Kaleji Ke Faide In Urdu Kaleji Ke Qeemti Tibi Fawaid Aur Khawas
Kaleji Benefits In Urdu: Hum sub ye baat achi tarah jantay hain keh hamari ghaza ke istemal ke hamari sehat par gehre asrat muratab hote hain. Wohi ajza jo ghazai ashya mein mojood hote hain hamain tawana aur sehatmand rakhte hain aur in ki kami ya un ka zayada hona bimariyon ka sabab bhi ban jati hai.
Kaleeji aik aisi ghaza hai jisay khuch log tou behad pasand karte hain par khuch door bhagtay hain lekin qudrat ki har chez mein koi na koi faida chupa hota hai. Kaleeji ka bhi yehi haal hai keh ye hamare liye kisi ghazai khazane se kam nahin.
Bohat se log aise bhi hain jo kajleeji khane se mana karte hain kyoun keh woh dair se hazam hoti hai aur is ke bare mein ye khayal bhi kiya jata hai keh is ka istemal jism mein zehrilay maday ko jama karne ka sabab banta hai. Ye manna darust nahin kyoun keh kaleji mein kayi aham ghazai ajza jese vitamin a, d, e, k aur b 12, folic acid aur minerals hote hain jo jism se in zehreelay madon ko nikalnay ke acha zariya hain.
Agar kisi bhi cheez ko aitdal aur tareeqa se istemal kiya jaye tou nuqsan nahin pohanchati kaleji khoon ki kami ko ahsan tareeka se pura karti hai haftay mein aik baar aap is ka istemal aram se kar sakte hain.
Degar gosht ke muqablay mein kaleji ghazaiyat se bharpur hai is mein koi namyati zehar nahin hota sach tou ye hai keh kaleji aap ke jism se zehar ko jama karne ke bajaye kharij karti hai thakawat se larnay mein is ki taseer behtareen hai.
Kaleji vitamins aur folate se bharpur hai is mein copper aap ke metabolism ke liye acha hai aap apni daily ki ghaza se 0.9mg copper hasil karte hain aur aap agar 3 onc kaleji ka istemal karain tou aap 12 mg tak hasil kar sakte hain dumbe ki kaleji aap ko is ki adhi maqdar deti hai.
Hamare haan aksar log iron ki kami ka shikar hote hain kaleji iron se mala maal hoti hai ye insanon ki khorak mein shamil rahe tou insan daimi bimariyon se bach saktay hain.
Is se dimagh sehat mand rehta hai agar aap ko kisi bhi alamat ka halka sa bhi andesha ho jese sochne aur yaad rakhne mein dushwari, asabi aur nafsiyati bimari, kamzoori, tawazan ki kami, hath aur peron ka sunn hona aur preshan karne wala depression tou vitamin b12 ke hasool ke liye aap sehat mand janwar ki kaleji use kar sakte hain.
Lekin ye zaroori hai keh jub aap kaleji ka istemal karain tou woh saaf aur sehat mand janwar ki honi chahiye hamesha koshish karain keh charagahon ke janwaron ki kaleji ka istemal karain jin janwaron ki khorak mein chara shamil hota hai woh sehat ke liye mufeed hain.
Kaleji ke liye zayada behtar hai keh jub aap isay khareedain tou isay usi waqt paka lain taza kaleji mufeed hai isay bohat zayada mat pakayain warna bay maza ho jati hai is ke sath lemon ka istemal kiya jaye toy hazam jaldi hoti hai raat mein kaleji khane se parhez karain isi liye kehtay hain kaleji ke faiday bohat hain.
No comments:
Post a Comment