Knee Pain Treatment In Urdu Ghutno Ka Dard ilaj Hindi Joron Ka Dard Knee Pain Causes Symptoms

  Lal Gulab      
Knee Pain Causes In Urdu Ghutno Mein Dard Ka ilaj In Hindi Solution Tips Relief Home Remedies of Knee Pain In Hindi Joron Ka Dard Ka ilaj Desi Tarika Se
6 reasons batai ja rahi hain jin ki wajah se ghutnon ka dard yani knee pain ya joron ka dard hota hai.

Aap Ne Apna Wazan Barha Liya Hai

Zindagi ka aik asool hamesha yaad rakhain keh apne jism ke wazan ko hamesha sehat mand had mein rakhne ki koshish karain. Kya aap jantay hain keh aap ke jism ka har aik izafi pound wazan jub aap chalte hain ya seerihain tay kartay hain us waqt aap ke ghutno par 4 izafi pound ka dabao dalta hai.

Seerihan Bohat Tez Charhtay Utartay Hain

Agar aap ki sehat bohat achi nahin hai yani agar aap bilkul fit nahin hain tou zayada seeriyan charhne ya utarnay ki koshish na karain kyoun keh is se ghutne ki hadi (Kneecap) par bohat zayada dabao parta hai. Mahireen kehte hain keh agar aap ka wazan 150 pound hai tou is ka matlab ye hai keh aap ke ghutnon ko 600 pound tak ka wazan bardasht karna par raha hai is liye aap ahista ahista seerihan tay karain aur jub farsh par qadam rakhain tou bajaye ungliyon ke ayri ko zameen par pehle rakhain. Agar tez tez seerihan charhne ki wajah se aap pehle hi apne ghutnon ko takleef mein daal chukay hain tou aik do haftay tak jub tak aap behtar na ho jayain izafi sahare ke liye reeling ki madad lain. Reeling pakarne se aap ke ghutnon par dabao kam ho jata hai aur jub aap uper charh rahe hote hain tou un joron ko zayada mehnat nahin karna parti hai.

Ghutnon Ko Bohat Zayada Mortay Hain

Ye khani mardon se zayada khawateen mein dekhi jati hai keh un ke kolhaay choray aur androni aur berooni ranain kamzoor hoti hain aur agar woh apni khorak par sahi tawaja na dain yani bilkul kam khana aur had se zayada khana donon nuqsan deh hain is ka natija ye hota hai keh ghutnon par ghair zaroori dabao parta hai is liye androoni aur berooni raan ko mazboot karne ki koshish karain is silsile mein makhsoos noeeyat ki warzishon se istifada kiya ja sakta hai. Is ke sath sath aap apne ghutnon ko bila zaroorat bohat zayada na morain aur ghair zaroori tor par 90 degree ke zawiye se zayada mornay ki koshish na karain. Is baar ko yaqeeni banayain keh ghutnay paon ki seedh mein rahain yani un par zayada aur bila zaroorat bal na paray.

Vitamin E Ki Kami

Ho sakta hai vitamin e ko woh shohrat hasil na ho jo degar vitamins ko mili hai lekin ye aik sabat shuda amar hai keh antioxident khoobiyon ke hawalay se degar hayateen is ka muqabla nahin kar sakte. Jo log vitamin e wali ghazayain shuru se istemal karte hain woh baad ki zindagi mein ghutnon ki takleef se mehfooz rehte hain.

Aap Ko Doodh Se Raghbat Nahin Hai

Cow milk vitamin d se bhara hota hai aur ye woh vitamin hai jo jism ke tamam hison ke khulyat mein mojood hota hai jo log doodh mein payi jane wali qudrati mithas ko hazam nahin kar sakte ya jinhain ye raas nahin ata woh tail chornay wali machliyan maslan saman, tona aur macreel kha sakte hain kyoun keh un mein bhi vitamin d hota hai.

Raseelay Phalon Par Tawaja Kam Hai

Ye kon nahin janta ke phalon mein tawanai hai mazaydar zaiqa hai aur hum insanon ke liye Allah ka tohfa hai aaeyay phalon ka istemal ghutne ke dard mein kaise karain ye jantay hain. Aagar aap sangtaray aur isi tarah ke dusre raseelay phal zayada khayain tou aap ke ghutne aap ko duain dain ge is qisam ke phalon mein vitamin c aisi ghazaiyat hai jo jism ke bay shumar kamon mein madad karti hai. Jin fruits mein vitamin c zayada hai un mein orange, shimla mirchain, strawberries bhi shamil hain. Mausam ke aitbar se is waqt ye tamam vegetables aur fruits Pakistan aur india mein dastyab hain.

Knee Pain Treatment In Urdu Ghutno Ka Ilaj In Hindi Joron Ka Dard

Jesay ke aap ko uper bataya gaya hai keh kin wajuhat ki bana par ghutno ka dard hota hai knee pain khatam karne ke liye zaroori hai ke vitamins se bharay diet ka istemal kiya jaye khas tor par vitamin c d aur e is ke ilawa apna wazan na barhnay dain. Chakutra aik phal hai isay zayada istemal karain aur apne ghurno ko zayada thand se bachayain. Milk aur yogurt ke sath sath makhan paneer bhi istemal karain khas tor par ye diet bachon ko un mein bachpan mein khilanay se un ke agay anay wali zindagi mein joron ke dard se nijat dilanay ke liye behtareen totka hai.
logoblog

Thanks for reading Knee Pain Treatment In Urdu Ghutno Ka Dard ilaj Hindi Joron Ka Dard Knee Pain Causes Symptoms

No comments:

Post a Comment