Ireland History In Urdu Ireland Information In Hindi - Mukamal Maloomat Ireland Ki Ireland Culture In Urdu
Geography
Ireland, behra oqyaanoos ke jazair, magrabi europe ka mulk hai jis mein ireish akwam basti hein. Geography tor par ye bartania ke magrib mein wakia hai aur puri dunya se alag thalag hone ke bais yahan ki kohistani zaban aur makami culture apni noiyat mein yakta hein is sarzamen ki ta mein qudrat ne bepanah khazane dafan kar rakhe hein. Europe ki makami kahaniyon mein ireland ko wohi makam hasil hai jo mashrik ke dastani literature mein koh kaf komasar hai ke ye ilaka dor daraz ka sehar zada aur mashor kun husun ka hamil samjha jata hai. Satarwen sadi ke agaz mein ye ilaka bartanwi taslat ke zairnagen hua. 1800se 1922 tak taj bartania ne ise barae rast apne zair intezam le lia. 6 december 1921 ko eng lo irish maide ke tahat yaha par aik makami hakumat tashkel di gai lekin bartanwi iktadar ke matahat. Tab ke bad ke bad se ye mulk dunya ki siyasat mein apne kirdar ka khud se taen karta hai Lekin henos shumali ireland ke baaz jazair bartanwi taslat se azadi ka khuwab dekh rahe hein.
Ireland Capital - Ireland Ki Rajdhani (Darulhakumat)
Ireland ka darul hakumat "dablain" hai ye abadi se bhara hua aur dolat se bharpur shahar hai. Mamlikat ki ek chothai se zaid abadi sirf aik khushal shahar mein basti hai. "cork" yahan ka dusra bara shahar aur janoob magrabi behra o qayanos ki bohat bari bandargah hai. Ireland, dehati tahzeb aur magrabi sakafat ka hasen sangam hai yahan ke dehati aur folk culture mein ilake ki qadeem tahzeb ke bohat kuch asar bhi kaim hein aur makami abadi apni in tahzebi riwayat se bohat pyar karti hai. Europe ka hisa hone ke bais ye aik sard ab o hawa ki sarzamen hai. Yaha ka darja hararat 4 se 7 degree centigrade tak hota hai. Jab ke june july jo ke garam mahene samjhe jate hen lekin is doran darja hararat 14 se 16 degree centigrade se barhne nai pata. May aur june mein 5 se 6 ghanto ke liye rozana suraj chamakta hai aur log is Se lutuf andoz hote hein paharon par sara sal burf rahti hai taham jangli hayat ke liye qudrat ne yahan ghas ke wasi maidan banae hein jin ki khatir barish bi kam o baish aik so inch salana ke hisab se barasti hai.
Ireland Ki Tareekh In Urdu Ireland History In Hindi
Hindustan ki tarah ireland bi kam o baish apni kul tarikh mein gair ilaqaiyon ke hi zair tasalat raha hai. Kalti nasal ke log, narosi nasal ke log jo magrabi scandinavian ke bashinde the. Aik andaze ke mutabik aaj bhi yahan ke makami log abadi ka 5 fesad se kam hisa hein aur zayada tar log europe ke degar ilakon aur asia o africa se akar abad hue hein. Taham 5% se bhi kam makami abadi ki bohat bari tarikhi kamyabi hai ke degar akwam ke azdaham ke bawajood inho ne phir bhi apni makami, zaban libas aur jumla riwayat ko zinda rakha hua hai. Ain ke mutabik yahan daftari zaban ke tor par iresh zaban ko awaliyat hasil hai. 1922 tak iresh zaban ro ba zawal mein wasi paimane par parhane ke bais goya Ireland ko iski makami shanakht mayasar ah gai hai. Aksiriyat masihi mazhab ki perokar hai. 5 sadi se kabal yahan kaltiyon ka mazhab tha inke jumla akaid agar cha wazia nai ho sake lekin us zamane ke aksar dewtaon aur buzurgon ke naam aj bi yahan ki makami riwayat mein zinda hein. Yahan 90% esai hein aur dus fesad degar mazhab taham qanoni tor par riyasat ka koi mazhab nahin.
