Malala Yousafzai History Urdu Information Malala Yousafzai Essay Speech Hindi Life Story

  Lal Gulab      
Malala Yousafzai Urdu Information Hindi Malala Yousafzai Essay Urdu Maloomat
 
Tarikh Malala Yousafzai History In Urdu - Malala Yousafzai kon hai? (paidaesh (born) 12 january 1997) Pakistan mein paida hone wali khawateen ki taleem ki sargaram rukan hai aur isay kisi bhi shobay mein Nobel Inaam wasool karne wale sub se kam sin fard hone ka aizaz hasil hai. Is ki wajah se shohrat apne abai alaqay Swat se KPK mein insani haqooq, taleem aur haqooq-e-niswan ke haq mein kaam karna hai jub muqami talba'an ke larkiyon ko school janay se rok diya tha. Ab Malala ki tehreek international darja ikhtyar kar chuki hai.
Alaqay mein schools ka aik silsila Malala ke khandan ki malkiyat hai 2009 ki ibtida mein 11 ya 12 saal ki Malala ne "Gul Makai" ke baan se BBC ke liye aik blog likha jis mein us ne talban ki taraf se wadi par qabzaay ke khilaf likha tha aur apni raye di thi keh alaqay mein larkiyon ki tameel par tawaja di jani chahiye. Agli garmiyon mein jub Pakistani fauj ne Swat ki dusri jang mein us alaqay se talban ka khatma kiya tou New York Times ke sahafi Adam ne Malala ki zindagi par documentary banai. Malala Yousafzai mashoor ho gayi aur us ke interview newspaper aur tv ki zeenat bannay lage. 9 october 2012 ko Malala school jane ke liye bus par sawar  hoi aik musala shakhs ne bus rok kar us ka naam pucha aur us par 3 goliyan chalayien aik goli us ke mathay ke bayain janib lagi aur khopri ki hadi ke sath sath khal ke nechay se harkat karti hoi us ke kandhe mein ja ghusi. Is ke baad kayi roz tak malala behosh rahi aur us ki halat nazuk thi taham jub us ki halat khuch behtar hoi tou usay Birmingham ke Queen Elizabeth hospital bhej diya gaya takeh us ki sehat bahal ho. 12 october ko 50 Pakistani mazhabi ulma ne Malala Yousafzai ke qatal ki koshish ke khilaf fatwa diya. Tham kayi Pakistani abhi tak ye samajhte hain keh ye hamla CIA ne karaya tha aur is bare sazishi nazriyat paye jate hain. Us hamley ki wajah se qaumi aur international tor par malala ki hamayat mein achanak izafa hua is ke natijay mein Pakistan mein pehli baar taleem ke haq ka bill manzoor hua

Malala Yousafzai Life History In Urdu Biography Malala Yousafzai Ki Zindagi Ki Kahani

Bachpan
Malala 12 july ko Pakistan ke shumal maghribi subay KPK ke zila Swat mein paida hoi. Malala ka taluq Sunni Muslim khandan se hai jo pashtun nasal se taluq rakhte hain. Is ka naam Malala rakha gaya jo malaal se nikla hai. Malala apne shehar Mingora mein apne 2 chote bhaiyon, waldain aur 2 paltu murghiyon ke sath rehti thi. Swat mashoor sayahti alaqa hai aur aik baar malka elizabeth doem ne yahan ki sair ki thi aur usay mashriq ka switzerland qarar diya tha.

Malala ko pashtu, english aur urdu par aboor hasil hai aur us ne zayada tar taleem apne walid se payi hai. Malala ne aik baar doctor banne ki khawahish zahir ki thi taham phir apne walid ki rehnumai mein sayasatdan banne ko tarjih di. Malala ke walid ne apni beti ko khasoosi tawajah di aur jub degar bache so jate thay tou Malala ko raat gaye tak jagne ki ijazat hoti thi aur woh log siasat par baat karte thay. Malala ne 2008 se taleemi huqooq ke bare mein baat karna shuru ki thi jub us ke walid usay pehli baar Peshawar Club se khitab karne lay gaye thay. Malala ne apni taqreer mein ye baat kahi keh "Talban ki jurat kese hoi keh woh mere taleem ke haq ki rah mein rukawat banain."

Batoor BBC Blogger
2008 ke awakhar mein BBC Urdu ke Amir Ahmad Khan ne wadi swat mein talban ke barhte hue asrat ke bare mein kaam karne ka socha. Unhon ne socha keh kyoun na wadi swat se koi ladki apni shanakht chupa kar waqiat ke bare likhna shuru kar de. Peshawar mein un ka numainda muqami school teacher se rabtay mein tha taham bachiyon ke waldain ne hamesha ye keh kar inkar kar diya keh us se un ke khadan ko sakht khatrat lahaq ho jate. Akhir Zia Uddin ne apni 11 sala beti ka naam paish kiya us waqt tak talban wadi swat par qabza kar shuke thay aur television, music aur larkiyon ke schools zabardasti band karaye ja rahe thay aur khawateen ko khareedari ke liye nikalne se roka ja raha tha. Police ahalkaron ki lashain chokon par latki milti thien. Pehle pehal aik ladki ayesha ne diary likhne ki hami bhari lekin phir us ke waldain ne talban se lahaq khatrat ki wajah se usay rok diya. Is tarah us se 4 saal choti aur 7th class ki bachi Malala ne us kaam ka zima liya. BBC ke editors ne usay foran manzoor kar liya.

Malala Day In Urdu
12 july 2013 ko Malala ki 16th birthday thi jub Malala ne aqwam e mutehda se almi khwandgi ke bare mein khitab kiya. Aqwam e mutehda ne is waqia ko Malala Day yani youn e malala qarar diya hamle ke baad ye malala ki pehle taqreer thi.

Nobel Prize Aman Ke Liye
10 october 2014 ko Malala ko bachon aur nojawanon ke haq taleem ke liye jad o jehd par nobel inam baraye aman diya gaya 17 saal ki umar mein ye aizaz pane wali dunya ki sub se kam umar fard hai is aizaz mein un ke shareed india se kailash sathyathi hain jo bachon ki taleem ke bare bare hami hain.

Pakistan Mein Rad e Amal
Malala ke azaz ke bare Pakistan mein qadre mukhtalif rad e amal samne aya misal ke tor par dawn ki column nigar Huma Yousuf ne Malala par 3 aitrazat uthaye keh pehle tou ye keh Malala Pakistan ke sub se manfi pehlu yani askariat pasandi ko samne layi hai dusra ye keh malala ki taleem ki maham maghrib ka agenda hai teesra ye keh is se masoom shehri pas parda chale jate hain.

Tasneef
Aik kitab bhi malala ke naam se english mein publish hoi jis book ka name "I Am Malala" rakha gaya.
logoblog

Thanks for reading Malala Yousafzai History Urdu Information Malala Yousafzai Essay Speech Hindi Life Story

No comments:

Post a Comment