Women's Day Speech In Urdu Essay Women's Day In Pakistan Women Day Hindi Note

  Lal Gulab      

International Women's Day Speeches In Urdu Khawateen Ka Almi Din Mazmoon Women's Day Essay In Hindi

Women's Day Essay In Urdu: Khawateen ke huqooq ke hawale se dunya bhar mein 8 march ko khawateen ka almi din manaya jata hai ye din kyoun aur kis liye manaya jata hai is baat ka jaiza bhi hum lain ge lekin yahan sochne ki baat ye hai keh door jadeed mein khawateen ko apne huqooq ka ilm hai bhi ya nahin? aur is door mein khawateen apne huqooq hasil karne mein kis had tak kamyab hoi hain?

8 march ko dunya bhar mein manaye janay wale is din ka maqsad khawateen ki ahmiyat se agah karna aur logon mein khawateen par tashadad ki rok tham ke liye iqdamat karne ke liye targheeb dena hai. Is din ka pas e manzar khuch youn hai keh 8 march 1907 ko Amercia ke shehar New York mein garments workers union se taluq rakhne wali senkron khawateen ne muzahira kiya un khawateen ka mutalba tha keh un ko bhi mardon ki tarah barabri ke huqooq diye jayain us muzahiray ko roknay ke liye hukumat ne police ka istemal kiya aur kayi darjan khawateen ko tashadad ka nashana banaya gaya. Is waqia ke baad se europi mumalik mein har saal almi conference baraye khawateen ka inaqaad kiya jane laga aur khawateen ke masail par baat cheet ki jane lagi us conference mein Austria aur Switzerland samait bohat se maghribi mumalik se khawateen shamil hoti thien is tarah har saal 8 march ka din muqarar kiya gaya jisay auraton ya khawateen ke almi din ke tor par manaya janay laga.

Almi youm e khawateen ke din ke pas e manzar se ye baat maloom hoti hai keh dunya mein auraton par dhai jane wale muzalim ki tadad kam nahin aur un mazalim ki dastanain kisi khas khiltay ya mazhab mein nahin balkeh puri dunya mein hi mojood hai. Majooda door ki baat ki jaye tou ab bhi auraton ko mardon ke muqablay mein woh ahmiyat nahin di jati jis ki woh haqdar hain. Europi mumalik khawateen ko un ke haqooq faraham karne ka dawa tou kartay hain lekin wahan family system ki ahmiyat ko zero kartay hue mard aur aurat ko aik dusre ke mad muqabil la khara kar diya hai jub keh huqooq ka maqsad muqabla karna nahin balkeh ghar aur bahir ki dunya mein aik dusre ka sath dena hona chahiye.

Dusri taraf agar asia ke mulkon par nazar dali jaye tou yahan haqooq e niswan par koi baat hi karne ko tayar nahin ye wohi wajah hai keh yahan aurtein apne bunyadi huqooq se bhi mehroom hain aur muzalim ka shikar hoti nazar ati hain haqooq ka dars dene wale aksar khud bhi is baat se na ashna hote hain keh mard aur aurat ke haqooq o faraiz hain kya?

Taham phir bhi isi muashray mein kayi khawateen ne apna loha manwaya hai chahe woh Albert Einstein ke falkyati nazriye ki toseeq karne wale almi group ki rukan hon ya pahar sar karne wali Samina Baig ya phir 2 baar oscar award jeetnay wali Sharmeen Obaid Chinoy hon. Har shobay mein ba salahiyat khawateen mushkilat jhail kar apne mulk ka naam aaj bhi roshan kar rahi hain. Agar hum women rights ko Islam ke tanazar mein dekhain tou wahan bhi hamain khawateen ke huqooq par zor diya gaya hai. Islam ne aurat ko jo haqooq diye hain un mein muasharti, taleemi qanooli aur siasi haqooq shamil hain zaroorat is amar ki hai keh mard aurat donon aik dusre ko ahtram detay hue deen o dunya mein kamyabi hasil karne ke liye jad o jehd karain aur is maqsad ke liye sub ko bila imtiaz mawaqa faraham kiye jayain.
When Is Women's Day 2017 In Pakistan India America Australia  Wednesday 8 March 2017
Saal 2018 aur 2019 ke liye bhi hamara idara womens day ki munasbat se students ke liye khas articles aur pictures shaya karay ga is liye aurat ke din ki is tehreer par updates hasil ki ja sakti hain.
logoblog

Thanks for reading Women's Day Speech In Urdu Essay Women's Day In Pakistan Women Day Hindi Note

No comments:

Post a Comment