Penguin Information Urdu Cartoon Penguin In Hindi Information History Penguin Ki Maloomat Tareekh

  Lal Gulab      

Penguin Information In Urdu Penguin Bird Information In Hindi Penguin Cartoon In Urdu

Penguin urr nahin saktay ye tairnay wale samandari parinday hain in ka aik khandan hota hai.

Penguins Ki Khasoosiyat - Penguin Ki Maloomat Kya Hain

Ye sayah aur safaid samandari parinday hain in ki lambai 16 se 45 inch hoti hai. In ka wazan 1 se 30 kg hota hai. Penguins ki khuch types aik jagah se dusri jagah muntaqil ho jati hain lekin jo garam pani mein rehti hain woh dusri jagah muntaqil nahin hotien is ki 18 kismain hain. In ke par kashti  yani boat ke chapu ki tarah hote hain jo usay tairne mein madad detay hain ye tairnay mein bohat taqatwar hote hain aur un ki chonch darmiyane size ki aur moti hoti hai un ke jism ke baal uper se neelay saleeti aur neelay kalay hote hain aur pait safaid hota hai. Un mein se baaz iqsam ka wazan anda denay ke doran heran kar dene wali had tak kam ho jata hai. Penguin aam tor par pathreelay aur reetlay sahil samandar par paye jate hain aur wahin egg detay hain. Un ka ghonsla ya tou zameen par hota hai ya phir sarungon mein aur un mein se khuch ghonsla nahin banatay. Agar aap janna chahte hain ke penguins kya khate hain tou janiye ke penguin ki diet machliyan hain ye machliyan aur baray khool wale chote janwar baray shok se khatay hain aur yehi in ki khorak hai.
Penguin History In Urdu Penguin Ki Tareekh: Antarctica ka alaqa jahan penguin rehta hai wahan baaz auqat darja hararat manfi 40 c hota hai is janwar ke jism par charbi ki moti teh hoti hai takeh ye yakh basta kar dene wale mahool mein zinda reh sakay. Is ke ilawa is ka nazam e hazam bhi behad tez hota hai takeh khorak ko tezi se hazam kar sakay. In 2 khasoosiyat ki wajah se penguin ke jism ka darja hararat musbat 40 c hota hai aur isi liye woh sardi ki parwah nahin kartay.

Penguin mausam sarma mein anday seeta hai mazeed ye keh anday seenay ka kaam mada penguin nahin balkeh nar penguin karti hai. Yakh basta kar dene wali sardi ke ilawa jis mein darja hararat -40 tak gir jata hai penguin joray ko saal ke is hisay mein glaciers ka samne hota hai. Puray mausam sarma mein glaciers barhtay jatay hain jis se anday seenay ke muqam aur sahil ke darmiyan fasla barh jata hai yehi woh qareeb tareen alaqa hota hai jahan penguin ke liye khorak dastyab hoti hai ye fasla baaz auqat 100 km tak ho jata hai.

Female penguin sirf 1 anda deti hai phir anday seenay ka kaam apne male penguin sathi par chhor deti hai aur samandar ki taraf wapas laut jati hai anday seenay ke 4 months ke doran nar penguin ko shadeed qutbi taufanon ka samna karna parta hai jin ki baaz auqat raftar 100km fee ghanta hoti hai aur usay anday ki hifazat karni hoti hai is liye ke paas shikar ka koi moqa nahin hota. Har surat mein qareeb tareen khorak ki jagah 2 rooz ke safar ke faslay par hoti hai. Female penguin ko 4 months tak baghair khuch khaye rehna parta hai jis se us ka adha wazan kam ho jata hai magar ye anday ko chhor kar nahin jata. Usay shikar ke baghair kayi maheenay guzarne partay hain magar ye shikar ke liye phir bhi nahin jata aur bhook ka muqabla karta hai.

4 maheenay guzar janay ke baad jub anday toot kar bache nikalne ka waqt aa jata hai tou Female penguin achanak namudar ho jati hai. Is saray arsay mein us ne waqt zaya nahin kiya hota balkeh apne bache ke liye kaam karti rehti hai aur us ke liye us ne khorak zakheera kar li hoti hai. Senkron penguin hon tab bhi un ke darmiyan maa apne sathi aur bache ko talash kar laite hai.

Mausam bahar mein glacier pighalna shuru ho jate hain baraf mein dararain aur sorakh par jatay hain jin ke nechay se samandar nazar anay lagta hai. Penguin waldain jald hi un sorakhon mein machli ka shikar karne lagte hain takeh apne bache ko khorak muhaiya kar sakain.
Bache ko khorak muhaiya karna aik mushkil kaam hai baaz auqat waldain khud kafi arsay tak khuch nahin khatay takeh apne bache ko khorak muhaiya kar sakain. Jub har shay barak se dhak gayi ho us waqt ghonsla banane ka koi tareeqa nazar nahin ata. Apne bache ko sardi se bachane ke liye waldain ke paas aik hi tareeqa reh jata hai keh woh bache ko apne paon ke oper rakh kar apne pait se garmi pohanchayain.

Penguin Cartoon

logoblog

Thanks for reading Penguin Information Urdu Cartoon Penguin In Hindi Information History Penguin Ki Maloomat Tareekh

No comments:

Post a Comment