Lemongrass Benefits In Urdu Faide Lemongrass Ke Fayde In Hindi
Lemongrass In Urdu: Aik jharidar poda jise hum lemon grass ke naam se jante hain ye bohat hi khubsurat aur dilkash maloom hota hai. Mazay ki baat ye keh is ke paton ke aam tor par aksar chai ke qehwa (kahwa) ke tor par istemal karte hain jis ko aik zaiqay dar mashroob bhi kaha ja sakta hai aur is lemongrass plant ke yehi leaves medicine ke tor par bhi use kiye ja sakte hain jis wajah se lemongrass ke fayde itne hain keh in se bimariyon ko bhi khatam kiya ja sakta hai.
Beauty Tips Lemongrass Uses In Hindi: Ye khubsurat poda aap aur ham asani se ghar ke bagheechay mein ya kisi gamlay mein laga sakte hain aur taste ke sath sath kafi benefits bhi hasil kar sakte hain. Medical point se lemon grass ka sub se bara faida sartan (cancer) jese marz mein bhi mufeed hai is ke ilawa khuch dusre marz jese pait mein gas ka banna, anton mein gas ko bharne se rokne mein muawan hai. High blood pressure ko kam karne ke liye lemongrass ka juice istemal kiya jata hai is juice ko chehre (face) ki dilkashi ke liye aur keel mahason ko khatam karne ke liye bhi use kiya ja sakta hai is lihaz se lemon grass beauty tips ke mamle mein bhi aham hai. Is grass ke istemal se jism mein zayada charbi kam karne mein bhi madad milti hai garmi ko kam karne ke liye bhi is ka juice istemal kiya jata hai is ke ilawa lemongrass oil bhi banaya ja sakta hai jis se beshumar fawaid hasil hote hain ye tail joron aur pathon ke dard ke liye acha samjha jata hai.
Lemongrass Tea Benefits For Weight Loss In Urdu
Bohat se log motapa khatam karne ke liye kafi totke, upay aur bohat si tips aur exercises ke ilawa dieting bhi karte hain par aksar ye nahin jante keh weight loss karne ke liye lemon grass ka juice intihai mufeed hai is maqsad ke liye is ka soup bhi bahtareen hai nechay main aap ko batane ja raha hon ke kis tarah aap lemongrass ki chaye aur soup banayien.
Lemongrass Totke In Urdu - How To Use Lemongrass Leaves In Cooking
Lemongrass aik khushbudar plant hai agar is plant ko ghar ke kitchen mein rakh diya jaye tou macharon se bhi chutkara hasil ho sakta hai. Lemongrass ke patte aik khushbudar jari buti ka darja rakhte hain jise aam tor par masalhay ke tor par bhi istemal karte hain is ke paton mein mehak hoti hai is ke paton ko ubalte hue pani mein daal kar us mein chand choti elaichi daal kar khoob pakayain tou behtareen qahwa tayar hai is ko pi kar aap ki tabiyat bahal ho jaye gi aur thakawat door ho jaye gi aur agar is mein cheeni ki bajaye shahad mila kar pi lain tou flu aur bukhar khatam ho jata hai khansi kam ho jati hai lemon grass ka soup bhi banaya ja sakta hai is ko banane ke liye yakhni bana akr us ke chand patte daal kar mazeed paka lain phir zaiqedar aur mufeed soup piyain. Chawalon ko dam dete waqt lemon grass ke patte dalne se jub chawalon ka dhakna hat'ta hai tou har taraf khushbu pheel jati hai.
More Health Benefits Of Lemongrass Plant In Urdu: Aik chota sa poda jo dekhne mein bhi haseen aur is qadar faide dekh kar ye kehne mein koi aar nahin keh lemongrass maze ka maza aur dawa ki dawa hai. Lemongrass ke benefits jo aap ko bataye gaye hain in sub ko zehan mein rakhte hue hum agar aam zindagi mein lemongrass ka istemal shuru kar dain tou is ke bare musbat nataij niklain ge maslan hum rozana ki zindagi mein tea ka istemal karte hain juice aur soup bhi piya jata hai is tarah khana pakana bhi rozana ka mamool hai agar hum is roz ke khane mein lemongrass tea, is ka juice aur soup istemal karain tou humain aik behtareen aur munfarid zaiqa bhi hasil ho ga aur kayi bimariyon se bhi nijat hasil ho gi. Kisi bhi cheez ki afadiat ko parkahne ke liye us ka pemana tajarba hai aur jub hum ye tajarba karain ge tou humain is ki haqeeqat ka pata chale ga keh aya ye cheez hamare munh ke zaiqe aur jismani bimariyon ke liye kis qadar mufeed hai. Lemongrass side effects ke mutaliq agle articles mein roshni dali jaye gi lihaza apni keemti raye mujhe zaroor dijiye takay mein lemongrass ke nuqsanat se mutaliq bhi jald maloomat faraham kar sakon.
No comments:
Post a Comment