Diabetes In Pregnancy Urdu Gestational Diabetes Information Hindi Pregnancy Diabetes Symptoms

  Lal Gulab      
Information About Diabetes In Pregnancy In Hindi

Symptoms Gestational Diabetes Urdu - Hamal Mein Diabetes Ki Wajah


Diabetes In Pregnancy In Urdu: Agar kisi aisi aurat ko during pregnancy diabetes ho jaye jisay hamal se pehle diabetes nahin thi tou usay hamal ki ziabetes kaha jata hai. Hamal ki ziabetes aam tor per hamam ke 7 month ke qareeb zahir hoti hai.

Yahan ye baat yaad rakhne ki zaroorat hai keh jis aurat ko hamal se pehle hi diabetes ki tashkhees ho chuki ho us ke mazreez ko hamal ki diabetes nahin kaha jaye ga in donon suraton mein kuch bunyadi farq hote hain.

Hamal ki diabetes mein khoon ki sugar us waqt barhna shuru hoti hai jub bache ke kam o baish tamam aza pehle hi ban chuke hote hain is liye un bachon mein paidaeshi naqais paida hone ka koi khatra nahin hota jesa keh pehle se diabetes ki mareeza ke hamla hone ki surat mein hota hai lekin agar ahtyat na barti jaye tou bache ko nuqsan pohanchne ka khatra rehta hai.

Pregnancy Mein Diabetes Kaise Hoti Hai?
 
Is ke bare mein ab tak jo tehqeeq samne ayi hai us ke mutabiq hum jante hain keh bacha paidaesh se pehle aanwal ke zariye maa ke rehem se jura hota hai ye aanwal khuch aise harmones paida karti hai jo keh maa ke khoon mein shamil ho kar us ki insulin ko bay asar kar dete hain agar maa ka jism is bay asri par qabu pane mein nakam ho jaye tou us ke khoon mein sugar ki maqdar barh jati hai jisay se pregnancy mein diabetes hoti hai.


Pregnancy Ke Doraan Sugar Hone Se Bache Ho Kya Nuqsan Pohanch Sakta Hai?


Maa ke khoon mein jub sugar barhti hai tou aanwal ke zariye bache ke khoon mein shamil ho kar usay khoon ki sugar bhi barha deti hai. Is faltu sugar ko istemal mein lane ke liye bache ka jism zayada insulin paida karne lagta hai. Maa ki taraf se anay wali izafi sugar is insulin ke asar se bache ke jism mein charbi ki surat mein jama hone lagti aur bache ka size normal se bara ho jata hai ye bazahir bara bacha kayi tarah ki mushkilat ka shikar ho sakta hai.


Bari jisamat ki wajah se us bache ki paidaesh mein mushkil paish ati hai jis mein maa aur bache donon ke liye nuqsan ka khatra rehta hai nez bare operation ki zaroorat bhi paish asakti hai.


Pedaish ke foran baad bache ke khoon mein sugar intihai kam ho sakti hai.


Un bachon ke phephron ke amal mein khuch kharabi ho sakti hai jis ki wajah se saans ki takleef ka khatra rehta hai jo keh kabhi kabhar khatarnak surat bhi ikhtyar kar sakta hai.
Un bachon mein paidaesh ke foran baad yarqaan ka zayada imkan hota hai.


Hamal Ki Ziabetes Hone Par Maa Ke Liye Khatrat - Pregnancy Diabetes Side Effects On Mother

 
Hamal ki ziabetes hone par maa ke liye sub se zayada khayal rakhne ki baat ye hai keh khuch arsa baad unhain mustaqil tor per diabetes type 2 hone ka khatra 66% ke qareeb hai un khawateen ko apna wazan qabu mein rakhna chahiye aur baqaidgi se apne khoon ki sugar check karwate rehna chahiye.


Pregnancy Mein Diabetes Ka Khatra Kin Auraton Ke Liye Zayada Hai?

  • Ye khatra sub auraton ke liye barabar nahin hota mandraja zail suraton mein is ka khatra barh jata hai
  • Agar hamla ki umar 30 saal ya is se zayada hai 
  • Agar hamla ka wazan zayada hai 
  • Agar pregnant women ke khoon ke rishton mein ziabetes ke mareez mojood hain 
  • Agar hamla ko pehle kisi hamal ke doran bhi hamal ki diabetes ho chuki hai 
  • Khuch makhsoos naslon se taluq rakhne wali auraton mein is marz ka imkan zayada hota hai jis mein aisan naslain bhi shamil hain.
Diabetes In Pregnancy Treatment In Urdu Hindi Diabetes Pregnancy Ka ilaj
 
Maa aur bacha donon ki behtari ke liye zaroori hai keh is ke ilaj mein kisi qisam ki koi kotahi na hone paye is ilaj mein ye koshish ki jani chahiye keh kaam ke khoon mein sugar ki maqdar taqreeban utni hi rahe jitni diabetes ke baghair kisi aam hamla aurat ki hoti hai.


Is maqsad ke liye diet mein tabdeeliyon aur exercise ka aik khasoosi laiha amal tay karna zaroori hota hai agar zaroorat paray tou insulin ke tikay lagwane mein bhi zara hichkichana nahin chahiye.


Khuch arsa pehle tak pregnancy ke doran diabetes ke liye insulin ke ilawa aur koi medicine tajweez nahin ki jati thi lekin ab kayi suraton mein khane ki dawaien bhi istemal ki ja sakti hain.


Diabetes Ke Sath Zachgi


Koi aurat jisay pehle hi se diabetes hai woh agar bacha paida karna chahe tou us mein koi burai nahin hai lekin usay hamal hone se kam az kam 6 month pehle se apne doctor ke mashware se is ke bare mein mansooba bandi karna chahiye.
logoblog

Thanks for reading Diabetes In Pregnancy Urdu Gestational Diabetes Information Hindi Pregnancy Diabetes Symptoms

No comments:

Post a Comment