Khwab Mein Baraf Dekhna In Urdu Tabeer Snow Barf Bari Snowfall Dream Meaning In Islam

  Lal Gulab      
Barf Khwab Mein Baraf Dekhna In Urdu
Khwab mein snow dekhna gham aur azab hai agar thori baraf dekhi jaye tou theek hai par agar jaray mein barf ko dekhe ya aisi jagah mein dekhay keh jahan hamesha hoti hai tou us jagah walon ko gham ka ishara hai isay dekhna lashkar ko hazimat bhi hai. Garmi ke dinon mein baraf jama karna maal e halal jama karna aur khushi se zindagi jeena aur bohat manfat mana hai.

Agar khawab dekhnay wala thanday mulk mein hai tou naiki hai aur garam mulk mein qehat hai aur mausam mein baraf khana bay waqt se behtar hai.

Baraf Ki Tabeer Number 2: Khwab mein thandak mehsoos karna fiqar ki ilamat hai kisi ne saya mein sardi mehsoos ki dhoop mein ja baitha tou ye fiqar khatam hone ki ilamat hai isi tarah dhoop mein garmi mehsoos kar ke saya anay ki tabeer gham se nijat ki taraf musheer hai. Kisi ne khwab dekha usay sardi lag rahi hai aur sath sath hawa bhi chal rahi hai tou tabeer mohtaji par mohtaji lahaq hona hai.

Yakh Baraf Jami Hoi Snowfall Baraf Bari
Yakh barf jami hoi dekhna khawab main koi musibat hoti hai khas kar jabkeh us ko apne waqt par dekhe aur agar jami hoi icekha raha hai tou bohat rozi paye ga aur saaf suthri baraf apne ghar lay kar jane ka matlab koi maal jama karna hai.

Garmiyon ke mausam mein pakeeza aur saaf suthri baraf halal rizq jama karna hai aur meeli kucheeli aur talkh si thi tou haram maal jama karna hai. Sardiyon mein pakeezi barf yani saaf ice apne aish ko khoob achi tarah guzaray ga aur apne rozgar se manfat dekhe ga aur us ke doston ke dil us se saad hon ge.
logoblog

Thanks for reading Khwab Mein Baraf Dekhna In Urdu Tabeer Snow Barf Bari Snowfall Dream Meaning In Islam

No comments:

Post a Comment