Zamurd Stone Urdu Benefits Emerald Stone Ke Faide Hindi Panna Stone Emerald Information

  Lal Gulab      

Information About Emerald Stone Benefits In Urdu Zamurd Stone Ke Faide Emerald In Hindi

Zamurd ko hindi mein panna stone kehte hain aur english mein Emerald stone kehte hain is ki chamak bohat khubsurat hai. Is article ko parhne se pehle aap ko is ki tareekh bhi parhni chahiye takay aap ko pata chalay ke is pathar ko kis kis ne pehna aur us ka effects kya hua is ke ilawa aap is article se ye bhi jaan sakain ge ke asli zamurd pathar kon sa hota hai ye raha woh article Zamurd Ki Tarikh.

Zamurd Ke Khawas - Benefits Zamurd Stone K Fawaid: Jese keh aap jante hain isay emerlad stone ke naam se bhi dunya mein jana jata hai is ke bohat se fawaid hain jo insan zamurd ring ko pehne us ka meda ko istaqlal deta hai rohani taqwiyat bakhshta hai. Kaha jata hai keh isay pehenne wale ka dushman par bara roob parta hai ye bhi kaha jata hai keh isay pehennay wale ke khane mein zehar mila diya jaye tou usay foran pata chal jaye ga kyoun keh ye pathar khane se chu jaye tou is par nami ke qatray namudar ho jate hain. Puranay waqton mein asmat ka nishan samjha jata tha logon ka khayal tha keh agar is ko pehenne wala pak damani ko hath se jane deta hai tou zamurd hawa mein tehleel ho jata hai is ke ilawa agar zamurd hewellery se nikal kar gir jaye tou usay bhi bura shagoon khayal kiya jata hai. George soom ke sar par taj rakha gaya tou Taj se aik bara zamurd zameen par gir gaya logon ka kehna hai keh isi wajah se us ke hathon se America jata raha taham is baat ko jadeed dor ke mahireen tasleem nahin karte.

Ye haqeeqat hai keh is pathar ko pehenne se gham ki kefiyat door hoti hai is ka rang dekhne se basarat mein izafa hota hai, mazaj mein khushi mohabbat aur wafa paida hoti hai sakhawat aur milan sari paida hoti hai.
Emerald ring khooni ishal ke mareezon ke liye faide mand hai sar par bandhne se dard rafa hota hai. Qadeem hukma ka kehna hai keh jis ke paas zamurd ho woh taoon se mehfooz rehta hai. Purane waqt mein zamurd ke bare mein ye aam khayal tha keh agar koi shakhs ehd shikni kare tou ye pathar us ke hath mein apna rang tabdeel kar liya karta tha.

Medical Benefits of Zamurd Stone In Urdu

Emerald ke tibi khawas mein ye hai keh ye nabz ki harkat ko tez karta hai dimagh ke liye mufeed  hai, jaazaam meinis ka use faida deta hai, zehrilay amraz mein ye taryaqq ki hesiyat rakhta hai, jism se fasad madaya bahir nikalta hai. Agar kisi mareez ko jo zehar khaye jane ya kisi zehrilay keeray se dasay jane ki wajah se sakht takleef mein mubtala ho tou us ke jism mein zehar sarayat kar jane se pehle is ko kashta bana akr bah maqdar 8 dana gandum diya jaye zehar ka asar door ho jaye ga, is ka kashtah nasoor par malne se jild shafaaf hoti hai. Aflatoon ka kehna hai keh zamoor ka kashtah jigar ke dard aur ankh ka jala khatam karta hai, sugar ke mareezon mein zamurd ka kashta faida mand sabat hua hai lekin is ke istemal mein kisi qabil hakeem se mashwara zaroor laina chahiye kyoun keh is ka kashtah zehar ki taseer bhi rakhta hai.
Zamurd ka kashtah peshab awar hai khansi aur dama ke marz mein faida mand hai, masane ki pathri ko door karta hai pathon ko taqat deta hai.

Jo emerlad pathar  jin ki rangat sunehri ho baaz mahireen ke mutabiq is type ke pathar jis jagah par hon wahan par makhiyan nahin aa saktien.

Ye aik haqeeqat hai keh jawahrat aik qisam ke Receiver hain jo keh suraj se aanay wali bay shumar rays apne andar jazab karne ki salahiyat rakhte hain. Ab agar kisi ke paas koi nagina hai tou woh qudrati tor par apni mawafqat wali rays ko jazab kare ga aur usay us ke jism mein Transmit kare ga. Ab agar ye nageena ungli mein hai tou badni ilm se agah log jante hain keh ungli ki jar mein khoon ki vain hoti hai jahan se ye rays insani dil tak aur wahan se pure jism mein pheel jati hain.

Ye rays aap ke Catabolism ya Anabolism ke amal ko tez kar deti hain. Agar stone aap ke badan se mawafqat rakhta hai tou ye Anabolism ke amal ko tez karne ke sath sath aap ke cell ko Extra Power dena shusu kar deti hain jis se aap ki sehat (health) behtar hona shuru ho jati hai, hadiyon ka guda zayada sehat mand ho jata hai aur brain ke khuliye zayada fa'aal ho jate hain. Ab jub aap ki jismani sehat zayada behtar ho gi zehan nikhra hua ho ga aur aap ki quwat faisla barhne gi aur aap behtar results hasil kar sakain ge jo log ye yaqeen rakhte hain keh pathar taqdeer par asar andaz ho sake hain tou woh ghalban is ke aise he asrat se mutasair ho kar kehte hain.
logoblog

Thanks for reading Zamurd Stone Urdu Benefits Emerald Stone Ke Faide Hindi Panna Stone Emerald Information

No comments:

Post a Comment