How To Make Banana Chips Recipe In Urdu Keele Ke Chips Banane Ka Tarika In Hindi Vidhi

  Lal Gulab      

How To Make Banana Chips In Urdu Keele Ke Chips Banane Ka Tarika In Urdu Hindi Chips Vidhi


Banana Chips Recipe In Urdu: Keela aik bohat hi behtareen ghaza hai aur bohat se log isay apni body banane ke liye khate hain ye hadiyon ko bohat mazboot banata hai aur kamzoor ke liye bhi bohat hi zayada mufeed hai ye jism mein khoon paida karta hai aur bohat hi naram ghaza hai log is ka istemal aam tor par pait kharab hone ki surat mein karte hain jis se un ko bohat faida hota hai. Keela aisa fruit hai jo keh saal mein 12 maheenay paya jata hai aur is ka darakht bohat hi naram qisam ka hota hai jisay agar zayada taufaan chu lay tou gir jata hai. Keelay ka darakht us waqt kata jata hai jub us ke sath phal lag kar pak jaye kyoun keh dobara us ke sath phal nahin lagta aur aik darakht agar lagaya jaye tou aik darakht se bohat se aur darakht ugtay hain aur aise hi izafa hota rehta hai. Keelay ke darakhton mein keela aam tor par phal ki surat mein khaya jata hai lekin aaj main aap ko jo batane ja raha hon woh ye hai keh is se chips bhi bante hain aur ye bohat hi zayada lazeez aur zaiqa dar hote hain tou chalain shuru karain.


Banana Chips Recipe In Hindi

Ajza

Method - Tarkeeb

How To Make Banana Chips In Urdu: Aik bartan lain aur jo cheezain uper batayi hain unhain aik bartan mein daal kar in tamam masalon ko achi tarah mix kar lain.
Aik aur bartan mein kache keelon par se chilka utaar lain aur chips utar lain aur chips nama chakal mein kaat lain, ab katay hue keelon par masala achi tarah lagayain aur 10 minute ke liye fridge mein rakh dain 10 minute ke baad masala lage hue keelay nikal kar us par ubli hoi daal ko ungli ki madad se un keelon mein daba dain.
Ab aik karahi lain aur us mein oil daalain aur aap ko andaza ho jaye ga jub oil garam ho ga tab aik pees us mein daal kar tal lain jub keelon ka rang brown ho jaye tou aik tissue paper par nikal lain tasty keela ke chips tayar hain.
In banana chips ke sath aik payale mein tamatar ketchup aur aik mein imli ka ras rakh dain aur donon cheezon ke sath sarf karain agar tamatar ketchup ya imli ghar mein nahin tou mayonees ya doodh ki malai ke sath bhi sarf kar sakte hain.

Note: 2nd Recipe of Banana Chips In Urdu: Agar aap ke paas keelay ke ilawa dusri cheezain nahin hain tab bhi aap ye recipe bana sakti hain is ke liye aap ko banana, turmeric aur salt ki zaroorat ho gi bas. Aap keelon ko chips ki shakal mein kaat kar pehle haldi ke pani mein dalain phir 5 minute unhain us pani mein rakhne ke baad unhain fry karain aur jab half fry ho jayain tab namak mein pani ka aik spoon mila kar fry hote hue chips par daal dain.

Ye aik bohat hi asan recipe hai isay aap ghar mein bohat asani ke sath bana sakti hain aur bache isay bohat shoq se khatay hain isay zaroor banayain aur mujhe batayain keh kaise bane kache keelay ke chips, agle article mein banana chips ki recipe se bhi behtareen recipe ke sath hazir hon ga In Sha Allah.
logoblog

Thanks for reading How To Make Banana Chips Recipe In Urdu Keele Ke Chips Banane Ka Tarika In Hindi Vidhi

No comments:

Post a Comment