Pregnancy Ultrasound In Urdu Book Pregnancy Scan Hindi Meaning Ultrasound In Pregnancy

  Lal Gulab      
Ultrasound During Pregnancy In Urdu

Hamal Mein Ultrasound Scan Mein Kya Hota Hai Aur Mujhe Kya Bataya Jaye Ga?

Pregnancy Ultrasound Scans Meaning Ultrasound Definition In Urdu

Pragnancy Ultrasound In Urdu - Ultrasound kya hai? Ye awaz ki wo lehrain hoti hein jo pait mein bache ki tasweer utarti hein, in lehron se koi dard nahin hota na hi in se Maa ya Bache pe bure asraat waqya hotay hein. Ye test hamal ke kisi bhi marhale par kiya ja sakta hai. Apni dayee ya mualij ya mahir e zichgi se is ke bare mein mashwara karain. Kayi aurton ke liye ultrasound scan ki hamal mein bohat zayada ahmiyat hoti hai. Wo apne bache ki tasweer ko apne pait mein dekhne ke liye bohat purjosh hoti hein. Khas tor par apne bazu or tangon ko harkat dete hue dekhna. Hamal mein ultrasound aik khushgawaar waqia hai lekin agar hamal main kisi tarhan ke sanjeeda masail hein jo ultrasound se samne ayain tou is baat ke liye bhi khud ko tyar rakhain.

Scan Room Mein Kya Ho Ga?

Zayada tar scans khasoosi tarbiyat yafta staff jinhain sonographers kaha jata hai se karwaye jate hein. Ye amal aik halke tareek kamre mein kiya jata hai takeh bache ki achi tasweer li ja sake, aap ko aik gaddi pe laitney ke liye kaha jaye ga aur aap ko apne kapray neeche karne ko kaha jaye ga takeh aap ka scan wala hissa nazar aa sake. Sonographer aik gel aap ke pait par lagaye ga aur aik tissue paper aap ke kapron ke kinare par rakhe ga takeh gel se aap ke kapre kharab na hon. Gel ki waja se aap ki skin or machine mein acha rabta rehta he. Sonographer aik hath mein pakarne wali machine jise probe kehte hein aap ki jild pe lagaye ga. Ye probe hi hai jo ultrasound ki lehron ko bhejta hai aur tasweer lene ke baad un ko dobara pakarta hai. Ultrasound machine par bache ki syah o safaid tasweer aati hai. Muaenay ke doran sonographers screen ko aik sahi simt mein rakhte hein takeh bache ki saamne ya side se achi tasweer hasil kar sake. Sonographers aap ke bache ke jism ka achi tarhan muaeena karta hai. Scan karne se dard nahin hoti lekin sonographer ko achi tasweer hasil karne ke liye thora wazan dalna parta hai.

Aik Scan Par Kitna Waqt Lagta Hai?

Aik scan 20 minute leta hai lekin agar bacha ghalat position mein leta ho ya bohat zayada harkat kare tou sonographer achi tasweer nahin lay sake ga. Agar aap ka wazan zayada hai ya aap ke tissue zayada sakht aur moti hain tou lehren aap ke bache tak pohanchne ke liye bohat zayada maas se guzren gi is tarhan bhi tasweer achi nahin aye gi. Ya scan bohat zayada lamba ho ga ya phir dobara karna paray ga.

Kya Ultrasound Scan Mujhe Ya Mere Bache Ko Nuqsan Pohancha Sakta Hai?

Is scan se aisay koi khatraat tou nahin pata chale jo Maa aur Bache ke liye nuqsan de hon lekin ye zaroori hai ke aik baar achi tarhan soch liya jaye ke test karaya jaye ya na karaya jaye. Scan aap ko ehem maloomaat faraham karta hai jis ka matlab ye bhi hai ke ab aap ehem faisle kar sakte hein. Yani aap ko mazeed khuch test karwane ka kaha jaye ga agar aap mein isqaat e hamal ka andesha ho.

Scan Karwane Ka Kab Kaha Jaye Ga?

Hospital hamla auraton ko doraan e hamal 2 baar scan karane ke liye kahain ge.
  • 8 se 14 hafton main 
  • 18 se 21 hafton ke darmyan
Pehla scan tareekhi scan kehlata hai jis mein sonographer aap ki baby ki jisamat ke mutabiq aap ko wiladat ki tareekh (EDD) bataye ga.
Tareekhi scan nuchal translucency (NT) scan par mushtamil hota hai jo aik aur test, screening test ke sath mil kar dimaghi beemari Down’s syndrome waghera ki nishan dahi karta hai.
Doosra scan jo ke tamam hamla khawateen ko karwaya jata hai wo Anomaly scan kehlata hai aur hamal ka darmyana scan bhi kehlata hai kyun ke ye 18 se 21 hafton ke darmiyan hota hai. Ye scan bache mein jismani kharabiyon ki tash’hees karta hai.
Kuch khwateen ko 2 se ziada scans ke liye bhi kaha jata hai jo ke un ki sehet aur un ke hamal par munhasir hota hai. Aap tareekhi ya hamal ke darmiyan ke scan ke bare mein aur bhi jaan sakte hein.

Main Nataij Kab Hasil Karon Gi?

Sonographer aap ko bata de ga k wo kab tak aap ko is ke results de sakta hai.

Kya Mujhe Ultrasound Scan Karana zaroori Hai?

