Women's Day History In Urdu Women's Day Information In Hindi Women Day Ki Tareekh

  Lal Gulab      
Hindi Women's Day History In Urdu Women Day Ki Tareekh Hindi Women's Day Information In Urdu
Auraton ka almi din 1909 se manaya ja raha hai lekin ye almi din dunya bhar mein 8th march se din ata hai aur is ka faisla 1913 mein hua tha. 1960 mein 1500 womens mukhtasir auqat kar, behtar ujrat aur voting ke haq ke mutalbat manwanay ke liye new york ki stores par march karne niklien un ke khilaf na sirf gharr sawar daston ne karwai ki balkeh un par beet barsaye gaye aur un mein se bohat se auraton ko giraftar bhi kiya gaya.

1909 mein socialist party of america ne auraton ka din manane ki qarardad manzoor ki aur pehli baar usi saal 28 february ko America bhar mein auraton ka din manaya gaya aur us ke baad 1913 tak har saal february ke akhri itwar ko auraton ka din manaya jata raha.

1910 mein copenhagen mein mulazmat paisha khawateen ki dusri almi conference hoi jis mein germany ki social democratic party ki aik rukan ne har saal dunya bhar mein auraton ka din manane ki tajweez paish ki jisay conference mein shareek 17 mulkon ki logon nr mutfiqa tor par manzoor kiya.

1911 mein 19 march ko pehli baar auraton ka almi dun manaya gaya aur Germany, Denmark mein 10 lack se zayada womens aur mens ne is moqa par kaam, vote, tarbiyat aur sarkari ohdon par auraton ke taqarar ke haq aur un ke khilaf imtiaz ko khatam karne ke liye nikalay jane wale jalooson mein hisa liya.

Lekin usi saal 25 march ko new york city mein aag lagne ka aik moqa paish aya. Triangle Fire ke naam se yaad ki jane wali is atishdgi mein 140 mulazmat paisha auraton ke kharab tareen halaat samne aye balkeh un halaat ko khatam karne ke liye qanoon sazi ka sara zoor bhi America ki taraf ho gaya.

Is ke baad february 1913 mein pehli baar Russia mein women day manaya taham usi saal us din ke liye 8 march ki tareekh makhsoos kar di gayi aur tab hi se dunya bhar mein 8 march ko auraton ka almi din manaya jata hai.

Is din ko manane ka maqsad jinsi takhsees ko khatam karna aur khawateen ko un ke huqooq ka ilm dena aur muashray mein khawateen ke huqooq se mutaliq shaoor ko aam karna hai aur rawan saal khawateen ka almi din "khawateen ki barabri: Sub ki taraqi" ke salogan se kath manaya ja raha hai.
logoblog

Thanks for reading Women's Day History In Urdu Women's Day Information In Hindi Women Day Ki Tareekh

No comments:

Post a Comment