Tota Aur Maina Ki Kahani In Hindi Parrot And Myna Story Urdu
Tota Aur Meena Story In Urdu: Ye kahani bachpan mein kayi dafa meri waldah ne sunai hai keh kisi gaon mein aik ghareeb khandan rehta tha khanay ko khuch bhi nahin tha kayi kayi din faqon mein guzar jate thay. Aik din us shakhs ne apne biwi bachon ko liya aur kisi weraan jangle mein chal diya wahan pohanch kar aik bare darakht ke nechay dera daal liya.
Us shakhs ne wahan pohancha kar apne bachon ko mukhtalif kaam banane shuru kar diye. Bachon ne nihayat josh o kharosh se bhag bhag kar itaat ki. Kisi ko safai ka kaha tou kisi ko lakdiyan jama karne ka kisi ko pani lane ka kaha tou kisi ki chulha banane ka. Gharz har koi lagan se apne kaam mein lag gaya. Donon miyan biwi darakht ke nechay baithay bachon ko kaam karta dekh kar khush ho rahe thay.
Usi darakht ke uper aik tota aur maina bhi rehte thay unhon ne us admi se pucha keh tumhare paas pakane ko khuch nahin lekin tayari bare zoor se kar rahe ho batao tou sahi keh pakao ge kya? us admi ne un ko jawab diya keh tum donon ko zibah kar ke pakaon ga. Is par tota aur myna dar gaye unhon ne us admi ko bataya keh us darakht ke nechay aik khazana dafan hai khudai kar ke woh nikaal lo lekin hamain zibah na karo. Us admi ne khudai shuru karwa di jald hi unhain khazana mil gaya wo bohat khush hue. Allah ka shukar ada kiya is ke baad toota aur maina ka bhi shukriya ada kiya aur khushi khushi ghar ko chal diye. Logon ne khush hali ka raaz pucha tou unhon ne sara waqia suna diya.
Us gaon mein aik aur ghareeb khandan bhi rehta tha us ne ye sara waqia suna tou wih bhi ghurbat se nijaat ke liye yehi tarkeeb azmanay nikal khara hua. Usi darakht ke nechay ja kar dera lagaya un miyan biwi ne bhi apne bachon ko safai, lakdiyan jama karne waghera ka hukam kiya jis ko bachon ne kamal dhitai se taal diya aur suni an suni kar di. Waldain jis kaam ka kehte bache taal matool se kaam laitay tota aur maina ne un se bhi pucha keh tum log yahan kyoun aye ho? unhon ne kaha keh hum tumhain zibah kar ke khane aye hain. Tota aur meena hasne lage aur un se kaha keh khane wale chale gaye hain ab ye tumhare bas ki baat nahin hai. Tumhare andaz se yehi lag raha hai keh tum aur tumhare bache kaam kiye baghair phal hasil karna chahte hain jo keh mumkin nahin hai. Akhir kar us khandan ko mayoosi ke alam mein khali hath lautna parra.
Moral: Ye kahani tou farzi hai lekin is mein milne wala sabaq haqeeqi hai. Jo log kisi bhi maqsad ke hasool ke liye munazam andaz mein koshish karte hain woh kamyab hote hain.
Hindi Tota Aur Meena Cartoon In Urdu
No comments:
Post a Comment