Agar aap nahin karana chahtein tou ye zaroori nahin hai khuch log ye jan’ne ke liye ke un ke bache ke sath koi masla tou nahi hai, ultrasound karatey hein jab ke khuch log nahin karatay. Tareekhi scan or anomaly scan har aurat ko paish kiye jate hein lekin sab log ye pesh kash qabool nahin karty.
Agar aap scans nahi karana chahtein tou aap ki raye ko ehem jana jaye ga aur qabal az wiladat aap ka usi mamool ke mutabiq dhiyaan rakha jaye ga. Aap ko apna faisla lene se pehle ye moqa diya jaye ga ke aap apni zichgi ke mualijeen se is baat ko maloom kar lein.

Ultra Sound Scan Kis Liye Istamal hote Hein? Ultrasound Uses

Ultrasound scans istemal hote hein
  1. Aap ke bache ka size aur jisamat tareekh ke mutabiq dekhne ke liye, ye is lihaaz se behtar hai ke ye maloom kar sake ga aap kitne hafton se haamla hein aur aap ke bache ki wiladat ki matawaqqo tareekh (due date) kya hai. Jo ke aap ki pichli mahwari ke pehle din se shumar kiya jaye ga (ultrasound ki pemaish k mutabiq).
  2. Ye dekhne ke liye ke aap ke aik se ziada bache hein ya nahi. 
  3. Khuch kharabiyon ki tash’hees karne ke liye.
  4. Aap ke baby ki theek jagah aur jhilli ki darustagi maloom karne ke liye, misal ke tor par agar hamal ke aakhir me jhilli bohat neeche ho jaye tou barra operation yani  caesarean section hi tajveez kiya jata hai.
  5. Ye jan’ne ke liye ke bache ki nashonuma theek ho rahi hai aur is liye bhi zaroori hai ke agar jurwan bache (twin babies) hon tou maloom kiya ja sake aur is liye bhi ke aap ko is hamal ya is se pichle hamal mein agar masayel hon tou maloom kiye ja sakain.

Kya Mein Apne Doston Aur Apne Ghur Walon Ko Sath La Sakti Hun Jab Scan Karana Ho?

Gee ultrasound se baaz auqaat masayel bhi saamne aa jate hein is liye aap apne sath scan ke doran kisi ko la sakti hein. Zayada tar hospital bachon ko sath lane ki ijazat nahin dete is liye agar aap ne bachon ko sath lana ho tou pehle hospital se maloom kar lein. Yaad rakhein ke ultrasound aik ehem tibbi muayeena hai aur ye usi tarhan kiya jata hai jis tarhan hospital mein baqi ke test kiye jate hein.

Agar Sab Khuch Mamool Ke Mutabiq Hai Phir Aagey Kya Karna Hai?

Zayada tar ultrasound mein baby mamool ke mutabiq theek nashonuma paa raha hota hai aur koi masla nahin paya jata is liye kyoun ke zayada tar bache sehet mand hote hein aur beemar nahi hote.

Agar Scan Mein Koi Masla Aata Hai Phir Kya Karna Ho Ga?

Agar koi masla aata hai tou sonographer doosre mualij se mashwara le sakta hai aur aap ko deegar test karaney ke liye kaha jata hai ta keh kharabi ki mojoodgi ko yaqeeni banaya ja sake. Jab aap ko doosre test ki pesh kash ki jati hai tou aap ko is ki tamaam maloomat di jati hein ta keh aap ye faisla karain ke aap ye test karwana chahti hein ya nahin. Aap apni dayee ya apne mualij se is bare mein baat kar sakti hein. Agar zaroori ho tou aap ko kisi doosre hospital mein kisi mahir ke paas bheja ja sakta hai.

Beta Ho Ga Ya Beti - Baby Boy Or Baby Girl?

Aap ko bache ki jins ke bare mein batana screening test ka laazmi hisa nahin hai ye hospital ki policy par munhasir hai. Agar aap apne bache ki jins maloom karna chahte hein tou aap hamal ke darmiyan wake scan mein pata kara sakti hein. Aap sonographer ko test ke shuru mein he bata dain ke aap bache ki jins maloom karna chahtay hein, lekin ye bhi yaad rakhain ke ye 100% sonographer ke ikhtyaar mein nahin ke wo bache ki jins 100% darust bata sake misal ke tor par agar bacha kisi ghair mamooli halat mein leta hua hai tou jins batana mushkil ya na mumkin bhi ho sakta hai.

Khuch hospitals ki policy mein mareezon ko bache ki jins ke bare mein batana nahin hota is liye pehle apne sonographer ya dayee se baat kar lein ta keh wo kisi dosre hospital ka pata bata dein.

Kya Mein Apne Bache Ki Tasveer Dekh Sakti Hun?

Aap ko ye dekhne ki zaroorat hai ke kya aap ka hospital ye khidmat sar anjaam de raha hai agar wo ye kaam karte hein tou yaqeenan is ke paise lain ge

Agar aap mein se koi ultrasound ki report parhna seekhna chahain tou  lalgulab aap ko khud ultrasound report parhne ka tarika bata raha hai aap is link ki madad se ultrasound ko samajhne mein kamyab ho sakti hain.
logoblog

Thanks for reading Pregnancy Ultrasound In Urdu Book Pregnancy Scan Hindi Meaning Ultrasound In Pregnancy

No comments:

Post a Comment