Arq un Nisa Treatment In Urdu Arq un Nisa Meaning
Arq Un Nisa Ka ilaj In Urdu: Door jadeed mein arq un nisa ka dard aam ho chuka hai is dard mein zayada tar khawateen mubtala hoti hain isi liye isay arq un nisa kaha jata hai isi naam ki wajah se logon mein ye ghalat fehmi pheel gayi keh mard is takleef mein mubtala nahin hote aisa nahin hai, mard bhi is dard ka shikar hote hain magar khawateen ki nisbat un ki tadad kam hai. Ye dard pelvis se shuru ho kar tang ke pichlay hisay se hota hua takhne tak jata hai.
Ye aik asbi dard hai kyoun keh ye perru yani pelvis se shuru hone wali aik nerve sciatic mein janam laita hai. Ye insani jism mein payi jane wali sub se lambi asab hai ye rerh ki hadi se nikal kar pair ki ayri tak jati hai.
Dard amooman aik tang mein hota hai aur is ki shidat kam ya zayada hoti rehti hai takleef mein mubtala mareez musalsal bay cheeni ka shikar rehta hai baaz auqat mutasira tang bhari ho jati hai aur mareez ke liye us par bojh dalna mushkil ho jata hai mutasira tang mein kamzoori mehsoos hoti hai aksar tang sunn ho jati hai baithne aur kharay rehne se bhi dard ki shidat barhti hai.
Arq un Nisa Ki Dard Ka Khatra Amooman Darmiyani Umar Mein Zayada Hota Hai
Kamar ko shadeed jhatka lagne, rerh ki hadi ke mohre hil jane, mohron ke darmiyan khala kam ya zayada hone, kolhay ke pathon ki sozish, qabz bohat zayada bojh uthane, asani tanao, musalsal aik hi karwat laite rehne, kisi hadsay ke baes, gharz wo tamam awamil jo arq un nisa asab par bojh dalain aur tanao ka baes banain arq un nisa ki dard ki wajah ban sakte hain. Nez unchi ayri pehannay wali womans, naram gadon par sone wale aur farba log bhi is dard ka shikar asani se ho jate hain kyoun keh un ki arq un nisa asab par musalsal dabao parta rehta hai.
Arq un Nisa Pain In Urdu Alamat Arq un Nisa Symptoms
Arq un Nisa ki bimari (disease) ki wajah se mareez amooman tang ghaseet kar chalta hai mutasira tang mein aksar bal bhi oar jata hai aur nasain akar jati hain. Mareez kursi par tang latka kar baitha ho aur ghutnay ko dabaya jaye tou usay naqabil bardasht dard mehsoos hota hai.
Arq un Nisa ke dard mein jis qadar medicine ki zaroorat hoti hai utna hi parhez aur ahtyaat bhi darkar hai. Dawa, parhez aur ahtyat se amooman 6 hafton mein mareez sehat yaab ho jata hai. Sub se pehle tou mareez ko apne uthnay, baithnay aur chalne aur sone ke tareeqay badalne chahiyain misal ke tor par woh baithne aur sone ke doran apni position badalta rahe. Zayada dair khare hone aur zayada dair baithne se gureez kare.
Arq un Nisa se chutkara pane mein ghaza ka kardar bohat aham hai mareez aisi ghaza khaye jo ghazaiyat se bharpur ho aur khasoosan usay qabz se bachaye is bimari ke baes Arq un Nisa asab par mazeed dabao parta hai.Calcium aur vitamin se bharpur ghaza aisab aur pathon ko taqweeyat bakhshti aur dard se bachati hai. Potassium bhi pathon mein lachak paida karne mein muawan banta hai chunancheh dahi, dalia, maghziyat, phal aur taza sabziyan apni ghaza mein shamil rakhe gajar aur chuqandar ka ras nosh kijiye ye ark un nisa se nijat dilane mein madad kare ga. Pani khoob piyain is marz mein ghalat warzish dard barha deti hai lihaza ahtyat bohat zaroori hai magar khuch exercises tamam mareezon ke liye mufeed sabat hoti hain un ki tafseel mandraja zail hai.
Exercises For Arq un Nisa
Kamar ke bal lait jaiye aur apni left leg seenay tak mor kar laiye is tarah keh ghutna aap ke seenay ko chu lay. Ab 10 tak ginti giniye dusri tang ke sath ye amal dohraiye ye warzish donon tangon ke sath taqreeban 5 baar dohraiye phir donon tangain ikathi seenay tak lay jaiye.
Massage ya malish bhi arq un nisa ka ilaj hai agar physiotherapist ya kisi mahir se karaya jaye tou chand din mein dard jata rehta hai. Zaitoon ke tail ki malish behtar hai aik mufeed nuskha ye hai keh sarson ke tail mein chand lehsun ke juye jala lijiye phir is tail se malish kijiye mazeed ye keh rozana nahar munh lehsun ke 2 jue garam doodh ke sath khaiye.
Wazan uthane, mushaqat wala kaam karne aur nam alood aur thandi jaghon par baithne se parhez kijiye sub se barh kar zehni dabao aur preshani se khud ko bachaiye tou aap jald is dard se nijat hasil kar lain gey.
No comments:
Post a Comment