Website Banane Ka Tarika Urdu Mein Blog How To Make Website Banane Ka Tareeqa Hindi Me

  Lal Gulab      

How To Make Website In Urdu Website Banane Ka Tarika In Urdu

Website Making Tips In Udu: Har zamanay ke taqazay alag hote hain is door mein jadeed technology hai tou is se pehle kisi ki soch mein bhi nahin tha ke aik din insan apne ghar mein baith kar dunya ke akhri konay mein basnay wale insan se na sirf baat kar sakay ga balkeh usay dekh sakay ga usay seconds mein apne documents bheej sakay ga usay apni tasaweer dikha sakay ga aur jis tarah pichlay zamane ke logon ko andaza nahin tha ke aik din internet puri dunya ko global village bana de ga is tarah hum bhi koi andaza nahin laga saktay ke anay wale zamane mein internet se barh kar aisi kya cheez aye gi jo internet ki ahmiyat bhi khatam kar de gi barhaal ye zamana internet ka hai aur hum isi zamane mein jee rahay hain tou koshish kartay hain aap ko bhi internet ke khuch fawaid hasil karne ke liye khuch rehnumai ki ja sakay mera matlab hai aap ko aaj hum website kaise banate hain is baat par article paish kar rahe hain.

Website Banane Ke Faide Kya Hain - Website Benefits

Aaj kal taqreeban sabhi internet ke shoqeen hain aur aik andazay ke mutabiq 1 din mein lakhon naye blogs aur website banai ja rahi hain aur agar aap ye mazmoon parh rahe hain tou aap bhi yaqeeban apni site banane ke liye janna chahte hain tou sub se pehle aap ko ye bata doun ke 1 website bananay se aap ka benefits hasil kar sakte hain.
  • Agar aap ke paas website hai tou aap apni baat dunya mein internet use karne wale kisi bhi insan tak pohancha saktay hain.
  • Aap agar writer hain tou aap apni khud ki kitabain online publish kar sakte hain.
  • Aap agar teacher hain tou apni books apne students ke liye online faraham kar sakte hain.
  • Aap agar berozgar hain tou aik adad website bana kar aap bhi un logon ki fehrist mein shamil ho jayain ge jo online earn kar ke apni zindagi ki khwahishat puri kar rahe hain.
  • Is ke ilawa website banane ke faide itne zayada hain ke agar in par likhna jari rakhon tou najanay kitne din lag jayain.

Website Kaise Banaye Blog Website Banane Ka Tarika In Hindi

Aik behtareen blog create karne ke liye bohat se free blogging networks hain jin mein blogger aur wordpress hain par mere tajarbay ke mutabiq agar aap is baray mein khuch nahin jantay tou blogger par start karain. Website create karne ke liye aap sub se pehle aap aik gmail ka email banayain us ke baad blogger .com par jayain aur email jo aap ne pehle step mein banaya tha usay ab blogger mein ja kar type karian aur us ke baad aap ke samne aik page open ho ga jis par likha aye ga ke create your blog jese ke aap nechay di hoi photo mein dekh rahe hain.

Step 1

Nechay tasweeron mein maine mention kiya hai keh kis tarah title rakhna hai aur kis tarah apne blog ka url address muntakhib karna hai aap apni pasand ka apni website ka name rakhne ke liye address mein ja kar woh url banayain jo zayada asan ho takay log aap ki site ke url jisay domain bhi kehtay hain ko asani se yaad rakh sakay jese ke hamari website ka domain LalGulab.com intihai asan hai aur yaad rakhne mein mushkil bhi nahin is ka ye faida hota hai ke aap ki traffic mein bhi izafa hota hai aur kisi bhi website ki kamyabi ke liye us ki traffic ka zayada hona intihai aham hai is liye aap ki easy domain name rakhain. Sath hi sath aap nechay diye hue designs mein hoi jo aap ko acha lagta hai muntakhib karain aur ye design site banane ke baad bhi change kiya ja sakta hai par is ke liye aap ko html ki knowledge hona lazmi hai par agar aap ko html ki knowledge nahin hai tou aap ki marzi ka design banane mein main aap ki madad kar sakta hon kyoun ke main website ke designs bhi banata hon is liye ayenda anay walon dinon mein aap ko ye bhi sikhaon ga ke kisi bhi website ya blog ke designs templates kaise banate hain. Yahan aap ko har cheez aik sath nahin bataon ga kyoun ke is tarah aap ko har chez mushkil lage gi ye website banana pehla step hai isay bana lain us ke baad mere dusre articles parhiye ga aap ko step by step samajhne mein asani rahay gi aur aik din aap is kaam mein expert hon jayain ge.

Step 2:

Jese keh aap ne create blog par ja kar apne pasand ka design select karne ke baad is step par aye hain tou is ka matlab hai aap ka blog ban gaya hai ab aap new post mein ja kar apni pasand ke articles likhain ya wallpapers post karain ye aap ki apni marzi hai.
Website ko dot com par lay kar janay ke liye aap meri help lay sakte hain is ke ilawa html mein seo settings sahi rakhne se hi aap ki traffic behtar ho gi aur aap ka blog search engines yani google yahoo mein first rank par aye ga main in sub cheezon ke liye rehnumai kar sakta hon is ke liye aap ko isi tehreer ke nechay diye comment box ko istemal mein la kar mujhe apna masla batana ho ga takay main aap ki website ko dusri websites ke muqablay par lanay mein aap ki madad kar sakon umeed hai ye intihai easy method website banane ka aap ko pasand aya ho ga.
logoblog

Thanks for reading Website Banane Ka Tarika Urdu Mein Blog How To Make Website Banane Ka Tareeqa Hindi Me

No comments:

Post a Comment