House Shifting Tips In Urdu Saman Pack Karne Ka Tarika Hindi Luggage Packing Tips

  Lal Gulab      
New House Shifting Tips In Urdu Naye Ghar Mein Shift Hone Ka Tareeqa

House Shifting Tips In Hindi And Urdu Luggage Packing Tips

New House Mein Shift Hone Ke Liye Packing Kaise Karein: Aaj is article mein aap ko naye ghar mein jane ke liye saman pack karne ka tarika bataya jaye ga. Naya ghar mein shift hona asan nahin hota is ke liye ghar ke puray saman ko pack karna parta hai. Kon si cheez kis jagah rakhni hai ye sari batien yaad rakhni parti hain. Ghar mein mojood saman ko sameetna aur new house mein lay ja kar us ki setting karna aik mushkil kaam hai is ke liye bohat himmat ki zaroorat hoti hai. Aksar khawateen naye ghar mein shift karte waqt apne hath paon phula leti hain un k samajh mein nahin aata keh packing kis tarah karen aur saman ko kis tarah samaita jaye.

Har khatoon ki ye dili khawahish hoti hai keh us ka apna naya beautiful house ho ghar jo sajane sawarne ke khwab wo hamesha se dekhte hue aati hain lekin jub ghar ki tabdeeli ki baat aati hai tou wo foran uljhan ka shikar ho jati hain aise halaat mein khud ko preshan karne se koi faida nahin hota. Behtar yehi hota hai keh packing puray dhihan se ki jaye, naye ghar mein shifting ke waqt packing kis tarah asaan banai ja sakti hai is baray mein khuch hidayaat mandraja zail hain jin par Pakistan, india aur bangladesh ke log asani se amal kar sakte hain.

House Shifting Tips In Urdu For New House - Naye Ghar Mein Saman Shift Karne Ka Tarika In Hindi
 
Sub se pehle jis kamre ke saman ko pack kiya ja raha hai us ke mutaliq us shakhs ko pata hona chahiye jis ka kamra hai. Jese agar kisi bache ke kamre ka saman pack karna hai tou usay apne samne bitha lain.
Saman ko pack karne ke liye gattay se bane hue box aur baray bags ki zaroorat ho gi. Bache se puchti jayein keh sub se aham saman kon sa hai? is hisab se packing karain. Aik box mein sare khilonay daal dain. Dusre mein clothes, teesray mein books daal kar us par likhti jayien. Har box mein dalay gaye saman ke bare mein zaroor likhain keh us mein kya saman dala gaya hai takeh naye ghar mein shift karne ke baad kis box mein kya luggage hai us ka pata asani se lagaya ja sakay. Isi tarah har kamre ke saman ko boxes mein dalein. Bed room, tv lounge. kitchen, bathroom aur bachon ke kamre ka saman alag pack karain.

Crockery items jis box mein dalain us ke agey bechay akhbaraat ya faltu clothes daal dain takeh box idhar udhar karte waqt us mein mojood sheeshay ka saman na totay. Handicraft, crockery aur showpieces waghera ke box ke uper bare lafzon mein likh dain "Ahtyaat Se Rakhain" takeh helper ya shoharus box par likhi gayi tehreer ki wajah se us saman ko ahtyaat se naye ghar mein lay kar jayain. Har box par tape achi tarah lagayienh takeh woh khulain na aur ghar ki sari packing khud na karain. Shohar ya behan bhaiyon ko bhi packing karne ka kahain un ki nagrani zaroor karain aur dekhain keh kis box mein kya saman dala ja raha hai. Ghar ke har hisay ki packing alag alag logon se karwayain. Joint family mein rehne wali khawateen ko chahiye keh woh har hisay ko aik shakhs ko sonp dain aur usi hisay ko naye ghar mein ja kar usi shakhs de decorate karwayain jese agar bhai ne lounge ka saman pack kiya hai tou naye ghar mein ja kar bhai se hi lounge ka saman set karwayain kyoun keh un ko achi tarah pata ho ga keh unhon ne kon sa saman kis box mein rakha hai aur kis saman ko lounge ke kis hise mein rakhna hai. Helpers aur ghar ke mardon ko ye yaad karwayain keh furniture ko kis tarah lay jana hai furniture ko ghaseetnay ki wajah se nishan par sakte hain. Unhain nazuk items ke boxes ke bare mein samjha dain keh un mein sheeshe ka saman hai lihaza bataye jane wale boxes ko dhihan se rakhna hai un ko phenkna hargiz nahin hai.

Packing puri karne ke baad hi naye ghar mein shift hon aisa na ho keh har ghar ka adha saman shift kar diya aur khud naye ghar mein chale gaye is tarah saman set karne mein mushkilat paish ayain gi. Sman na mukamal hone ki wajah se naya ghar set nahin ho sake ga agar new house mein kitchen cabinet abhi tak nahin lag saki hain deewaron mein almariyan banani baqi hain tou is kaam ko asan na samjhain aur ye samajh kar jald bazi mein shifting na karain keh ye kaam tou wahan shift hone ke baad bhi hota rahe ga ye keh dena zaroor asan hai lekin is ki wajah se bohat mushkilat paish asakti hain lihaza shift karne se pehle naye ghar ke kaam ko mukamal hone dain jub ghar puri tarah tayar ho jaye tab shift karain.

Jub sara saman us ghar mein pohanch jaye tou sare boxes ko aik sath na kholain is tarah sub chezain aik dusre mein mil jayain gi. Saman ko aik aik kar ke kholne aur set karne se pura ghar ujara hua dikhai nahin de ga. Saleeqa mandi ka taqaza yehi hai keh mutalqa hisay ka box khool kar us ka saman nikal lain aur us saman ko us ki jagah par set kar dain. Zaroori nahin keh aik hi din mein sara saman set kar dain. Waqt aur tabiyat ko paish nazar rakh kar packing kholain. Is doran thakawat ho gi lihaza zaroorat se zayada kaam na karain. Living room ko sub se pehle set krain phir ahista ahista sub places ki setting karti rahain. Drawing room, lounge, living room aur kitchen woh jaghein hain jahan ki setting ghar walon aur doston ki madad se ki ja sakti hai taham apne bed room ki setting khud karain ya phir apne shohar ki madad lain kyoun keh woh kamra aap ka zati hai lihaza us kamre ki setting bhi aap apne hisab se asani se kar sakti hain. Furniture khud set na karain balkeh usay mardon se set karwayain. Sheeshay ke bartan khud set karain aur box ko khool kar saman nikalain aur phir us box ko teh karti jayain takeh khali boxes se ghar bikhra hua na lage is sub baton par amal kar ke ghar ke saman ki packing aur setting asani se ki ja sakti hai.
logoblog

Thanks for reading House Shifting Tips In Urdu Saman Pack Karne Ka Tarika Hindi Luggage Packing Tips

No comments:

Post a Comment