Lice Treatment Urdu Juain Khatam Karne Ka Tarika Hindi Remove Lice In Hair Home Remedy

  Lal Gulab      
Juon Ka ilaj In Urdu Juain Khatam Karne Ka Tarika In Hindi Joo Ka Totka Ghareelu Upay

How To Remove Lice Treatment In Urdu Lice Removal Tips In Urdu

Lice Khatam Karne Ka Totka In Urdu: Mausam garma ke sath hi jahan garmi ki shiddat ko bardasht karna parta hai wahin us se munsalik kayi masail ka samna bhi karna parta hai un mein khawateen aur bachon mein sub se aham aur bara masla juwoon ka hai. Garmiyon mein paseena wafar kharij hota hai aur sar ke balon mein bhi paseena rehta hai is wajah se balon mein juen paida hona shuru ho jati hain, khas tor par wo khawateen ya bachiyan jo garmiyon mein har waqt apne head par scarf bande rakhti hain un mein juon ki shikayat zayada milti hai aisa is liye bhi hota hai keh sar ko musalsal bandh kar rakhne se balon mein paseena jamna shuru ho jata hai. Agar balon ko khula chhor diya jaye tab ye khush ho sakta hai warna gheela sar paseenay se ho ya pani se juwoon ki behtareen amajgah hai. Juwain khoon chossti hain aur is shiddat se sar ki jild par hamla karti hain keh kharish aur alergy hone lagti hai. Juon ki problem har ghar ka aik aam masla banta ja raha hai khas tor se bachon mein ye masla har waqt rehta hai school jane wale childrens is se kisi tor par bhi mehfooz nahin reh sakte hain.

Natural Solution Lice In Hair Home Remedy In Urdu

Use Medicated Shampoo For Lice

Ye zaroori nahin keh kharish ya alergy har aik ke balon mein ho ye is baat par munhasar hai keh bache ke sar ki skin kis qisam ki hai ya ye keh jild kis had tak hasas hai? lekin aisa bohat kam hota hai juwoon ki mojoodgi mein sar mein kharish ya khujli ki shikayat na ho. Agar ye shikayat zayada shiddat ikhtyar kar jaye tou phir doctor se ruju karna zaroori ho jata hai. Doctor aisi surat mein anti lice shampoo, cream ya ohir lotions tajweez karte hain jo keh juon ke khatme mein madadgar sabat hote hain lekin mukhtalif tajarbat se ye baat sabat hoti hai keh aisa sirf chand dinon ya hafton ke  liye hi hota hai. Ye medicated lotions, shampoo aur cream kisi surat juwon ka khatma nahin karte aur na hi un se mukamal tor par sar par hone wali kharish ka khatma hota hai. In medical cheezon ka zayada istemal sar ko nuqsan bhi pohancha sakta hai. Isi liye in medicines ko sirf is had tak istemal karna chahiye jis had tak doctors ki advice ho. Agar duwaon ka mustaqil use na kiya jaye tou ilaj faida mand nahin ho sakta lekin ye baat zehan nasheen rakhain keh medicines lice khatam karne ka permanent solution nahin hain is liye juwoon ka khatma mustaqil mazaji aur lambe marhala ka taqaza karta hai.

Sar Mein Juain Kyoun Parti Hain?

Juwain jinhain tibi istilah mein pediculosis kaha jata hai khoon choosne wale parasites hote hain aur sar mein balon ke andar nashunuma pate hain in ki wajah se sar mein shadeed kharish aur khujli mehsoos hoti hai. Wese tou juen har umar ke afrad mein paida ho sakti hain lekin bachon khasoosan 12 se 13 saal ke bache is ka zayada shikar hote hain aik andazay ke mutabiq har 10 mein se 1 bacha juwon se mutasir hota hai kyun ke school jane aik sath uthnay baithne, kheelne aur dusri sargarmiyon mein hisa laine ke doran ye juain bari asani se aik sar se dusre mein muntaqil ho jati hain is ke ilawa ye zati istemal ki ashya jese kanghi, brush, tolia, coat, hat, hair band aur head phone waghera share karne se bhi tezi se pheelti hain.

Juwain Kitne Din Tak Zinda Rehti Hain?

Juwain insani sar mein 30 dinon tak zinda rehti hain agar unhain sar mein se alag kar diya jaye tou ye mushkil se 2 din tak zinda reh sakti hain. Juon ka khatma agr waqt per na kiya jaye tou ye sar ko shadeed mutasir karti hain balon ki jaron ko kamzoor kar deti hain aur musalsal kharish se baal totnay lagte hain aur infection ka khatra bhi paida hota hai juon ko hairs se khatam karne ke ye totkay aur tips apnayain tou juien khatam ho jayein gi.

Juon Ka Khatma

Bachon ke sar se jowo ko khatam karne ke liye tulsi ke patte dho kar pees lain us paste ko balon ki jaron mein laga kar raat bhar kapre bandh kar chhor dain agle din subah kapra hata kar sookh jane wale paton ko sar se jhar lain aur kanghi kar lain thore se neem ke patte ubaal kar aik balti pani bana lain phir balon mein shampoo karain aur pani dalte jayain aur kanghi karte jayain jub shampoo balon se bilkul saaf ho jaye tou aik chothai chai ka chamcha zaitoon ka tail, 2 qatre lemon ke mila kar gelay balon ki jaron mein laga kar neem garam pani mein tolia bhigo kar nichor kar balon mein lapait dain khuch dair baad tolia hata kar balon ko khushk kar ke bandh lain aik do dafa ye amal karne se duwoon ka mukamal khatma ho jaye ga tulsi ke patton ki taseer ki wajah se juwain dobara paida nahin hotein.

Bachon ke sar se juain khatam karne ke liye un ke sar mein raat ko petroleum jelly balon ki jaron se lay kar siray tak lagayien aur plastic ki shower cap pehna dain subah balon mein shampoo kar lain is tareeqa se na sirf juain mar jayein gi balkeh un ke ande bhi khatam ho jayain ge. Petroleun jelly ko balon se nikalne ke liye 3 se 4 baar shampoo ki zaroorat ho gi.

Neem ki nabooli ke beej ke tail ko sar mein lagane se bhi lice aur leekhon ka khatma ho jata hai.
Agar aap ka bacha 2 saal ya us se bhi chota hai tou us ke sar mein kisi bhi qisam ka treatment herbal ho ya tibbi na karain balkeh us ke liye naram dandanon wali kanghi ko gheela akr ke us ke hairs mein karain.
logoblog

Thanks for reading Lice Treatment Urdu Juain Khatam Karne Ka Tarika Hindi Remove Lice In Hair Home Remedy

No comments:

Post a Comment