. Jisam ki kisi aik jagah par ringworm parhne ke baad ye saare jism par pheel kar shiddat ikhtiyar kar jati hai jis se kharish aur halka halka bukhar bhi rehne lagta hai, becheeni aur matli hoti hai, aksar auqat raat ko bhi neend nahin aati aur sari raat kharish karte hue basar ho jati hai.


Ringworm Ka ilaj In Urdu Treatment Ringworm Se Bachne Ka Tareeqa

Hamesha saaf suthra libas pehnain aur jism ki safai ka khas khayal rakhain kyun keh ye bimari gandagi aur paseenay se phelne ki bari wajah hai. Tazah phaloon aur sabziyon ka istemal zayada karain is se majmue toor par sehat bahal rahe gi aur bimariyon ko qadre kam moqah milay ga.
Nakhunon ki safai na karne ki wajah se bari shadeed hoti hai aur sare nakhun tabah ho jate hain. Mukhtalif janwaron se bhi ye bimari lag jati hai is liye un ke zayada qareeb na jayein, khasoosan kutte aur billiyon se zayada ijtinab karain.
Agar kharish ranon mein hoti mehsoos ho tou khulay aur dheelay dhalay kapre pehnain tang kapron ka istemal na karain sada diet ka istemal karain.

Infection of Ringworm Solution In Urdu Ringworm Medicine In Hindi
(Ye medicines use karne se pehle apne doctor se puchain) Kenacomb Ointment ringworm ke liye bohat mufeed hoti hai, din mein 2 dafa mutasira jagah par lagayein.

Grisovin FP 500 mg pheeli hoi ho tou 3 haftay sar aur balon mein ho tou 4 month aur agar nails mein ho tou 1 1/2 saal yani 18 month tak ringworm ka ilaj jari rakhain.
logoblog

Thanks for reading Ringworm Treatment Urdu Ringworm Ka ilaj Hindi Ringworm Meaning Solution Infection Home Remedies

No comments:

Post a Comment