Lungs Treatment In Urdu ilaj Lungs Infection In Hindi Lungs Information Phephron Ka ilaj

  Lal Gulab      

Lungs Treatment In Urdu Lungs Infection In Hindi Phephron Ka ilaj Lungs Symptoms Disease Problem Information About Lungs Disease

Lungs Health Tips In Urdu: Hum saal mein 60 lack se zaid martaba saans laitay hain har saans hamain oxygen faraham karta hai jo jism mein shamil khulyat ko zinda rakhti hai. Phephron ke liye kya cheezain nuqsan deh hain ye jannay ke baad aap un se ahtyat karne ke hath un baton ko bhi apna sakte hain jo lungs ke liye benefits rakhti hain.

1: Smoking Khatam Karain

Apne phephra ya phephron ki hifazat karne ke liye smoking tark kar dain lungs cancer ki sub se bari wajah smoking hai. Segrett penay walon ko cancer ka 20% zayada khatra hota hai.

2: Smoking Karne Wale Se Bhi Door Rahain

Agar aap segrett nahin bhi peetay tou aisay mahool se bachain jahan segrett noshi ki jati hai segrett na penay wale logon par bhi segrett ka dhuwan usi tarah asar karta hai jis tarah segrett penay walon par. Segrett se nikalnay wale dhuwain mein aise chemical hote hain jo kapron, balon, qaleen aur diwaron mein bas jatay hain lihaza khas tor par bachon ko un jagahon se door rakhna chahiye.

3: Hawai Aloodgi Se Bachain

Ghar se bahir nikal akr aloodgi se bachna na mumkin hai lekin phir bhi jitna ho sakay ahtyat karain zayada traffic wali jaghon par ya agar aap aisi factory mein kaam karte hain jahan kaam mein gard o ghubaar aur zehrili gas ka akhraj hota hai tou munh par mask pehnain aur hathon ko dastanon se dhakain is ke ilawa glass fiber ke zarat bhi lungs mein ja kar zakham paida kar sakte hain is liye zaroori hai keh mask ka istemal kiya jaye.

4: Gehri Saans Lain

Saans ke zariye oxygen tamam jism mein jati hai jitna gehra saans lain ge utni hi zayada maqdar mein oxygen aap ke jism mein dakhil ho gi jo keh phephron ko faida de gi.

5: Ghaza Mein Tabdeeli Layain

Tehqeeq se sabat hua hai keh aisi ghaza jis mein phal aur machli shamil hon woh lungs ke liye behtareen hai khas tor par un logon ke liye jo asthama ke mareez hain paton wali sabziyan jese band gobhi aur phool gobhi phephron ke cancer se bachati hain.

6: Naak Se Saans Lain

Naak mein mojood baal hawa ko saaf kar ke phephron mein janay detay hain aur bareek se bareek muzar zarat phephron mein janay se rok laitay hain is liye zaroori hai keh munh ke bajaye nak se saans liya jaye.

7: Naak Ko Saaf Rakhain

Bimari, alergy aur dusri wajuhat ki bana par aksar naak band ho jati hai naak band hone ka matlab hai keh aap 100% jaraseem aur aloodgi munh ke zariye saans lay kar apne phephron tak pohancha rahe hain is liye zaroori hai keh naak ko saaf rakhain aur aise iqdamat karain jis se naak khuli rahe isi tarah naak ki khushki bhi naak ke balon ki karkardgi ko mutasir karti hai is liye zaroori hai keh naak ko nam rakha jaye din mein 5 baar wazu naak ko saaf rakhne ka behtareen tareeqa hai.

8: Pani Kasrat Se Piyain

Zayada maqdar mein pani peena phephron ke liye bohat mufeed hai kyoun keh phephron ki androoni satah wafar maqdar mein pani peenay ki wajah se patli rehti hai jis se phephron ki karkardgi behtar rehti hai.

10: Khoob Hansain

Hansnay se bhi jism mein wafar maqdar mein oxygen dakhil hoti hai hansnay aur khush rehne se jism ki majmoi health bhi darusht hoti hai is liye khush rehne ke liye ache dost banayain aur hansnay ke moqa par dil khool kar hansain.

9: Plants Lagayain

Ghar mein aur ghar ke bahir zayada se zayada plants lagayain takeh ghar mein mojood carbon dioxide oxygen mein tabdeel ho jaye hawa ko saaf karne ke liye barqi alaat lagayain jis se ghar mein mojood dhuwan aur gard bahir ja sakay.

logoblog

Thanks for reading Lungs Treatment In Urdu ilaj Lungs Infection In Hindi Lungs Information Phephron Ka ilaj

No comments:

Post a Comment