Nazar Tez Karne Ka ilaj In Urdu Totka Nazar Ki Kamzoori Se Bachne Ka Tarika Hindi Tips

  Lal Gulab      
Tips Nazar Tez Karne Ka ilaj In Urdu Totka Nazar Ki Kamzoori Se Bachne Ka Tarika Hindi
Nazar Ko Kamzoor Hone Se Kaise Bachaye
Nazar Ko Kamzore Se Bachane Ke Chand Tareeqe
Aaj kal nazar ki kamzori aik aam masla ban chuke hai aur kam umri se chashma lag jata hai. Taham agar aap koshish karain to nazar ko qabal-az-waqat ya umar ke sath aane wali kamzori se tahaffuz de sakte hain aur chashma lagane se bach sakte hain. Yahan khuch aise hi nukaat bataye ja rahe hain jo aap ki aankhon ko sehat mand aur binayi ko mazboot rakhne mein madad gaar sabit ho sakte hain.

Machli Ka Istimal
Machli omega 3 fatty acids se bharpur hoti hai jo aankhon ko dry eye nami marz ke khatre se bachane mein madad gaar sabit hota hai. Agar aap ko machli pasand nahin to machli ke tail ke fawaid ko mad-e-nazar rakhte hoe aur doctor se mashwara kar ke ye faida hasil kiya ja sakta hai.

Hamesha Goggles Ka Istimal
Jab bhi teraki ya lakdi ka koi kaam karain to goggles ko zaroor aankhon par charhayen. Teraki ke liye aankhon ke goggles aap ki aankhon ko chlorapan se bacha sakte hain. Jabkeh kaam ke doran ye zarrat ko aankhon mein jane nahin deti jo qarneye me kharash ke baes ban sakte hain.

AC Ke Hawa Se Gurez
Garhi me AC ke hawa ka rukh aankhon ke bajaye peron ke janib rakhne ki aadat dalain. AC se kharij hone wale  hawa ka rukh aap ke chehre ke janib na ho, aankhon me buhat ziyzda khushki kharashon aur andhe pan ka baes ban sakte hai.

Surakh Piyaz Ka Intikhab
Khne ke liye surkh piyaz ka istimal karin. Degar aqsam ke muqabilay mein is piyaz main baloten name anti accident ziyada miqdar main hota hai jo aankhon ko motiye ke maraz se tahaffuz deta hai.

Sun Glasses Ka Istemal
Jab bhi ghar se niklain to sun glasses ko pehan lain. Is se na sirf sooraj se kharij hone wale sakht shu'uaon ko halak karne main madad milay ge balkeh aankhon ko haea chalne se khushak hone ke asarat se bhi tahaffuz mile ga.


Shakar Qandi Ka Istimal
Vitamin A se bhar poor shakar qandi ko iske season mein kasrat se istimal karain, ye rat ke nazar ko behtar karne ke liye behtareen chez hai aur ur benaye ko dhund lane se bachane mein bhi madad gar sabit hote hai.

Toliya Alag Karna
Har bar apne chehre ko saf karne ke liye kam az kam apna toliya istimal karain, Toliye ka mushtarika istimal se aankhon ke unfection aashob e chasham ka khatra barh jata hai balkeh agar koi is ka shikar ho to yaqeene ho jata hai.

Hafte Mein Do Bar Palak Ka Istimal
Palak ko mukhtalif tariqe se bana kar khaya ja sakta hai aur ye koi ahmiyat nahi rakhta balkeh is ka istimal mamool bana lene ko yaqeene banayen. Mukhtalif tibbi tehqeeqe reports ke mutabiq palik mein moujood protein aur iron jese juz hai jo umar barhne ke sath sath aankhon ke pathe mainaane wale tanzale aur motiye ke rok tham mein madad gar sabit hosakta hai.

Waqfa Zaroori Hai
Jab aap computr par kam ya kitaab ka mutaliaa kar rahe hon to har ghante baad ka alaram laga lain, isko yad dihane ke taur par istimal karte hoi apne kam ya kitab se nazarain hata kar kisi door waqih jagah ko 30 seconds tak dekhein , is tareeqe se aap ko aankhon ke thakawat aur is par parhne wale bojh ke roak tham me madad mile ge.

Blood Pressure Par Nazar Rakhein
Apne blood pressure ka moina har maah karain agar aap chahe to bazaaron mein aam milne wale blood pressur ke aalat se ye kam ghar par bhi kar sakte hain, agar pressure ke baare mein ilam na ho sakain to nuqsan phunchne ka imkan barh jata hai.

Sar Par Hat Ya Topi Ka Istimal
Sun glasses ke sath aik barhe hat ya topi ko bhi pehenne ke aadat dalain, hat ya topi sooraj ke nuqsan deh ultra voilet shua'aon ke 50% asarat se tahaffuz deta hai aur aankhkon mein chashme ke oopar ya neche se in shua'aon ke puhunchne ka imkan kam tareen hojata hai.

Dimagh To Tehrek Dena
Podene ke tail ko apne hath par mal kar songhein, tibbi mekhqaqeen ka kehna hai keh podene ka tail dimagh ke andar in lehron ko barhata hai jo hoshyari aurtawajah markoz karne ki salahiyyat ko behtar banate hain, ye khushbuain dimagh ke pecheda nizam ko tehreek deti hain aur aankhon tak in ke asarat jate hain jin ke madad se aap madham roshne mein ziyada aasani se dekhne ke qabil ho jate hain.

Chehal Qadmi
Hafte me kam az kam char bar chehal qadmi ki aadat bana lain, mukhtalif tibbi shawahid se andiya milta hai keh warzish ko mamool bana lene se motiye ka shikar afrad mein gosha chasham ke andar dabao ko kam rakhne mein madad mil sakti hai.

Rozana Pani Se Ankhein Dhoyein
Pani ubaal kar thanda kar lain us mein namak daal kar sheeshay ki bottle mein mehfooz kar lain rozana is paani se aankhen dhooyein, is ke ilawa aisa amal karne se pathon aur aasab ko bhi taqwiyat milay gi.
logoblog

Thanks for reading Nazar Tez Karne Ka ilaj In Urdu Totka Nazar Ki Kamzoori Se Bachne Ka Tarika Hindi Tips

No comments:

Post a Comment