Government In Ireland
Ireland mein parlimani jamhoriyat ka nizam kaim hai 18 sal ki umar ke logo ko vote ka haq mil jata hai. Yahan ke ain ka ailan 1937 mein hua aur is mein refrandam ke zariye tarmim kijasakti hai. Sadar yahan mamlikat ka aini sarbarah hota hai. Sadar parliman se manzur shuda qawanen par dastakhat karta hai aur wazir azam ke mashware par hakumat ko barkhuwast karne ka ikhtiar bi sadria ke pas hai. Parlimani tarz jamhoriyat ki tarah yaha bhi aewan bala aur aiwan zairen hein. 6 iraken parliman mulk ki talemi jamiat se muntakhib hokar ate Hein. Wazir azam hakumat ka sarbara hota hai aur iski mawnat ke liye kabina wazra iske hum rakab hote hein. Nichli satah par makami hakumaton ka nizam hai jahan muntakhib afrad makami intezamia ki madad se is nizam ko chalate hen aur police aur talem ke saige makami hakumaton ke liye sapurd hen yahan english common lae raij hai aur insaf ka nizam 4 kisam ki adalton par mushtamil hai. Zilai adaltain, circuit adaltain, high courts aur supreme court, judges ki takriri sadar ki taraf se ki jati hai aur zayada tar judges apni zindagi ke akhri tak apne faraiz saranjam dete hein ain ke mutabik supreme court mein aik chief justice aur 7 degar judges kam karte hein.
Road Infrastructure In Ireland
Ireland mein sarkon ka nizam bohat acha hai yahan ki shahrain bohat umda aur traffic ke liye behtren khidmat farahim karti hein hakumat ne guzista kuch arse se sarkon ke nizam par khasusi tawaja markoz kar rakhi hai. Nehron aur daryaon ko abi o wasail Rasal o rasail ke tor par istamal karne ka mansuba zair gor hai. Yahan 34 hawai ade hein jahan se mulk aur berun mulk ke liye parwazen urti hen. Ireland mein primary talem muft aur lazmi hai aur primary talem ka nisab zayda tar mazhabi tasawurat par mabni hai. Secondary talem zayada tar private idare hi farahim karte hein lekin riyasat in idaron ke sath bharpur mali tawun karti hai. Higher education Authority ireland ke name se 1972 mein aik idara kaim kia gaya jo awla talem ke intezam o insaram ka zimedar hai ireland in khush kismat mulkön mein se hai jahan sharah khawandegi 99% hai aur panda sal se bara har mard aurat likh parh sakta hai kyunke government GDP ka 4.7% talem par kharch karti hai. Yahan berozgari ki sharah 6.2% hai.
Population of Ireland In Urdu
July 2008 ke mutabik yahan ki abadi 40 lakh ke lag bhag hai jabke abadi mein izafa ki sharah 1.13 fesad hai. National meusem of ireland samet mutad sarkari o naim sarkari aur Neji idare aur tanzemain yahan ki sakafat ke izhar aur iske tahafuz ka bera uthae hue hen is kam ka agaz ireland mein bartani dor se hua jab englo iresh cultural idare ki bunyad rakhi gai thi. 17 march ireland mein qoumi din ke tor par manya jata hai. Saint patrek ko ireland mein sar parast ka darja hasil hai ye 4 sadi eswi ki bat hai jab saint patrek rom mein paida hue aur inhen agwa karke to gulam ki hasiyat se ireland mein laya gaya. Inho ne aik tawel jadojahad ke bad is sarzamen par masi talemi idare kaim kie aur yahan ki abadi ko talemat masiah A.S se roshnas karaya. Is tarah 432 mein takriban tamam ireland iman se roshnas hochuka tha. Ire land mein ye din pure mazhabi josh o khirosh se manaya jata hai.
Islam In Ireland (Religion / Mazhab)
Ireland mein Islam ki kadem tarikh ke bare mein to mukamal khamoshi hai kyunke ye mamlikat bunyadi tor par aik esai riyasat hai. Taham islam foundation of ireland ke name se wahan musalmano ki aik Mutharik tanzem kam kar rahi hai. Ireland mein rahne wale takriban sab musalman is tanzem ke rukan hein is tanzem ne 1976 mein ireland mein sab se pehli masjid tamer ki bohat jald ye masjid choti pargai. Ab mazi kareb men riyasat ke darulhakumat ke andar aik bara islami markaz tamer karlia gaya hai. Is tanzem ka markazi daftar dablen mein hai aur ye tanzem pure ireland mein masajid ki tamer mein tawun karti hai musalmano ki mazhabi talem aur inki degar muwashirati zaruriyat ki takmel bi isi society ne apne zime le rakhi hai. Is society ka aik dastoor bhi hai jo 21 shakon par mushtamil hai jis mein jumla qawaid o zawabit bayan kie gae hain. Society ke tahat bohat se taleemi idare aur degar rafai programe chal rahe hein.
No comments:
Post a Comment