Maharaja Ranjit Singh History In Urdu Information Maharaja Ranjit Singh Hindi Ranjeet

  Lal Gulab      
Maharaja Ranjit Singh History In Urdu Ranjit Singh Hindi History
Paidaes (Born) 1780
Inteqal (Death) 1839
Maharaja Ranjit Singh punjab mein sikh saltanat ka bani tha Gunjranwala ke muqam par 1780 mein paida hua. Bachpan hi mein us ki left eye chichak se zaya ho gayi thi.

Khandani Pas e Manzar (Family Background) - Information
Woh Sardar Mahan Singh ka beta tha 12 saal ka tha keh us ka baap mar gaya aur woh masal ka sardar ban gaya. 16 saal ki umar mein us ki shadi khania masal mein hoi aur is wajah se Ranjit Singh ki taqat aur bhi mazboot ho gayi. Us ki saas aik qabal aurat thi us ne Ranjit Singh ki kamyabiyon mein bari madad ki.

Sayasi Halaat
Pubjab mein darani qabila ki hukumat thi magar sikhon ki baghawat ki wajah se darani hukamranon ke asar se bahir tha. Shah Zaman ke punjab par hamla kiya magar sikh baghi usay dekh kar apni panah gahon mein ja chupay. Shah Zaman ne unhain dhondhnay ki kafi koshish ki magar nakaam raha kyoun keh woh jangalon, paharon aur apne mazboot qilon mrin chup chuke thay. Shah Zaman ko kabul wapas jana para kyoun keh us ki adam mojoodgi ke baes darul hukumat mein baghawat ke asar numayan ho chuke thay. Us ne Lahore aur Punjab ko us ke haal par chhor diya.
Lahore shehar sikh luteron ke qabza mein tha jin ki loot maar se awam (Muslim, hindu, sikh) sabhi tang aur preshan thay. Lahore ke rehne walon ko ranjeet singh ki shakal mein aik aur waseela nazar aya chunanchay muazazeen lahore ne ranjit singh ko khat likhay keh lahore aa kar hukumat sambhalay ye hukam usay shah zaman wali kabul bhi de chuka tha.

Takht Nasheeni
Ranjeet Singh ne 19 saal ki umar mein 1799 mein Lahore par qabza kar ke usay apni rajdhani banaya. Lahore par qabza ke baad us ne lahore ki awam se behtareen salook kiya aur apni fooj ko loot maar karne se mana kiya jis se woh lahoriyon mein maqbool ho gaya.

Fatuhat - Victories
3 saal baad 1802 mein amritsar fatah kiya wahan se bhangiyon ki mashoor toor aur kayi aur toopain hath ayien. Chand salon mein us ne tamam wasti punjab par darya e satluj ko paar kar ke ludhyana par bhi qabza kar liya. Lord Minto, Ranjit Singh ki is paish qadmi ko angreezon ke mufaad ke khilaaf samajhta tha. Chunancheh 1809 mein ehd nama amritsar ki ro se river satluj ranjit singh ki saltanat ki janoobi had qarar paya. Ab us ka rukh shumal maghrib ki taraf hua aur lagatar laraiyon ke baad us ne Attock, Kashmir aur Peshawar jese alaqay fatah kar ke apni saltanat mein shamil kar liye.
logoblog

Thanks for reading Maharaja Ranjit Singh History In Urdu Information Maharaja Ranjit Singh Hindi Ranjeet

No comments:

Post a Comment