National Dress Of Pakistan Urdu Essay Qaumi Libas Aur Fashion For Students

  Lal Gulab      
Libas Tehzeeb Aur Waqar Ki Alamat National Dress Of Pakistan Urdu Essay

Pakistan Ka Qaumi Libas Aur Fashion Essay In Urdu Qaumi Libas Par Mazmoon
Insan aur libas ka bohat purana taluq hai libaas jisay insan ne apne aap ko mehfooz karne ke liye banaya tha insan ki tehzeeb aur waqar ki alamat hota hai.

Ye aap ki shakhsiyat aur mazaj ko zahir karta hai aik waqt tha jub insan ki pehchan us ke libas se hoti thi kyoun keh us ka libas us ke alaqay ko numayan karta tha is ki wajah shayed ye bhi ho sakti hai keh libas ko har alaqay ki zaroorat ke mutabiq banaya gaya tha jese garam aur sard alaqay ke malboosat mein kafi farq hota tha. Is lihaz se Pakistan mein khuch malboosat ko bohat ahmiyat hasil thi mukhtalif tehwaron per makhsoos libas pehne jate. Shalwar kameez pehni jati hai aur sherwani ko qaumi libas kaha jata hai. Lekin ab aik naya hi rawaj parwan charh raha hai jis ka shikar khas tor par hamari naujawan nasal ho rahi hai.

Khas tor per un taleemi adaron mein jahan uniform ki pabandi nahin hai, talib ilm wahan par aik naye hi culture ke rang mein rangey ja rahe hain. Dars gahain hain jo keh kabhi dars o tadrees ka markaz hua karti thien ab aik fashion show ki tarah nazar ati hain. Taleem ko jahan ahmiyat deni chahiye thi wahan libas ko zayada malhooz khatir rakha jata hai. Jamiat jahan per kisi dor mein taleemi aur adbi muqable hua karte thay, ab wahan per mehngey malboosat ke muqablon ne un ki jagah lay li hai. Talib ilm mehngey libaas pehentay hain aur ghoor talab baat tou ye hai keh brands ko bohat ahmiyat di jati hai un mein se bhi mehnge brands ko tarjih di jati hai. Libas ke intikhab mein pehle mazhabi aur saqafati pehluon ko paish nazar rakha jata tha. Is ke ilawa bhi bohat se pehlu libas ko khareedtay aur pehantay waqt mad nazar rakhe jate thay. Lekin aaj is door mein in sub baton ke bar aks ho raha hai. Naujawan larke aur larkiyan aise libas pehanna pasand karte hain jo keh kisi lihaz se moz'un  nazar nahin atay. Ladkon mein phatay hue kapre pehanna fashion samjha jata hai aur ladkiyon mein larkon jese kapre pehanna fashion samjha jata hai.

Jo culture hamari universities mein nazar ata hai woh hamare Islami muashray aur tehzeeb ke bilkul baraks hai. Hamari saqafat ham se door hoti nazar aati hai hamare qaumi libas aur saqafati malboosat ka naam tou ab kitabon tak hi mehdood nazar ata hai. Ho sakta hai keh kuch arsa tak jub kisi bache se pucha jaye keh qaumi libaas kon sa hai tou ain mumkin hai keh us ne kabhi woh libas dekha bhi na ho. Hamare adaron mein muqami culture aur aise namon se wabasta bohat se din manaye jate hain bohat si taqreeb munaqad ki jati hain. Talib ilmon ke liye woh sirf ghair nasabi sargarmiyon mein shamil hai woh in sargarmiyon mein shamil tou hote hain lekin unhain in ki ahmiyat se koi gharz nahin hoti.

Unhain apni saqafati iqdar aur un ki ahmiyat se roshnas nahin karawa aur na hi ye bataya jata hai keh aaj ke door mein jub ye sub chezain khatam ho rahi hain tou humain is ki baqa ke liye kya karna hai. Naujawanon ko apne tor par aram deh aur mozoon libas ka intikhab karna chahiye jis se un ka acha tasar qaim ho aur mazhabi iqdaar bhi majruh na hon. Taleemi adaron ko bhi in ghair sehat mandana aur na munasib rujhanat ki hosla shikni karni chahiye. Universities mein uniform honi chahiye ya nahin? Is sawal par talib ilmon ke mukhtalif khayalat samne atay hain aur pata lagta hai keh baishtar log uniform na hone ke haq mein hi hain.

Lekin is ke bawajood kuch talba o talbat aise bhi hain jo is baat ko khuch had tak samajhte hain keh uniform na hone ki wajah se kya niqsanat ho rahe hain aur hamain aur hamari tehzeeb ko kon se masail darpaish hain. Brands hamare muashray mein aam hone ki wajah se universitiyon mein aik farq dekhne mein araha hai. Kaha ja sakta hai keh universities mein 2 tarah ke students hote hain jin mein se aik ko hum brandsed students bhi keh sakte hain. In wajuhat ki bana par bohat se nafsiyati masail bhi samne atay hain. Ache taleemi adaron mein dakhla laite waqt ab talib ilmon ko numbers ya zahat ki zaroorat nahin parti balkeh jaib ki halat dekhni parti hai aur dekhna parta hai keh kya is mahool mein ja kar in akhrajaat ko bardasht kar sakte hain ya nahin.

Humain apne qomi libas aur alaqai libas ko bhi apnana chahiye aur is ki hosla afzai karni chahiye takeh ye malboosat hamare culture ka hisa bane rahain aur hamari alag shanakht qaim rahe in sub baton per sanjeedgi se ghoor ki zaroorat hai takeh hum aik aise muashray ko tashkeel de sakain jo keh apni tehzeeb o saqafat se gehra taluq rakhta ho.
logoblog

Thanks for reading National Dress Of Pakistan Urdu Essay Qaumi Libas Aur Fashion For Students

No comments:

Post a Comment